aek bahut puraani ghazal. Abdullah Nazir.
Posted: Thu Jun 23, 2005 3:34 pm
MuHtaramaat o Muh\Htarameen
Arbaab-e-Mehfi aur aHbaab-e-sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
Apni aek bahut puraani ghazal lekar Haazir houaa hooN. Ummeed ke pasand aayegi.
G H A Z A L roman meiN
apni saansaoN meiN basaalooN tiri khushboo jaanaaN
Hou shab-e-vaSl jo mumkin kisi pehloo jaanaaN
Jaada-e-shauq meiN kiyuN dushman-e-jaaN hei dunaa
Kyaa mire karb se aagaah nahiN tuu jaanaaN
TooTkar dil, tire andaaz-e-taghaaful ke sabab
Micl-e-aayienah bikhar jaaye nah her soo jaanaaN
Khoobiy-e-Husn tiri vaSf se baahar hei magar
Kyaa kahuN, gar nah kahuN maiN tujhe mehroo jaanaaN
Koo-bakoo phirtaa hooN, maiN housh ganwaa baiThaa hooN
Chal gayaa jab se tire pyaar kaa jaadoo jaanaaN
Kabhi nazraoN se giraanaa kabhi apnaa kehnaa
Mujhko badnaam nah karde yeh tiri khoo jaanaaN
sharH-e-asraar-e-muHabbat kii zaroorat kyaa hei
ham samajh lenge ba-yak junbish-e-abroo jaanaaN
Sirf Nazir hii nahiN, maiN bhii tou ik insaaN hooN
Meri aankhaoN se bhii girjaate heiN aansoo jaanaaN.
=====
Aapka Mukhlis,
Nazir.