salaamun alaikum
dosto
aik aur tarhi kalaam peshe khidmat hai
gar qubool uftad zahe.........
arz kiya hai.......
"ek sada aarahi hai kaano.n mei.n"
fikre shaitaan hai udaano.n mei.n
aaj nafrat hai khaandaano.n mei.n
aag kyu.n lag gayee makaano.n mei.n
bhai bhai ka hai banaa dushman
'umr kat'tee hai ab chataano.n mei.n
log jo kehtay hai.n woh karte nahi.n
hoga kaisay acar zabaano.n mei.n
fikr o ehsaas hai nah jazbah hai
zindah rehna hai murdah khaano.n mei.n
josh aur hosh dono.n kho baithay
kya bacha hai bhala jawaano.n mei.n
jaana firdaus hai agar haamid
baant'ta pyaar chal jahaa.no.n mei.n
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
"ek sada aarahi hai kaano.n mei.n"tarhi kalaam
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
"ek sada aarahi hai kaano.n mei.n"tarhi kalaam
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zeil ghazal jo aapke khaaS rang meiN kahi gayi hei bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
"ek sada aarahi hai kaano.n mei.n"
fikre shaitaan hai udaano.n mei.n
aaj nafrat hai khaandaano.n mei.n
aag kyu.n lag gayee makaano.n mei.n
bhai bhai ka hai banaa dushman
'umr kat'tee hai ab chataano.n mei.n
log jo kehtay hai.n woh karte nahi.n
hoga kaisay acar zabaano.n mei.n
fikr o ehsaas hai nah jazbah hai
zindah rehna hai murdah khaano.n mei.n
josh aur hosh dono.n kho baithay
kya bacha hai bhala jawaano.n mei.n
jaana firdaus hai agar haamid
baant'ta pyaar chal jahaa.no.n mei.n
Aapka MukhliS,
Nazir.

- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Bahut khoob, waah waah
mohtaram abdullah nazir saahibWEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zeil ghazal jo aapke khaaS rang meiN kahi gayi hei bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
"ek sada aarahi hai kaano.n mei.n"
fikre shaitaan hai udaano.n mei.n
aaj nafrat hai khaandaano.n mei.n
aag kyu.n lag gayee makaano.n mei.n
bhai bhai ka hai banaa dushman
'umr kat'tee hai ab chataano.n mei.n
log jo kehtay hai.n woh karte nahi.n
hoga kaisay acar zabaano.n mei.n
fikr o ehsaas hai nah jazbah hai
zindah rehna hai murdah khaano.n mei.n
josh aur hosh dono.n kho baithay
kya bacha hai bhala jawaano.n mei.n
jaana firdaus hai agar haamid
baant'ta pyaar chal jahaa.no.n mei.n
Aapka MukhliS,
Nazir.
salaamun alaikum
aur ramadhan mubaarak
kaisay hai.n aap?
aapki purkhuloos daad aur mubaarakbaad hamare liye sanad hai mohtaram.bahut bahut shukriya aapka.
jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa