aaj haftoN baa'd aap ke saamne apnii aek Ghazal paish karne ki jasaarat
kar rahaa hooN, ummeed hai k apnii qeematii aaraa se navaazeN ge :)
shukriya
Zia Baloch
GHazal :: Urdu V ::

:: Roman V ::
1.
bahaa hai Khoon to gulshan farozaaN kyooN naheeN hota?
jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN hota?
2.
agar shab Dhal chukii hai aur saHar kaa noor phailaa hai
to phir yeh noor chehrooN par numaayaaN kyooN naheeN hota?
3.
dareedaa-daamanoN ne gar lahoo se bhar diyaa SaHraa
to us se nam koii Khaar-e-muGheelaaN kyooN naheeN hota?
4.
agar bastii hai yeh ahl-e-junooN kii to yeh batlaao
k is bastii meiN phir chaak-e-garebaaN kyooN NaheeN hota?
5.
Sadaa'eN dii to haiN maiN ne, bahaareN kyooN naheeN aateN?
koii murGh-e-chaman ab ke Ghazal-KhvaaN kyooN naheeN hota?
6.
jise dekho darinda hai libaas-e-aadamiyyat meiN
bharii dunyaa meiN yaa rab! koi insaaN kyooN naheeN hota?
7.
Zia tum to yeh kehte the chaman hai yeh tumhaaraa bhii
to naGhmoN se tumhaare yeh gul-afshaaN kyooN naheeN hota?
Zia Baloch