Page 1 of 1
Har sadee tumhari thee har sadee tumhari hai
Posted: Sat Mar 25, 2006 9:16 pm
by jawaid badauni
Dosto! Salam
Ek Hindustani shayar ka munderjazel sher wahaN ke MushaairoN meN bohat maqbool hoowa hai. Mujhe malaal bhi hai aur Hairat bhi keh buzurgaane SuKhan ki itni baRee tauheen aur unki shan meN is gustaKhi per e'traaz karne ki bajaaye logoN ne is sher ki bharpur pazeeraii ki hai. Is sher ke jawab meN main ne ek muKhtacar see nazm kah kar apne dil ko kuch Thandak pahooNchaai hai. Nazm Hazir hai, aapki aara ka intezaar rahega.
MuKhliS
Jawaid
Unka sher:
Kah do Meer.o.Galib se hum bhi sher kahte haiN
Woh sadee tumhari thee yeh sadee hamari hai
Mera jawab:
Kahna Meer.o.Galib se “yeh sadee hamari hai”
Yeh to unki azmat per ek zarb.e kaari hai
Shaah.e ilm.o.fun donoN maahir.e sukhan donoN
Funne sher meN beshak unse duniya haari hai
Teri saari GhazloN per beesweeN sadeee wale!
“Meer” ka ya “Galib” ka ek sher bhaari hai
Ilm ke KhudaaoN se yooN mawaazna karna
Waah tere jazboN meN kaisee inkesaari hai
“Meer” they Khudaaye fun guhaare suKhan Galib
Zikr unkee azmat ka har sadee meN jaari hai
Woh to chal base unke sher ab bhi zinda haiN
Aur tum yeh kahte ho “yeh sadee hamari hai”
Kahna Meer.o.Gaalib se “hum bhi sher kahte haiN”
Yeh tira lub.o.lahja ilm.o.fun ki Khuwaaree hai
Ai bashar Khuda se dar unki manzilat pahchaan
Unka ehtraam ai shaKhs sub ki zimmedaari hai
Maan ley mira kahna kah dey Meer.o.Gaalib se
“Har sadee tumhaari thii har sadee tumhaari hai”
Posted: Sun Mar 26, 2006 2:39 am
by Daanish
mukarramee Jawaid Saheb
akhlaaf ka aslaaf ki baargaah meiN jo hadiya-e-aitaraaf-e-khidmaat pesh kiya jaa sakta hai, aap ki yeh ghazal jo wahadat-e-ta'ssur aur wahadat-e-takhayyul par mushtamil hai, shaandaar aainadaar hai. ai kaash ke hamare saare hum asr sho'ra bashmul Manzar Bhopali asaatzaa ka ehteraam aur unke taiiN apne zimmadariyoN se aagah hotay. aap ki is ghazal se yaqeenan arvaah-e-asaatzaa khush hui hongi.
khaaknasheen
Daanish
Posted: Sun Mar 26, 2006 5:28 am
by jawaid badauni
Daanish wrote:mukarramee Jawaid Saheb
akhlaaf ka aslaaf ki baargaah meiN jo hadiya-e-aitaraaf-e-khidmaat pesh kiya jaa sakta hai, aap ki yeh ghazal jo wahadat-e-ta'ssur aur wahadat-e-takhayyul par mushtamil hai, shaandaar aainadaar hai. ai kaash ke hamare saare hum asr sho'ra bashmul Manzar Bhopali asaatzaa ka ehteraam aur ke taiiN apne zimmadariyoN se aagah hotay. aap ki is ghazal se yaqeenan arvaah-e-asaatzaa khush hui hongi.
khaaknasheen
Daanish
Mohtarmee wa azeezi Danish SaHab!
Aapke graNqadr taasuraat ke liye behud mamnoon hooN.
Apka MuKhliS
Jawaid
aapkaa javaab laajavaab hei
Posted: Mon Mar 27, 2006 4:47 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Daur-e-HaaZir meiN buzurgaoN kaa iHtiraam aur chouTaoN ke saath LuTF o karam se pesh aanaa nah houne ke baraabar hougayaa hei. Zaahir hei aap jaise aHbaab jo apni qadeem tehzeeb ke nah sirf dildaadah heiN balkeh rakhwaale bhi bejaa zabaaN daraazi ko bardaasht nahiN karsakte aur chaahte heiN ke kam se kam apne akhlaaqi boujh kaa koii nah koii Hal nikaalne kii koushish kareN.
Aap ne moNh touR javaab diyaa hei aur mujh jaise doosraoN ki takleef-deh baataoN ko sunkar khaamoush houjaane waalaoN ko jhinjhouRaa hei. Allah aapki madad farmaaye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: aapkaa javaab laajavaab hei
Posted: Wed Mar 29, 2006 5:53 am
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Daur-e-HaaZir meiN buzurgaoN kaa iHtiraam aur chouTaoN ke saath LuTF o karam se pesh aanaa nah houne ke baraabar hougayaa hei. Zaahir hei aap jaise aHbaab jo apni qadeem tehzeeb ke nah sirf dildaadah heiN balkeh rakhwaale bhi bejaa zabaaN daraazi ko bardaasht nahiN karsakte aur chaahte heiN ke kam se kam apne akhlaaqi boujh kaa koii nah koii Hal nikaalne kii koushish kareN.
Aap ne moNh touR javaab diyaa hei aur mujh jaise doosraoN ki takleef-deh baataoN ko sunkar khaamoush houjaane waalaoN ko jhinjhouRaa hei. Allah aapki madad farmaaye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Mohtarmee Abdullah Nazir SaHib, Aadaab
Nazm per aap ke graNqadr tabsarey aur himmat afzaii ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Ummid hai aaindah bhi apne tabsaroN se nawaazte reheNge.
Aap ko sunker Hairat hogee keh yeh sher in Sahib ka tAArroof ban gaya hai aur is per e'traz karne ki bajaye log isey ek bohat baRa shahkaar tasawwor karte haiN. MauSoof ek peshawar shayar haiN aur hazaron/laakhoN isee Gazal per kama chuke haiN. Allah rahm kare Urdu adab per aur iske rakhwaloN per.
MuKhliS
Jawaid