"nah is jahaaN kee Khabar hai nah us jahaaN kee Khabar!
Posted: Sat Jul 09, 2005 5:11 am
yaaraan-e-bazm: aadaab!
teen haftoN ke ba'd aaj HaaZ^ir ho rahaa hooN. yeh waqt :suffer: meN guZraa aur internet tak meree rasaayee :ba-qadr-e-baadaam: hee rahee. is dauraan meN do GhazaleN ho gayeeN aur ek maZ^moon bh`ee likh`aa. ek Ghazal aaj pesh-e-Khidmat hai. maZ^moon kee nok-palak durust kar looN to jald hee us ko bh`ee pesh karooN gaa. inshaa-Allah!
yeh Ghazal Qalandar Bakhsh "Jur,at" kee t^araH meN hai: "nah is jahaaN kee Khabar hai nah us jahaaN kee Khabar!" guZaarish hai keh apnee raaYe se nawaazeN. mazeed yeh keh maqt^e' ko ziyaadah qaabil-e-e'tinaa nah jaaneN. English meN is t^arz-e-teHreer ko :tongue in cheek: kehte haiN! ya'nee yeh maqt^a' sanjeedagee se naheeN kahaa gayaa hai! Allah, Allah, Khair SalaaH!
aap ke ta,accuraat kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah peshagee HaaZ^ir hai!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
-------------------------------------------
GHAZAL:
jigar kee, dil kee, nigaahoN kee, jism-o-jaaN kee Khabar!
rakh`ooN to rakkh`ooN maiN aaKhir kahaaN kahaaN kee Khabar?
qafas-naSeeb hooN, kyoN kar ho aashiyaaN kee Khabar?
bh`alaa zameeN ko bh`ee hotee hai aasmaaN kee Khabar?
maiN apne paas se guZraa to yooN huwaa meHsoos
keh kaarwaaN ko naheeN gard-e-kaarwaaN kee Khabar!
junooN ne waaqif-e-Islam kar diyaa warnah
kise th`ee furSat-e-sajdah, kise aZaaN kee Khabar!
Khudaa ko bh`ool gayaa maiN pa,Ye Khud-aagaahee
:nah is jahaaN kee Khabar hai nah us jahaaN kee Khabar: (Jur,at)
jo ho sake to kaho t^oor-e-i'shq-saamaaN kee
jahaaN peh hosh uRe th`e mire, wahaaN kee Khabar!
KhizaaN hai gulshan-e-hastee meN Khud se meHroomee
bahaar kyaa hai? isee qaryah-e-amaaN kee Khabar!
yeh sar-bureedah tamanaa, yeh Khoon Khoon umeed!
Sadaa-ba-SeHraa hai ik, ek imtiHaaN kee Khabar!
woh saa,a't-e-guZaraaN ho keh lamHah-e-maujood
tamaam Haalat-e-yak-u'mr-e-raa,igaaN kee Khabar!
jise bh`ee dekh`iYe th`aa meHv-e-bazm-aaraayee
kisee ko kab rahee "Sarwar" se nuktah-daaN kee Khabar? (al-a'yaaZ^a" bi.llaah!)
---------------------------------------