Aek taazah ghazal irsaal karne kee saAadat HaaSil karrahaa hooN jiski beHr ke baare meiN kisi kitaab se taHqeeq nahiN housaki lekin meri nazar meiN yeh beHr qaaAide ke liHaaz se maAqool hei. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazakar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
Ghazal roman meiN:
Yeh karam hei Hasrat-e-deedaar kaa mujh per
Chalgayaa jaadoo nigaah-e-yaar kaa mujh per
Baad-e-Sarsar ne kiyaa be-aasraa taubah
Jab kaheeN saayah paRaa deewar kaa mujh per
Dil kee baateN un se kehkar hougayaa saakit
Kyaa nahiN iHsaaN lab-e-izhaar kaa mujh per
Zindagi meiN khanjar-e-jaur o sitam kab tak
Ab acar hougaa nah tere vaar kaa mujh per
Dekhkar raushan mujhe sar phir gayaa hougaa
Ai hawaa ilzaam hei bekaar kaa mujh per
Gar ameer-e-shehr hei tou saadagi se mil
ruAb chaayegaa nahiN dastaar kaa mujh per
Tanz hei aawaarah-gardi per miri shaayad
rehm khaanaa qaafilah-saalaar kaa mujh per
ahl-e-khaanah ke liye hooN baar ab yaaro
boujh thaa saaraa kabhi ghar-baar kaa mujh per
hougayaa ghurbat meiN Nazir be-sar o saamaaN
Dast-e-shafqat go keh thaa dildaar kaa mujh per
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
Last edited by Abdullah Nazir on Fri Oct 13, 2006 12:06 am, edited 1 time in total.
WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Aek taazah ghazal irsaal karne kee saAadat HaaSil karrahaa hooN jiski beHr ke baare meiN kisi kitaab se taHqeeq nahiN housaki lekin mari nazar meiN yeh beHr qaaAide ke liHaaz se maAqool hei. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazakar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
Ghazal roman meiN:
Yeh karam hei Hasrat-e-deedaar kaa mujh per
Chalgayaa jaadoo nigaah-e-yaar kaa mujh per
Baad-e-Sarsar ne kiyaa be-aasraa taubah
Jab kaheeN saayah paRaa deewar kaa mujh per
Dil kee baateN un se kehkar hougayaa saakit
Kyaa nahiN iHsaaN lab-e-izhaar kaa mujh per
Zindagi meiN khanjar-e-jaur o sitam kab tak
Ab acar hougaa nah tere vaar kaa mujh per
Dekhkar raushan mujhe sar phir gayaa hougaa
Ai hawaa ilzaam hei bekaar kaa mujh per
Gar ameer-e-shehr hei tou saadagi se mil
ruAb chaayegaa nahiN dastaar kaa mujh per
Tanz hei aawaarah-gardi per miri shaayad
rehm khaanaa qaafilah-saalaar kaa mujh per
ahl-e-khaanah ke liye hooN baar ab yaaro
boujh thaa saaraa kabhi ghar-baar kaa mujh per
hougayaa ghurbat meiN Nazir be-sar o saamaaN
Dast-e-shafqat go keh thaa dildaar kaa mujh per
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
mukarram-o-moHtaram Ustaz-ul-Asatizah Abdullah Nazir SaHeb tasleem!
aap kee tazah ghazal jo keh aek naee zameen meN aek naeY tajribe ke sath~ jalwah afrooz hai. a'aashiqaan-e-Ghazal ke seenooN ko nah Sirf garma rahee hai. balkeh dard aor firaaq ke kushtoN kee arwaaH ko daae'mee sooz-e-nihaanee se aashna bh~ee kar rahee hai.
maiN khud bh~ee is kefiyat se riha naheeN. dil-o-dimaaGh men halchal peda ho gaee hai. aor saaNsooN men hararat dil jala rahee hai.
puree Ghazal dard-o-ranj meN Dobee hoee hai. ghazal meN rudaad-e-shaam-e-Gham bh~ee hai. aor bechaargiYee-e- SubH-e-alam bh~ee!
kalam meN apnooN kee bewafaiYooN ka matam bh~ee hai aor zamane kee na qadree ka rona bh~ee roYa geYa hai.
aor Ghazal ka aakhree she'er to tarpa dene wala hai.
ahl-e-khaanah ke liye hooN baar ab yaaro
boujh thaa saaraa kabhi ghar-baar kaa mujh per
aap ne is she'er meN aqaarib ke chehre se banawaT aor takalluf ka pardah utaar bh~enka hai.
Yeh woh shikaYat hai jo aaj ke daor meN kam-o-beesh sabh~ee waledaeN ke labooN par hai. lekin sitam balaY-e-sitam Yeh hai keh woh apne jazbaat ka iz^haar bh~ee sahee lafz^ooN men naheeN kar pate.
aor yeh t^urfah tamashah garam hai aor garam rahe ga.
waledaen daraSal Yahee kehna chah rahe hote haiN. jo aap ne she'er meN keh diYa hai. aap ne puree kefiyat ko do miSro'oN meN sameeT kar goya un kee mushkil aasan kar dee hai.
is zameen meN khamah aara hona goYa lohe ke chane chabane ke mutradif hai. lekin aap ne nihayat kamYabee se Yeh kaTh~in tajribah kar keh ek naee jeht aor naee rah-e-iz^haar-e-sukhan hamwaar kar dee hai.
mere nazdeek ab aap hee is naee zameen ke khaliq-o-mojid haiN.
meree janib se is ikhtira'-e-dilfareeb par dilee mubarak baad dad aor taliYaaN qubool kijiYe!
Yeh karam hei Hasrat-e-deedaar kaa mujh per
Chalgayaa jaadoo nigaah-e-yaar kaa mujh per
waah! waah!
Baad-e-Sarsar ne kiyaa be-aasraa taubah
Jab kaheeN saayah paRaa deewar kaa mujh per
kiYa kehne!! waah ji waah!
Dil kee baateN un se kehkar hougayaa saakit
Kyaa nahiN iHsaaN lab-e-izhaar kaa mujh per
waah! waah!
Zindagi meiN khanjar-e-jaur o sitam kab tak
Ab acar hougaa nah tere vaar kaa mujh per
kiYa baat hai waah! waah!
Dekhkar raushan mujhe sar phir gayaa hougaa
Ai hawaa ilzaam hei bekaar kaa mujh per
kiya bat hai!
Gar ameer-e-shehr hei tou saadagi se mil
ruAb chaayegaa nahiN dastaar kaa mujh per
kiYa kehne!! waqae'ee dastaar ke ra'aob se kiYa hota hai.
Tanz hei aawaarah-gardi per miri shaayad
rehm khaanaa qaafilah-saalaar kaa mujh per
kiYa kehne!!waah!
ahl-e-khaanah ke liye hooN baar ab yaaro
boujh thaa saaraa kabhi ghar-baar kaa mujh per
kiYa kehne! waah waah waah! had kar dee hai aap ne! itne
baRe aor waseea' maZ^moon ko sameeTna jueY-e-sheer lana hai!
hougayaa ghurbat meiN Nazir be-sar o saamaaN
Dast-e-shafqat go keh thaa dildaar kaa mujh per
bohot khub bohot gehra maZ^Moon hai! samajh~ ne wale samajh~te haiN waah! waah!
Apni maAmooli see ghazal per aapke tafSeeli tabSireh ke liye beHad shukrguzaar hooN.
Meri shakhSiyat se mansoob kardah aapke diye houe alqaab is meiN koii shak nahiN ke mubaalighah heiN lekin aapke izhaar-e-khulooS kee khushboo bhee. Is besh-bahaa kanz-e-muaddat ko sanbhaalne ke qaabil nahiN hooN aur munaasib alfaaz kee kami meHsoos karrahaa hooN ke shukriyah adaa karsakooN.
Aayindah se is boujh tale mujhe nah dabaayiye balkeh Sirf ashAar kee tafSeeli sharH o basT per tavajjuh deN tou karam hougaa.
WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Aek taazah ghazal irsaal karne kee saAadat HaaSil karrahaa hooN jiski beHr ke baare meiN kisi kitaab se taHqeeq nahiN housaki lekin meri nazar meiN yeh beHr qaaAide ke liHaaz se maAqool hei. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazakar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
Ghazal roman meiN:
Yeh karam hei Hasrat-e-deedaar kaa mujh per
Chalgayaa jaadoo nigaah-e-yaar kaa mujh per
Baad-e-Sarsar ne kiyaa be-aasraa taubah
Jab kaheeN saayah paRaa deewar kaa mujh per
Dil kee baateN un se kehkar hougayaa saakit
Kyaa nahiN iHsaaN lab-e-izhaar kaa mujh per
Zindagi meiN khanjar-e-jaur o sitam kab tak
Ab acar hougaa nah tere vaar kaa mujh per
Dekhkar raushan mujhe sar phir gayaa hougaa
Ai hawaa ilzaam hei bekaar kaa mujh per
Gar ameer-e-shehr hei tou saadagi se mil
ruAb chaayegaa nahiN dastaar kaa mujh per
Tanz hei aawaarah-gardi per miri shaayad
rehm khaanaa qaafilah-saalaar kaa mujh per
ahl-e-khaanah ke liye hooN baar ab yaaro
boujh thaa saaraa kabhi ghar-baar kaa mujh per
hougayaa ghurbat meiN Nazir be-sar o saamaaN
Dast-e-shafqat go keh thaa dildaar kaa mujh per
=======
Apni ghazal kee pazeeraayi ke liye aapkaa beHad shukrguzaar hooN aur khudaa se duAa hei ke aapko ba'SeHHat o Aafiyat aur salaamat rakhkhe. Ummeed hei ke aayindah bhee aap meri HauSalah afzaayi farmaate rahenge.