aek taazah ghazal: Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aek taazah ghazal: Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Apni aek taazah ghazal pesh karne kee saAadat HaaSil karrhaa hooN. Ummeed ke apni giraaNqadr aara se navaazkar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:

Pursish-e-gham kaa taqaaZaa hei nah qurbat kee Talab
Dushman-e-jaaN se bhalaa kiyuN hou muravvat kee Talab

Meraa ieemaaN hei tiri chashm-e-inaayat kee Talab
maqSad-e-zeest nahiN hei zar o daulat kee Talab

paas-e-naamoos-e-wafaa raahnumaay-e-dil hei
Hasrat-e-deed hei izhaar-e-Haqeeqat kee Talab

Wo bhee ab Said-e-sitam-haaye taghaaful kiyuN hei
Kheench laayi jise SeHraaoN meiN reHmat kee Talab

Khoobiy-e-Husn qasaavat peh utar aati hei
Houne lagti hei jab insaaN ko muHabbat kee Talab

Bandagi apni azal se hei shiAar-e-khilqi
Khwaahish-e-madH koiee aur nah ujrat kee Talab

Aayeene meiN mira hamshakl bhee aaye nah nazar
Ai jafaa-kaesh Ajab hei yeh qiyaamat kee Talab

Khaar se kaun bachaataa nahiN apnaa daaman
Barg-e-gul se nah houee kisko nazaakat kee Talab

Ham ko ishrat-kada-e-qaSr se kya maTlab hei
Kab houee khaanah-badoushaoN ko sukoonat kee Talab

MeHv rakhti hei shab o rouz tire Nazir ko
Teri taSveer se baRhkar tiri Soorat kee Talab.
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.


Image
Last edited by Abdullah Nazir on Mon Oct 23, 2006 7:18 am, edited 1 time in total.
Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: aek taazah ghazal: Abdullah Nazir.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Apni aek taazah ghazal pesh karne kee saAadat HaaSil karrhaa hooN. Ummeed ke apni giraaNqadr aara se navaazkar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:

Pursish-e-gham kaa taqaaZaa hei nah qurbat kee Talab
Dushman-e-jaaN se bhalaa kiyuN hou muravvat kee Talab

Meraa ieemaaN hei tiri chashm-e-inaayat kee Talab
maqSad-e-zeest nahiN hei zar o daulat kee Talab

paas-e-naamoos-e-wafaa raahnumaay-e-dil hei
Hasrat-e-deed hei izhaar-e-Haqeeqat kee Talab

Wo bhee ab Said-e-sitam-haaye taghaaful kiyuN hei
Kheench laayi jise SeHraaoN meiN reHmat kee Talab

Khoobiy-e-Husn qasaavat peh utar aati hei
Houne lagti hei jab insaaN ko muHabbat kee Talab

Bandagi apni azal se hei shiAar-e-khilqi
Khwaahish-e-madH koiee aur nah ujrat kee Talab

Aayeene meiN mira hamshakl bhee aaye nah nazar
Ai jafaa-kaesh Ajab hei yeh qiyaamat kee Talab

Khaar se kaun bachaataa nahiN apnaa daaman
Barg-e-gul se nah houee kisko nazaakat kee Talab

Ham ko ishrat-kada-e-qaSr se kya maTlab hei
Kab houee khaanah-badoushaoN ko sukoonat kee Talab

MeHv rakhti hei shab o rouz tire Nazir ko
Teri taSveer se baRhkar tiri Soorat kee Talab.
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.


Image

moHtaram Abdulla Nazir SaHeb aadaab baja lata hooN!

aap kee yeh Ghazal garcheh do rooz qabl dekh~ne ka sharf HaSil ho geYa th~a. lekin meree khuwahish th~ee keh koee aor dost pehle khamah farsaaee kar le to maiN kuch~ a'rZ karooN!

lekin yeh tamanna ta eeN dam nah bar aaee to socha keh maiN hee pehla qat^ra ban kar baras jata hooN :-)

maiN ne aap kee i'shqiYah shae'eree ko samajh~ne ke liYe Ghazal ke un HiSSoN ka mut^alea'h baGhaoor karne kee koshish kee hai jahaaN shai'er kee apnee aawaaz aor khuSuSa" us ka makhSoos lab-o-lehjah numaYaaN ho geya hai.

aor phir us ka rang, kasak, aor aahaNg janne kee bh~ee Hattal imkaan koshish kee hai. agarcheh hamere beshtar shae'irooN ke haaN ishqiYah laYe meN taSawwuf aor samajee tehzeebee acarat kee rea'naaee miltee hai. lekin aap ke kalaam meN hindustaanee rawaYat aor taGhazzul kee goonj zeYadah gehree ho gaee hai.

aap ke kalam kee aek u'moomee shaan yeh bh~ee hai keh aap wardaat ke dakhlee pehlu tak meHdood rehte haiN.aor waese bh~ee shae'ir dakhlee kefiYaat se bahir kam hee qadam rakh~ta hai.

is naoa'(qisam=t^araH) ka sha'ir rooH kee beqarariYooN, bat^in kee khalish, i'shq kee majburiYooN, ko aek khaaS dard mandee aor kasak ke sath~ pesh karta hai.

aap kee i'shqiYah laeY aek makhSooS jazbah meN Dobee huee hai. aap kee she'iree ka ta'luq agarcheh nafs-e-meHboob se hai lekin dar Haqiqat is ka pehla aor aSal rishtah dilsoozee aor iz^haar-e-dard se hai. jo i'shq meN hijr naSeebee aor tamanna kee namuradee se HaSil hota hai.

baharkaeef! i Ghazal maiN aap ne duniYa se be neYazee, sachchee muHabbat ke HuSool kee khuwahish, hawas kee be aata'daliYooN se lata'luqee, ka barmala iz^haar baRe a'aarifanah aor a'aalimanah perae meN karne kee kamYaab koshish kee hai.

aap kee tazah shae'iree ab haqeeqee Ya majazee keY jazbah se buland ho kar meHeZ^ insaanee aHsaas par mabnee ho gaee hai. aap kee shae'ranah wardaat apna aab-o-danah fit^ree insaanee khuwahishaat se HaSil karna chahatee hai.




Pursish-e-gham kaa taqaaZaa hei nah qurbat kee Talab
Dushman-e-jaaN se bhalaa kiyuN hou muravvat kee Talab

kiYa kehne!! waah! matla' bohot garam hai.

Meraa ieemaaN hei tiri chashm-e-inaayat kee Talab
maqSad-e-zeest nahiN hei zar o daulat kee Talab

kiYa kehne kiYa khoob kaha hai!! be shak Yahee maqSad-e-zeest hona chahiYe!

paas-e-naamoos-e-wafaa raahnumaay-e-dil hei
Hasrat-e-deed hei izhaar-e-Haqeeqat kee Talab

waah!! bohot u'mdah!!

Wo bhee ab Said-e-sitam-haaye taghaaful kiyuN hei
Kheench laayi jise SeHraaoN meiN reHmat kee Talab

bohot khoob!! kiYa khoob istafhamiYah lab-o-lehjah hai!! waah!

Khoobiy-e-Husn qasaavat peh utar aati hei
Houne lagti hei jab insaaN ko muHabbat kee Talab

bohot khoob!! Haqeeqat par mabnee hai! Yahee fit^rat-e-meHboob hotee hai.

Bandagi apni azal se hei shiAar-e-khilqi
Khwaahish-e-madH koiee aur nah ujrat kee Talab

bohot khoob!! kiYa kehne!! lajawaab hai!

Aayeene meiN mira hamshakl bhee aaye nah nazar
Ai jafaa-kaesh Ajab hei yeh qiyaamat kee Talab

kiYa kehne!! bohot pur ma'nee hai mujh~ par bohot deer ba'd Yeh she'er kh~ula! :-) bohot gehra maZ^moon hai.

Khaar se kaun bachaataa nahiN apnaa daaman
Barg-e-gul se nah houee kisko nazaakat kee Talab

waah!! kiYa baat hai.

Ham ko ishrat-kada-e-qaSr se kya maTlab hei
Kab houee khaanah-badoushaoN ko sukoonat kee Talab

waaaaaaaah! waaaaaaaah! Ghazab ka she'er hai!! kiYa kehne!

MeHv rakhti hei shab o rouz tire Nazir ko
Teri taSveer se baRhkar tiri Soorat kee Talab.

waah taGhazzul ka she'er bohot khoob hai. aor baRe khubSurat andaaz se she'er meN khuwahish-e-deedaar ka iz^haar bh~ee kar gaeYe haiN.

meree dilee dad aor mubarakbaad qubool kijiYe!

ijazut chahooN ga! :-)

Wassalam
khadim
muz^affar
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapke tafSeeli tabSireh ke liye beHad shukrguzaar hooN.

Aapki maAloomaati tashreeH se mustafeed houne kaa sharaf HaaSil houaa. Ramadhan meiN apni beintihaa maSroofiyat ke haathouN majboor hooN. Jisqadar aur jo kuch kehnaa aur likhnaa chaahtaa hooN ghair-mumkin hougayaa hei. Inshaallah maah-e-Ramadhan ke baAd hee munaasib Taur per adabi kaam karne kaa mauqaA mil sakegaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Post Reply