Nazir SaaHeb kee yeh Ghazal pesh kar ke aap ne kis zamaaneh kee yaad taazah kar dee! woh bhee kyaa din the jab Nazir SaaHeb yahaaN apnaa kalaam i'naayat karte the aur maiN us par tabSirah kartaa thaa. phir to Khoob hee beHc hotee, nayee soch kee raaheN khulteeN, ek doosre se seekhte aur haNste bolte aglee Ghazal tak ke liYe ruKhSat ho jaate the.
Allah un ko SeHat a'tâa farmaaYe. daad ke saath meraa salaam Nazir SaaHeb ko poNhchaa deN.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa