Page 1 of 1

:: maiN kahaaN se DhoNRh laaoN mire dil ka woh zamaana ? :::

Posted: Sun Mar 05, 2006 9:44 pm
by Star Mind
Yaaran-e-meHfil aadaab !

Hasb-e-ma'mool aek taveel Gher Haaziree k baa'd apnee aek taaza tareen Ghazal k saath Haazir-e-Khidmat hoN ! ummed hai k Hasb-e-ma'mool karam farmaayeNge ! aur mujhe bhi aahista aahista , waqfe waqfe se shukriya adaa karne ka moqa deNge :D ;)

to lejeye !

::: Urdu V ::


Image


::: Roman V ::


1.

mire paas paas aanaa , mujhe us ka woh bulaana
maiN kahaaN se DhoNRH laaoN mire dil ka woh zamaana ? :cry:

2.

mujhe bhoolna bhi chaaho, to kuchh is t^araH bhulaana
mujhe bhool bhool kar bhi, kabhi paas paas paana ! :smt010

3.

wo fareb-e-chashm-e-jaado , k rahaa na dil pe qaabo
kare meeThi meeThi baateN, ba-zubaan-e-shaai'raana :-17

4.

"koi mere dil se pochhe , tire teer-e-neem kash KAA"
k lage hai dil pe aa kar , ba-adaa-e-maHramaana ! :E

5.

tire chashm-e-naaz mujh ko , kaheN maar hi na Daale
ye adaa-e-paarsaana ! ye sharaab-e-dilbaraana ! :smt120

6.

bhare bazm ki nigaaheN mire saadgee TaToleN
haN ! shabaab-e-fitna-saamaaN ! mire hosh tak uRaana ! :D

7.

mira dil laho laho hai , to faqat^ isee liye hai
tira naam le adab se , mire baa'd ye zamaana ! :-)

8.

ye mataa'-e-jaavidaaN hai , woh chiraaGh-e-rahguzar hai
mire shaa'iree Haqeeqat , mire zindagee fasaana ! :smt083

9.

maiN kafan wafaa ka oRhe so-e-daar chal paRaa hoN
mire dosto ! guloN se , mira raasta sajaana ! :)

10.

mujhe yaad aaraha hai woh maqaam-e-shoq tera
woh jabeen-e-dil-figaaraaN, woh junoN ka aastaana ! :G

11.

yoN na mut^ribaan-e-dil se , tha kabhi chaman ye Khaalee
na surood-e-SubH-gaahee , na nawaa-e-aa'shiqaana ! :(

12.

na woh garmiy-e-junoN hai , na woh Husn ki adaa hai
na woh raqS-e-maHsharaana , na woh chashm-e-saaHiraana :(

13.

na woh fan ki qadrdaanee , na woh ahl-e-dil ki meHfil
na woh Husn-e-shea'r gooee , na woh zauq-e-saami'aana :( :(

au ab maqta ! :lol: :lol:

14.

na Zia se koi pochhe , pata kyaa hai us k ghar ka ;)
a'jab uski zindagee hai , na qafas na aashiyaana ! :smt120

.......................................................

to kyaa itnee taveel Ghazal par itnee taveel Gher Haaziree k baa'd bhi taveel taveel waqfoN se jawaab dene k baa'd bhi aap daad dene par aamaada haiN ?? :D

muntazir

Zia Baloch

Posted: Mon Mar 06, 2006 2:05 pm
by Raji
Zia Baloch SaaHeb:
Aadaab,
bohat arSe ba'ad aap ko bazm meN dekh kar Khushii hoovii. filHaal jaldii meN hooN so raseed kaaT kar jaa rahii hooN keh ghazal dekh chukii hoN. tafSeelii aaraa phir aa kar dooNgii.

tab tak ke liye ijazat

Khair andesh

Zahida Raees :Raji:

ps. urdu vrsion ka gif activate naheeN ho raha.

Posted: Mon Mar 13, 2006 6:11 pm
by Star Mind
Raji wrote:Zia Baloch SaaHeb:
Aadaab,
bohat arSe ba'ad aap ko bazm meN dekh kar Khushii hoovii. filHaal jaldii meN hooN so raseed kaaT kar jaa rahii hooN keh ghazal dekh chukii hoN. tafSeelii aaraa phir aa kar dooNgii.

tab tak ke liye ijazat

Khair andesh

Zahida Raees :Raji:

ps. urdu vrsion ka gif activate naheeN ho raha.
Raji SaHiba , w/aadaab !

nehaayat ma'zirat k aate aate der hogayee ! puraani 'aadat hai ! :( shaayad aa'dat se ziyaada majboori ! :-)

aap ka aana bohut achcha lagaa ! aap ki daad ka bhi hamesha muntazir rehtaa hoN ! Ghazal aap ko pasand aayee ye meeri kHUSH NASEEBI hai ! mamnoon hoN ! inshaa Allah phir mulaaqaat hogee ! shukriya


Urdu V ....shaayad link code Theek se ....dekh loNga ! shukriya
Zia Baloch