
dosto
taza tarhi ghazal hum aapki bacaaratoN kay hawaalay kar rahay haiN.
gar qubool uftad zahay.....
arz kiya hai......
maiN hoon kaun,kya haooN,kahaaN hooN maiN,mujhay chaahiye yeh jawaab hai
miree zeest miclay hubaab hai,mira mukhticar yeh shabaab hai
aye hawaa bataaday tu kaun hai ,nahiN aati kyuN tu mujhay nazar
tire dam say mera wujood hai, tu nahiN tau zindagi khwaab hai
woh zameeN pe hoN ya tahay zameeN,unheN zindah rehnay kay waastay
nah samajh saka maiN yeh aaj tak,kyuN hawa kay baad yeh aab hai
jahaaN dekho nazm hi nazm hai,yeh nizaam kaisa nizaam hai
"nah kalaam hai nah payaam hai,nah sawaal hai nah jawaab hai"
suno mere haamid e baaqari,keh banaaya tumko hai jisnay bhi
woh hai aik us saa nahiN koyee,tumheN dena uskau hisaab hai
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah