Page 1 of 1
"ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
Posted: Wed Jun 08, 2005 5:46 am
by Ibn-e-siddique
Assalam-o-alaikum
ustaad shaa'ir janaab Abdullah Nazir ke taraHi misre per meri kawish haazir hai, her chand ke is zameen meiN she'r kehna mere liye ju-e-sheer laane ke mutaraadif hua, radeef ne bahot si paabandiyaaN aayed karne ki koshish ki :D, phir bhi jo ash'aar hue, aap ke saamne haiN :
kaun hai aaj paasdaar-e-ghazal?
uTh gaye saare taajdaar-e-ghazal
kuch nahiN mujh ko ikhtiyaar-e-ghazal
phir bhi rehta hooN bay.qaraar-e-ghazal
ghalib-o-meer jis meiN rehte hoN
kaise ujRe ga vo deyaar-e-ghazal
sinf-e-naazuk bahot haiN urdu meiN
maiN to hooN bas umeed.vaar-e-ghazal :D
jab milaa she'r meiN jigar ka lahoo
baRh gayaa aur aitibaar-e-ghazal
ahl-e-fun jaa chuke dabistaaN se
"ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
aik se baRh ke ik sukhanwar hai
par nahiN koi ghamgusaar-e-ghazal
dil ki dunya udaas rehti hai
cheiR do phir se koi taar-e-ghazal
phool pazzhmurdah , zard haiN patte
kitna veeraaN hai shaakhsaar-e-ghazal
aa rahe haiN khayaal meiN mazmooN
bas ke thoRa sa intizaar-e-ghazal
tahee daamaaN nahiN Nabeel urdu
ab bhi baaqi haiN jaaN.nicaar-e-ghazal
shukria
amjad
Re: "ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
Posted: Wed Jun 08, 2005 3:00 pm
by najma
Ibn-e-siddique wrote:Assalam-o-alaikum
ustaad shaa'ir janaab Abdullah Nazir ke taraHi misre per meri kawish haazir hai, her chand ke is zameen meiN she'r kehna mere liye ju-e-sheer laane ke mutaraadif hua, radeef ne bahot si paabandiyaaN aayed karne ki koshish ki :D, phir bhi jo ash'aar hue, aap ke saamne haiN :
kaun hai aaj paasdaar-e-ghazal?
uTh gaye saare taajdaar-e-ghazal
kuch nahiN mujh ko ikhtiyaar-e-ghazal
phir bhi rehta hooN bay.qaraar-e-ghazal
ghalib-o-meer jis meiN rehte hoN
kaise ujRe ga vo deyaar-e-ghazal
sinf-e-naazuk bahot haiN urdu meiN
maiN to hooN bas umeed.vaar-e-ghazal :D
jab milaa she'r meiN jigar ka lahoo
baRh gayaa aur aitibaar-e-ghazal
ahl-e-fun jaa chuke dabistaaN se
"ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
aik se baRh ke ik sukhanwar hai
par nahiN koi ghamgusaar-e-ghazal
dil ki dunya udaas rehti hai
cheiR do phir se koi taar-e-ghazal
phool pazzhmurdah , zard haiN patte
kitna veeraaN hai shaakhsaar-e-ghazal
aa rahe haiN khayaal meiN mazmooN
bas ke thoRa sa intizaar-e-ghazal
tahee daamaaN nahiN Nabeel urdu
ab bhi baaqi haiN jaaN.nicaar-e-ghazal
shukria
amjad
waaaaah amjad miyaaN waaah
masha allaah roz ba roz nikhaar hi aata cha jarahay hay, tumhare andaz-e-fikr meiN.
kya baat hay
yuuN to poori ghazal ki pasand aae , lekin ye she,r======
dil ki dunya udaas rehti hai
cheiR do phir se koi taar-e-ghazal
waaah waah waah
kya taGhazzul hay is meiN.
ek kamyab kalaam par hamari janib se bhar-puur daad qubool karo
aur haa
zara Thehro
daad k saath hazaroN---------- :P

Posted: Wed Jun 08, 2005 3:02 pm
by Anmol
Ibn-e-siddique wrote:Assalam-o-alaikum
Walekum Salam, jeete rahiyye.
Guz.50 ke teHt meri kawish haazir hai, her chand ke is zameen meiN she'r kehna mere liye ju-e-sheer laane ke mutaraadif hua, radeef ne bahot si paabandiyaaN aayed karne ki koshish ki :D, phir bhi jo ash'aar hue, aap ke saamne haiN :
Radeef ne to aap ko bohot roka, lekin aap na ruke.
kaun hai aaj paasdaar-e-ghazal?
uTh gaye saare sheh.savaar-e-ghazal
Nice sher. Aap heN na paasdaar-e-ghazal.
Qafiye ache use kiye heN aap ne, wese sheh.savaar se to ghuR sawari yaad aa gayi.
kuch nahiN mujh ko ikhtiyaar-e-ghazal
phir bhi rehta hooN bay.qaraar-e-ghazal
Ab in Ghazal sahiba se milna hi paRega jin k liye aap is qadar beqaraar rehte heN. Khuda Khair kare.
sinf-e-naazuk bahot haiN urdu meiN
maiN to hooN bas umeed.vaar-e-ghazal
Yani bohot si sinf-e-nazuk meiN bus aik Ghazal sahiba hi aap ke jee ko bhaayi heN.
jab milaa she'r meiN jigar ka lahoo
baRh gayaa aur aitibaar-e-ghazal
Acha sher hay, wese yahaN "baRh gaya aur bhi waqaar-e-ghazal"bhi ho sakta tha.
ahl-e-fun jaa chuke dabistaaN se
"ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
Aray aray kaun kehta hay jaa chuke? MaiN huN na.
dil ki dunya udaas rehti hai
cheiR do phir se koi taar-e-ghazal
Waah kya Khoob sher hay, zabardast. 8)
phool pazzhmurdah , zard haiN patte
kitna veeraaN hai shaakhsaar-e-ghazal
aa rahe haiN khayaal meiN mazmooN
bas ke thoRa sa intizaar-e-ghazal
Nice.
tahee daamaaN nahiN Nabeel urdu
ab bhi baaqi haiN jaaN.nicaar-e-ghazal
Ji ji bilkul jese k aap. 
Amjad Sahib, arsa daraaz ke baad aap ki koi Ghazal paRhne ko mili,
aur yaqeen kijiye k bohot pasand aayi, itni mushkil zameen ko aap ne itni sahoolat se nibhaya hay k herat ho rahi hay. Sabhi ashaar Khoob heN, DheroN daad qubool kijiye.
shukria
amjad
AnmoL :D
Posted: Wed Jun 08, 2005 7:07 pm
by zmufti
ibne siddique sahib
buhat khoob
meri taraf se daad qabool kijye
regards
zmufti
Bahut khoob waah waah
Posted: Wed Jun 08, 2005 7:18 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Amjad Nabeel Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Urdustan kii Guzarish 50 per khaaksaar ke diye houe miSreA per aapki TaraHi ghazal ma'shaa'allah bahut khoob hei.
Saare ke saare ashAar beHad pasand hei. Is liye maiN ne munaasib nahiN samjhaa ke tafseeli tabSirah karuN.
Meri dilii daad aur mubaarakbad qubool framaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Posted: Fri Jun 10, 2005 4:25 am
by Sarwar A. Raz
mukarramee Amjad SaaHeb:aadaab!
aap kee t^araHee Ghazal naz^ar-nawaaz huyee. aap ne zameen kaa Haq Khoob adaa kiyaa hai. haaN Ghazal kaa andaroonee-taZ^aad dekh kar yeh faiSilah naheeN kar sakaa keh is ko naz^m kahooN yaa Ghazal-e-musalsal. Khair, jo bh`ee hai achh`ee hai. daad HaaZ^ir hai. qubool farmaa,iYe.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
Re: "ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
Posted: Fri Jun 10, 2005 1:38 pm
by Ibn-e-siddique
najma wrote:
waaaaah amjad miyaaN waaah
masha allaah roz ba roz nikhaar hi aata cha jarahay hay, tumhare andaz-e-fikr meiN.
kya baat hay
yuuN to poori ghazal ki pasand aae , lekin ye she,r======
dil ki dunya udaas rehti hai
cheiR do phir se koi taar-e-ghazal
waaah waah waah
kya taGhazzul hay is meiN.
ek kamyab kalaam par hamari janib se bhar-puur daad qubool karo
Najma baji:
salaam arz hai
aik taveel arse baa'd aap se baraah-e-raast baat ho rahi hai, kaisi haiN aap , umeed hai khairiyat se hoNgi, aap ne is ghazal ko pasand farmaaya, goya khaaksaar ka 2 kilo khoon baRh gayaa :D :D
bharpoor daad ke liye maiN dil se aap ka mamnoon hooN
bahot bahot shukria
sadaa khush raheN
Amjad
shukria Najma baji, ye bhi qubool kar liya ham ne ;) :mrgreen:

lol

Re: "ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
Posted: Fri Jun 10, 2005 1:41 pm
by najma
Ibn-e-siddique wrote:najma wrote:
waaaaah amjad miyaaN waaah
masha allaah roz ba roz nikhaar hi aata cha jarahay hay, tumhare andaz-e-fikr meiN.
kya baat hay
yuuN to poori ghazal ki pasand aae , lekin ye she,r======
dil ki dunya udaas rehti hai
cheiR do phir se koi taar-e-ghazal
waaah waah waah
kya taGhazzul hay is meiN.
ek kamyab kalaam par hamari janib se bhar-puur daad qubool karo
Najma baji:
salaam arz hai
aik taveel arse baa'd aap se baraah-e-raast baat ho rahi hai, kaisi haiN aap , umeed hai khairiyat se hoNgi, aap ne is ghazal ko pasand farmaaya, goya khaaksaar ka 2 kilo khoon baRh gayaa :D :D
bharpoor daad ke liye maiN dil se aap ka mamnoon hooN
bahot bahot shukria
sadaa khush raheN
Amjad
shukria Najma baji, ye bhi qubool kar liya ham ne ;) :mrgreen:

lol


Posted: Sun Jun 12, 2005 11:50 am
by Ibn-e-siddique
Radeef ne to aap ko bohot roka, lekin aap na ruke.
bajaa farmaaya, sho'araa Hazraat akcer radeef-o-qavaafi per ghalba paa jaate haiN :D
Nice sher. Aap heN na paasdaar-e-ghazal.
Qafiye ache use kiye heN aap ne, wese sheh.savaar se to ghuR sawari yaad aa gayi.
navaazish , jee ham paasdaaraan-e-ghazal meiN shaamil hone ki koshish kar rahe haiN ;), vaise "sheh.savaar" ke ilaava maine substitue qaafiya "taajdaar" bhi soch rakha hai 8)
Ab in Ghazal sahiba se milna hi paRega jin k liye aap is qadar beqaraar rehte heN. Khuda Khair kare.
:D :D :D :D
Yani bohot si sinf-e-nazuk meiN bus aik Ghazal sahiba hi aap ke jee ko bhaayi heN.
jee ;), kia kareN, nazm aur deegar asnaaf ki jaanib rukh nahiN kia abhi
Acha sher hay, wese yahaN "baRh gaya aur bhi waqaar-e-ghazal"bhi ho sakta tha. :)
shukria :), aap ka mujavviza misra bhi pasand aaya, 'bataur-e-substitute' rakh leta hooN ;)
ahl-e-fun jaa chuke dabistaaN se
"ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
Aray aray kaun kehta hay jaa chuke? MaiN huN na. :D
oh haaN aap to yehiiN per haiN, actually maiN apni baat kar rahaa tha
, magar maiN bhi yehiiN hooN, isi liye to "raunaq-e-bahaar-e-ghazal" vaapas aa rahi hai :P
dil ki dunya udaas rehti hai
cheiR do phir se koi taar-e-ghazal
Waah kya Khoob sher hay, zabardast. 8)
bahot bahot shukria, navaazish :)
phool pazzhmurdah , zard haiN patte
kitna veeraaN hai shaakhsaar-e-ghazal
aa rahe haiN khayaal meiN mazmooN
bas ke thoRa sa intizaar-e-ghazal
Nice.
"nice" ke liye bhi shukria :D
Ji ji bilkul jese k aap. 
jee jee yaqeenan ;)
Amjad Sahib, arsa daraaz ke baad aap ki koi Ghazal paRhne ko mili, :) aur yaqeen kijiye k bohot pasand aayi, itni mushkil zameen ko aap ne itni sahoolat se nibhaya hay k herat ho rahi hay. Sabhi ashaar Khoob heN, DheroN daad qubool kijiye. :) [/b]
Anmol saHiba!!, aap ko ghazal pasand aayee , samajhiye hamaari meHnat vusool ho gayee. aap ki daad aur pazeeraai ke liye bhi maiN aap ka mamnoon hooN
sadaa khush raheN :)
khaaksaar-e-ghazal (ye qaafiya reh gayaa tha :D ;))
amjad
Posted: Sun Jun 19, 2005 5:47 am
by Ibn-e-siddique
zmufti wrote:ibne siddique sahib
buhat khoob
meri taraf se daad qabool kijye
regards
zmufti
zarqa behen:
ghazal ko pasand farmaane ke liye bahot bahot shukria
sadaa khush raho :)
amjad
Posted: Sun Jun 19, 2005 7:36 am
by Mahtab Qadr
Amjad sahib salaam
Bhai bahut umda sher nikaale haiN aapne ,bahut khoob. tarhi ghazal ho to aisi ho :)
kaun hai aaj paasdaar-e-ghazal?
uTh gaye saare taajdaar-e-ghazal
wah wah khoob matla hai magar qabil e aiteraaz bhi , vo islye ke abhi Abhi Sarwar A.Raz sahib aur Abdullah Nazir sahib jaise Tajdaar e ghazal tashreef rakhte haiN ,Allah unki umr mai barkat ata farmaye ,aise mai saare taajdaar ke bajaye ,
uth gaye kitne taajdaar e ghazal , meri naqis raye mai munasib tha.
kuch nahiN mujh ko ikhtiyaar-e-ghazal
phir bhi rehta hooN bay.qaraar-e-ghazal
wah wah
ghalib-o-meer jis meiN rehte hoN
kaise ujRe ga vo deyaar-e-ghazal
bahut khoob
sinf-e-naazuk bahot haiN urdu meiN
maiN to hooN bas umeed.vaar-e-ghazal :D
aray wah bhai aapne to hazb e haal sher kaha hai khas taur par urdusites par ye sher bilkul fit aata hai:)
jab milaa she'r meiN jigar ka lahoo
baRh gayaa aur aitibaar-e-ghazal
bahut umda , bilkul haqeeqat hai.
ahl-e-fun jaa chuke dabistaaN se
"ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
hmm ji
aik se baRh ke ik sukhanwar hai
par nahiN koi ghamgusaar-e-ghazal
acha khyal hai
dil ki dunya udaas rehti hai
cheiR do phir se koi taar-e-ghazal
khoob
phool pazzhmurdah , zard haiN patte
kitna veeraaN hai shaakhsaar-e-ghazal
theek hai
aa rahe haiN khayaal meiN mazmooN
bas ke thoRa sa intizaar-e-ghazal
acha hai
tahee daamaaN nahiN Nabeel urdu
ab bhi baaqi haiN jaaN.nicaar-e-ghazal
bilkul sahi hai,bahut acha
shukria huzoor isi tarah nawazte rahiye apni ghazloN se
Mahtab Qadr