Page 1 of 1

"pyaar se"nayee nazm peshe khidmat hai

Posted: Sat Jan 21, 2006 11:44 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

abhi abhi aik nazm huee hai yeh hum aap ahbaab ki nazr kar rahe hai.n.
umeed hai pasand farmaaye.nge

arz kiya hai

zindagi apni guzaaro dosto tum pyaar se
dooriyaa.n nazdeekiyaa.n ho.n pyaar ke izhaar se

pyaar se murdaH dilo.n ko zindagee miljaayegee
pyaar ke do bol kehker dekhlo beemaar se

pyaar hota hai jahaa.n hoti wahaa.n hai zindagi
zindaH rahna hai to bhaai pyaar karlo pyaar se

hai tumhare dil mei.n gar bughzo hasad ki gandagi
saaf karlo dil ko apne tum khuda ke pyaar se

ahmede mursal ke pairau gar bane.n insaan sab
mehkega duniya ka gulshan unke is kirdaar se

baant te gar tum chaloge pyaar haamid dahr mei.n
dher saara pyaar tum paaoge is sansaar se

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Bahut khoob

Posted: Sun Jan 22, 2006 3:59 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :-)

aapki nazm aapke hi andaaz meiN bahut khoobSoorat hei. YooN maAloom houtaa hei ke aap ne yeh nazm jaldi meiN kahi aur us ke baAd nazar-e-caani bhi nahiN kii.

MatleA meiN aap ne jamA ke seghe ko mukhaaTib kiyaa hei aur us ke baAd se mufrad ke seghe ko. Is se nazm kaa tasalsul majrooH hougayaa hei. Ummeed ke nazar-e-caani farmaayenge.

Waise mazmoon ke iAtibaar se aapki nazm aek kaamyaab koushish hei jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


aapka mukhliS,
Nazir.


Re: Bahut khoob

Posted: Thu Jan 26, 2006 12:53 pm
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :-)

aapki nazm aapke hi andaaz meiN bahut khoobSoorat hei. YooN maAloom houtaa hei ke aap ne yeh nazm jaldi meiN kahi aur us ke baAd nazar-e-caani bhi nahiN kii.

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

bilkul sahi kaha aapne.hum bahut jaldi mei.n the us din aur humse yeh ghalati hogayee.

MatleA meiN aap ne jamA ke seghe ko mukhaaTib kiyaa hei aur us ke baAd se mufrad ke seghe ko. Is se nazm kaa tasalsul majrooH hougayaa hei. Ummeed ke nazar-e-caani farmaayenge.

ghalati ki nishandahi keliye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.
humne munasib tarmeem kardi hai.baraaye karam aikbaar dekhle.n.

Waise mazmoon ke iAtibaar se aapki nazm aek kaamyaab koushish hei jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

aapki hauslah afzaaye aur purkhuloos daad ke hum behad shukrguzaar hai.n.

allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen

tifle maktab
haamidbaaqri


aapka mukhliS,
Nazir.