INTEHA
Posted: Sat Jun 18, 2005 6:30 am
Azeezan-e-Mehfil
Tasleemat..
Taza kalam pesh-e-khidmat he.
Umeed he pasand aaye ga.

Tasleemat..
Taza kalam pesh-e-khidmat he.
Umeed he pasand aaye ga.




Steve Almas wrote:Azeezan-e-Mehfil
Tasleemat..
Taza kalam pesh-e-khidmat he.
Umeed he pasand aaye ga.![]()
![]()
![]()
Najma Jijanab Steve Almas
aadaab
aapka kalam bohat hi paand aya.har she,r ek apna hi umdah andaaz aur khayal liye hay.
waah
dilii daad qubool kijiye
khair andesh
najma
Sara JiAlmas ji,
Adaab arz hai.
waah! subh subh aapka kalaam dekh ker bohat khushi hui.
maine aapki hansti muskuraati tehreerein ziyada paRhi hain, is kavish ka zara mukhtalif rang hain.
ye andaaz bhi pasand aaya. bohat hi dilkush aur jazbaat se bharpoor is kavish per daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
shehr-e-afsos mien gul hue sab diiye
ghup andhera hai dushman hawaa hougayii
waah! bohat khoob!
haal-e-dil us se Almaas poocho zara
zindagi mil ke jis se khafa hougayii
bohat bohat khoob!
sara
Janab-e mohtaram Nazir SahabMuHtaram
Steve Almas Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal majmooAi Taur per beHad pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka rang-e-tghazzul din ba'din dilkash houtaa jaarahaa hei. Ummeed hei ke aapka safar-e-sukhan yooN hii jaari rahegaa aur ham ko aapkaa kalaam paRhne kaa mauqaA moyassar aataa rahegaa. Shukriyah.
Aapka Mukhlis,
Nazir.