assalaamoa'laikum!
ba'Z tarHee miSre' aisay hotay haiN keh Ghazal kahlwaa hi daitay haiN -ustaad-e-muHtaram Sarwar SaaHib ne bhee aisay hi aik miSre' peh khoobSoorat Ghazal kah ke ham maiN taHreek paidaa kee hay -AsGhar GauNDvee SaaHib kaa yeh miSra' bahut buland hay aur is ki zameen dushwaar bhee-sauchaa mashq-e-sukhan kaa khoob mauqa' hay chunaaNcheh is zameen maiN chalnay ki sa'aadat HaaSil kee hay-
mairee aap HaZraat se dastbastah guzaarish hay keh kuCh maSroofiyaat ke sabab aap ki takhleeqaat peh raa.ay dainay kaa mauqa' kam mil paata hay,ma'zarat, chunaaNcheh woh aHbaab jo badlay ki tavaqqo' par iz'haar-e-raa.ay kartay haiN zaHmat nah farmaa.aiN keh un ko nateejatan aziyyat hotee hay aur sabab maiN bantaa hooN -maaZee qareeb maiN agar aisaa huvaa hay to maiN bama' iHsaas-e-sharmindagee ma'zirat.khwaah hooN -
ab yeh "Ghazal.numaa" paRhiye -waaZeh rahay keh mairee kaavishoN maiN chooNkeh rivaayatee taGhazzul khaal khaal hi hotaa hay is liye bad.u'nvaanee se parhaiz kartay huvay Ghazal ke bajaa,ay apnee kaawish "Ghazal.numaa" ke u'nvaan ke taHt paish kar rahaa hooN -qiSSah mukhtaSar mulaaHizah farmaaiyay:
Ghazal.numaaa
kahaa farishtoN ne sun mairaa naalah-e-saHaree
kahaaN se aa.ee hay aakhir Sadaa yeh dard bharee ?
woh aayaa khaanah-e-dil maiN ,junooN rahaa nah paree
tamaam shaurish-o-tamkeeN nicaar-e-bai.khabaree
har aik bazm-e-hunar hay bisaat'-e-bai.hunaree
har aik ahl-e-naz'ar hay shikaar-e-kam naz'aree
kahaaN se laaiyay woh jis ko apnaa kahtay ham
kahaaN pukaariyay "hay koi bahr-e-chaarah.garee?"
t'uloo'-e-mahr se kab apnay din badaltay haiN
huvee saHar shab-e-hajraaN rahee dharee ki dharee
yahaaN gunaahoN peh "Sattaar" pardah raKhtaa hay
umeed hay keh vuhaaN bhee nah ho gee pardah.daree
rukh-e-shaheed se lagtaa hay jaaN naheeN niklee ,
huvaa hay qatl kaa mulzim muqaddameh se baree
Siraat'-e-i'shq peh chalyay a'jab nishaat' hay "shaah" !
safar kaRaa hay magar mut'ma.in hay har safaree
__________________________