Page 1 of 1
Posted: Mon Jun 06, 2005 8:12 pm
by najma
bohat khoob s almas sahib
welcome back
apka kalaam bohat pasand ayaa.
bohat khoob waah waaaah
sirf 1-2 alfaaz ki adaaigii /talaffuz ka farq hay, warnabaqi to hameN bohatpasand aaee.
ham nishan-dahii to kar rahay haiN, lekin ye ummeed bhi hay keh aap mehsoos naheeN kareNgay.
1=pyaarii see chhez kyuuN( naa)==dar asl ye naa (noon alif zabar naa)naheeN, bal-k na(noon zabar na)ke wazn par hota hay. is se apke misr,e ka wazn gir raha hay
2=zehn-o-jigar meiN bhar leiN tere (lamas) ka sawera
(lamas)==saheeh lafz =lam,s= hay
(lamas) ka sawera==ye tarkeeb bhi hameiN samajh naheeN aasakii, wazahat farmaa deiN to inayat hogii
ma,navii lihaaz sekuch bateiN asaatiza-e-kiram hifarmaa sakeNgay.
majmooee taur pe apka kalaam bohatpasand aaya
daad qubool kijiye

Posted: Tue Jun 07, 2005 2:03 pm
by Steve Almas
sirf 1-2 alfaaz ki adaaigii /talaffuz ka farq hay, warnabaqi to hameN bohatpasand aaee.
ham nishan-dahii to kar rahay haiN, lekin ye ummeed bhi hay keh aap mehsoos naheeN kareNgay.
1=pyaarii see chhez kyuuN( naa)==dar asl ye naa (noon alif zabar naa)naheeN, bal-k na(noon zabar na)ke wazn par hota hay. is se apke misr,e ka wazn gir raha hay
2=zehn-o-jigar meiN bhar leiN tere (lamas) ka sawera
(lamas)==saheeh lafz =lam,s= hay
(lamas) ka sawera==ye tarkeeb bhi hameiN samajh naheeN aasakii, wazahat farmaa deiN to inayat hogii
majmooee taur pe apka kalaam bohatpasand aaya
daad qubool kijiye
Najma Ji
Aadab-o-Niaz
Itni purkhuloos Daad ka Shukriya qabool kijiye.
Lam,s ko mene Lam,s hi likha he Lamas nahein, doosray Lam,s ka sawera uss roshni ki taraf ishara he jo kisi ke pass hone aour chooney se jism mein khilti he, to isse zara uss andaz se dekhiye.
Daad ka phir se shukriya
Posted: Tue Jun 07, 2005 2:26 pm
by Steve Almas
Almas saahib,
salaam.
is mehfil ke liye apka ye anmol tohfa pasand aaya.
bohat khoob! husn o ada se aapne bohat haseen adayein maange hain .
ghazal ke sabhi ahsaar bohat pasand aaye, paRhte hue hum bhi usi manzar mein kho se gaye. dhair saari daad qubool keejiye.
aapke aur bhi kalaam ka intezar rahega.
sara
Sara ji
Aadab
Ghazal Qabool kerney ka shukriya qabool karein
A'inda mulaqat rahe gi
Almas
Posted: Tue Jun 07, 2005 6:43 pm
by najma
Steve Almas wrote:sirf 1-2 alfaaz ki adaaigii /talaffuz ka farq hay, warnabaqi to hameN bohatpasand aaee.
ham nishan-dahii to kar rahay haiN, lekin ye ummeed bhi hay keh aap mehsoos naheeN kareNgay.
1=pyaarii see chhez kyuuN( naa)==dar asl ye naa (noon alif zabar naa)naheeN, bal-k na(noon zabar na)ke wazn par hota hay. is se apke misr,e ka wazn gir raha hay
2=zehn-o-jigar meiN bhar leiN tere (lamas) ka sawera
(lamas)==saheeh lafz =lam,s= hay
(lamas) ka sawera==ye tarkeeb bhi hameiN samajh naheeN aasakii, wazahat farmaa deiN to inayat hogii
majmooee taur pe apka kalaam bohatpasand aaya
daad qubool kijiye
Najma Ji
Aadab-o-Niaz
Itni purkhuloos Daad ka Shukriya qabool kijiye.
Lam,s ko mene Lam,s hi likha he Lamas nahein, doosray Lam,s ka sawera uss roshni ki taraf ishara he jo kisi ke pass hone aour chooney se jism mein khilti he, to isse zara uss andaz se dekhiye.
Daad ka phir se shukriya
mohtaram s.almas sahib
aadaab
aap ka kehna bajaa hay, dar asl aap ne ''tiree'' aur ''tire'' koe nichay do nuqte jo lagaey haiN, is typo ki wajh se wazn meiN farq paRa, aur usii ke sabab ''lamas''paRha gaya.
warnah apka kalaam to ham arz kar hi chuke haiN k hameiN bohat pasand ayaa hay.
khair andesh
najma

Bahut khoob
Posted: Sat Jun 11, 2005 5:56 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaram
Steve Almas Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut hii khoobiyaaN lii houii hei. Agar ba'z chouTi sii bhool chook hei lekin meri nazar meiN aapka andaz-e-bayaaN bahut hii khoobsoorat hei.
Is kaavish per khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.