Bohot din se koi kalaam share nahiN kia tha, aaj Sara ne farmayish ki to yuN maiN apni aik ghazal liye chali ayi. Taza kalaam to bohot din se nahiN likha. Ye ghazal 6 months pehle ki hay, lekin ab ja k post ki hay internet per. Aap sab ke tassuraat ka intizaar rahega.

Ghazal:
Dil meiN Hasrat koi chhupii to nahiN?
Tum bhi meri tarah dukhi to nahiN?
Jese mausam badalte rehte heN
Ye muhabbat bhi mausami to nahiN?
Jesi chahat hameN mili tujh se
Is se pehle kabhi mili to nahiN
Kab tumhare baGher jeete heN
Saans lena hi zindagi to nahiN
Jal rahay heN charaaGh bhi ghar meiN
HaaN magar in meiN raushnee to nahiN
Ab bhi anmol muskurati hay
Us k dil meiN magar Khushi to nahiN
:Anmol: