Page 1 of 1
Abdulla Nazir Sb ki dushwar zameen meN meri ghazal........
Posted: Fri Jun 03, 2005 7:41 am
by jawaid badauni
Azeezo! Salam aur Doa
Buzurg shayar Abdulla Nazir Sahab ne iss baar Urdustan ke mahana tarahee Mushaaireh ke liye bahut dushwaar zameen tajweez farmayee hai. Yeh baqaul unke unki aaKhree tajweez hai. MaiN unke hukm ko nazar andaz nahiN kar sakta tha. Lihaza lamhoN meN chand ashAAr kahne ki koshish ki hai. Yeh ek ghiar riwayati ghazal hai, Allah jane aapko pasaNd aayegi bhi keh nahiN. Apni aara se aagah kijiyega.
Khair Andesh,
Ahqar,
Jawaid Badauni
---------------------------------------------------------------------- -------
GHAZAL
Jo nah ban paaye jaNnicaar-e-ghazal
Kya uTha payeNge woh baar-e-ghazal
GhaT gaya iss qadar waqaar-e-ghazal
Hai suKhan aaj sogwaar-e-ghazal
“Meer”.O.”Ghalib” ! ghazal thee tum peh nicaar
Aur hum Khood haiN jaNnicaar-e-ghazal
Hain khazayeN hi bus adab ka naseeb
“Ab kahaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal”
Zulf-e mahboob se ziyaada Kham !
Itni purpech rahguzaar-e-ghazal !
Dil hai nashshe meN zahn hai mud.hosh
Wah kya cheez hai Khumaar-e-ghazal
KyooN na ho naaz oos watan peh mujhe
Hai “Badaun” mira dayaar-e-ghazal
Chund ashAAr aur bus "Jawaid"
Kis liye itna iKhtisaar-e-ghzal
Re: Abdulla Nazir Sb ki dushwar zameen meN meri ghazal......
Posted: Sat Jun 04, 2005 5:48 am
by jawaid badauni
Azeeza Sara Bahin,
Aap ki daad yooN to rasmee hai magar iss meN dili Khuloos yaqeenan shamil hai. Bahut bahut shukriya Bibi. Ghazal to maiN ne kah lee magar bAAd meN ehsas hoa yeh Ghazal kum "Ghazal" unwaan se Nazm ziyada dikhtee hai. Kya kiya jaye radeef hi aisee hai.
Aap bhi koshish kijiye kuch AshAAr kahne ki.
Khairtalab,
Jawaid
Posted: Thu Jun 09, 2005 8:09 am
by Raji
moHtaram janab-e-Jawaid Badauni SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemat,
Abdlullah Nazir SaaHeb kee zameen par aap kee yeh ghazal mujhe bhi bohat pasand aayii hai. yeh zameen bilashubaa' bohat dushvaar hai. aap se do ek kauna-mashqooN kee khoobSoorat takhleeqaat ke ba'ad meree bhi khwahish hoovii hai ke taba' aazmaahii karooN lekin abb tak khatir khwah kamyaabi naheN milee hai.
meree janib se ek kamyaab ghazal kehne par dharooN daad aur mubarakbaad qubool keejiy.
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
Posted: Thu Jun 09, 2005 7:09 pm
by najma
bohat khoob jawaid bhaee
wallaah kya kalam ata farmaya hay aap ne
bohat achay
hamari janib se dilii daad qubuul kijiye
khair andesh
najma
Posted: Fri Jun 10, 2005 4:05 am
by Sarwar A. Raz
mukarramee Jawaid SaaHeb:aadaab!
aap kee t^araHee Ghazal dekh`ee. aap ne zameen kaa Haq Khoob adaa kiyaa hai. Ghazal achh`ee hai aur pasand bh`ee aayee. daad HaaZ^ir hai.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Posted: Fri Jun 10, 2005 7:30 am
by jawaid badauni
Mohtram Sarwar Raz ChaNdpuri Sahab,
Ghazal ki pazeeraaii ke liye behud mamnoon hooN. Mushaaireh itne ziyada hone lage haiN keh ab in GhazaloN per nazar-e caani ka waqt bhi nahiN mil paata hai.
Ahqar,
Jawaid Badauni
Posted: Fri Jun 10, 2005 7:34 am
by jawaid badauni
najma wrote:bohat khoob jawaid bhaee
wallaah kya kalam ata farmaya hay aap ne
bohat achay
hamari janib se dilii daad qubuul kijiye
khair andesh
najma
Mohtarma Najma Ansar SahibaH
Ghazal aap ko pasand aaii mujhe behud Khooshee hoii. Bahut bahut shukriya.
Mukhlis
Jawaid Badauni
Posted: Fri Jun 10, 2005 7:37 am
by jawaid badauni
Raji wrote:moHtaram janab-e-Jawaid Badauni SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemat,
Abdlullah Nazir SaaHeb kee zameen par aap kee yeh ghazal mujhe bhi bohat pasand aayii hai. yeh zameen bilashubaa' bohat dushvaar hai. aap se do ek kauna-mashqooN kee khoobSoorat takhleeqaat ke ba'ad meree bhi khwahish hoovii hai ke taba' aazmaahii karooN lekin abb tak khatir khwah kamyaabi naheN milee hai.
meree janib se ek kamyaab ghazal kehne par dharooN daad aur mubarakbaad qubool keejiy.
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
Bahin Zahida SahiabaH Tasleemaat
MaiN kisee doosri site per aap ko jawab de chuka hooN. Ghazal aap ko pasaNd aaii mujhe bahut Khooshi hoii. Behud mamnoon hooN aapka.
Aap apni Ghazal ko mukammal kar ke bhej deejiyega. Mujhe intezar rahega.
Jawaid Badauni