Page 1 of 1

"koyee mousam nahi.n hota"taza ghazal peshe khidma

Posted: Sun Jan 29, 2006 4:59 pm
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

taza ghazal peshe khidmat hai.umeed hai pasand farmaaye.nge.
aapki aara ka intezaar rahega hame.n.

arz kiya hai...

tiri qismat sanwarney ka koyee mousam nahi.n hota
bani qismat bigadney ka koyee mousam nahi.n hota

akad kar chal raha hai aadmi kyu.n apni daulat per
hawa ke rukh badaney ka koyee mousam nahi.n hota

jo mohlat hai ghaneemat hai chalo hum nekiyaa.n karle.n
hamara dam nikalney ka koyee mousam nahi.n hota

burey jo log hotey hai.n bura sabko samajhtey hai.n
keh aiso.n ke ujadne ka koyee mousam nahi.n hota

karey jhooti jo t^aareefe.n to aisey shakhs ka haamid
zalaalat per utarney ka koyee mousam nahi.n hota

nateejaye fikr
haamidbaaqri
alhamdulillah

Bahut khoob

Posted: Tue Jan 31, 2006 11:37 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki ghazal achchi lagi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Is qism ke qawaafi bahut hii shaaz o naadir isteAmaal houe heiN lekin inko ghalaT nahiN kahaa jaasaktaa.

tiri qismat sanwarney ka koyee mousam nahi.n hota
bani qismat bigadney ka koyee mousam nahi.n hota

Roman meiN "teri" likhne kaa maqSad yeh houtaa hei ke aap (tey + ye + ray + ye) likh rahe heiN. Baghair "ye" ke likhnaa hou tou (t + I + r +i) likhte heiN.
MaTlaA achchaa hei.

akad kar chal raha hai aadmi kyu.n apni daulat per
hawa ke rukh badalney ka koyee mousam nahi.n hota

Yeh sheAr bhi achchaa hei.

jo mohlat hai ghaneemat hai chalo hum nekiyaa.n karle.n
hamara dam nikalney ka koyee mousam nahi.n hota

Yeh bhi achchaa sheAr hei. Bahut khoob.

burey jo log hotey hai.n bura sabko samajhtey hai.n
keh aiso.n ke ujadne ka koyee mousam nahi.n hota

Waah, bahut khoob.

karey jhooti jo t^aareefe.n to aisey shakhs ka haamid
zalaalat per utarney ka koyee mousam nahi.n hota

Talkh o tursh maqTaA manavi liHaaz se Theek hei.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Re: Bahut khoob

Posted: Wed Feb 01, 2006 7:38 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:

salaamun alakium
mohtaram abdullah nazir saahib

hum har baar aapse kuch na kuch seekhte rahte hai.n.is bina per aap mere ustaad hogaye hai.n.

aapki hauslah afzaaye aur purkhuloos daad ke hum behad shukrguzar hai.n.

allah(sbhnwt)aapko hamesha khush rakkhe.aameen

aapka mukhlis
haamidbaaqri

bahut bahut shukriya

Posted: Thu Feb 02, 2006 4:17 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapke is faqeer kii jhouli meiN kuch nahiN. Jou kuch ilm HaaSil houtaa hei, us kii bunyaad per apne khayaalaat kaa izhaar kartaa rehtaa hooN. Is liye maiN aapka ustaad kehlaane ke laayiq nahiN hooN.

Mujhe khushi houi ke aap ne meri naaqiS raaye qubool farmaayi aur apni ghazal meiN zaroori tarmeem farmaali. Ma'shaallah, ab aapki ghazal pahle se bahut behtar hougaie hei. Khaksaar kii dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Re: bahut bahut shukriya

Posted: Sun Feb 12, 2006 6:11 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapke is faqeer kii jhouli meiN kuch nahiN. Jou kuch ilm HaaSil houtaa hei, us kii bunyaad per apne khayaalaat kaa izhaar kartaa rehtaa hooN. Is liye maiN aapka ustaad kehlaane ke laayiq nahiN hooN.

Mujhe khushi houi ke aap ne meri naaqiS raaye qubool farmaayi aur apni ghazal meiN zaroori tarmeem farmaali. Ma'shaallah, ab aapki ghazal pahle se bahut behtar hougaie hei. Khaksaar kii dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka MukhliS,
Nazir.

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

yehi aik acche ustad ki ^alaamat hai.

hum to aapko apne ustad ka darjah dechuke hai.n.

umeed karte hai.n keh aayindah bhi aap hamaari rehnumaayee karte rahe.nge

allah(sbhnwt)aapko salaamat rakkhe.aameen

aapka mukhlis
haamidbaaqri

Re: "koyee mousam nahi.n hota"taza ghazal peshe kh

Posted: Mon Feb 13, 2006 3:32 pm
by haamidbaaqri
sara_j wrote:hamid sahib,

salaam.

aek aur kamyaab ghazal per daad qubool keejiye.

sara
haamidbaaqri wrote: tiri qismat sanwarney ka koyee mousam nahi.n hota
bani qismat bigadney ka koyee mousam nahi.n hota

akad kar chal raha hai aadmi kyu.n apni daulat per
hawa ke rukh badaney ka koyee mousam nahi.n hota

jo mohlat hai ghaneemat hai chalo hum nekiyaa.n karle.n
hamara dam nikalney ka koyee mousam nahi.n hota

burey jo log hotey hai.n bura sabko samajhtey hai.n
keh aiso.n ke ujadne ka koyee mousam nahi.n hota

karey jhooti jo t^aareefe.n to aisey shakhs ka haamid
zalaalat per utarney ka koyee mousam nahi.n hota

nateejaye fikr
haamidbaaqri
alhamdulillah

wa alaikumussalaam
sara saahebah

aapki mukhlisaanah daad ko hum qubool karte hai.n aur allah(sbhnwt)se dua karte hai.n keh woh aapko nazre bad se bachaaye.aameen

mukhlis
haamidbaaqri