aek maAmooli si taazah tareen ghazal: Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aek maAmooli si taazah tareen ghazal: Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Apni aek taazah-tareen maAmooli si ghazal pesh karne ki saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke apni giraNqadr aaraa se navaazkar mnoon farmaayenge.

GHAZAL roman meiN:

Hasrat-e-dil ko miri behr-e-tamaashaa nah samajh
Apne majnooN peh karam kar, ise deewaanah samajh

Ghairat-e-Husn-e-qamar mujhko nah begaanah samajh
Khud ko ik shamA samajh aur mujhe parvaanah samajh

Kyaa mire souz-e-gham-e-dil ka nahiN koii ilaaj
Mujh se kehte ho maseeHaa ko kaseeHaa nah samajh

Maikashi meiN bhi rahe ZabT o tavaaZuA qaayim
Mastiy-e-baadah sahi, gardish-e-paimaanah samajh

Ikhtilaafaat-e-baham bhool ke jee lene de
Ab gayi guzri houi baat ko afsaanah samajh

Mere ashkaoN ko samajhtaa hei agar sail-e-ravaaN
Mere dil ko bhi halaak-e-gham-e-jaanaanah samajh

Chaahtaa hooN ke vaZaaHut ho bayaaN meiN Nazir
Kiyunkeh her aadami rakhtaa hei judaagaanah samajh
=======

Aapkaa MukhliS,
Nazir.

Attachments
a_na_samajh_f2.JPG
a_na_samajh_f2.JPG (108.44 KiB) Viewed 188 times
Image
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: aek maAmooli si taazah tareen ghazal: Abdullah Nazir.

Post by yasir shah »

muHtaram janaab
Abdullah Nazir SaaHib!
assalamOlaikuM wa raHmatullaah

ummeed hay keh khairiyat O 'aafiyat se hoN ge-aap ki yeh Ghazal mujhe bahut pasand aa.ee ,,zameen bahut u'mdah hay aur aap ne ise khoob nibhaayaa hay,,,bas kam-o-baish yahee kuCh har she'r ke Hawaale se bhi kehnaa hay-

Hasrat-e-dil ko miri behr-e-tamaashaa nah samajh
Apne majnooN peh karam kar, ise deewaanah samajh

kyaa kehne janaab ! nihaayat dilkash !

Apne majnooN peh karam kar, ise deewaanah samajh,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

,,Apne majnooN peh karam kar, ise deewaanah samajh- 8)

Ghairat-e-Husn-e-qamar mujhko nah begaanah samajh
Khud ko ik shamA samajh aur mujhe parvaanah samajh

she'r aChChaa hay ,bas miSra'-e-caanee miSra'-e-oolaa ki nisbat zyaadah a'laa paa.ay kaa hay

Kyaa mire souz-e-gham-e-dil ka nahiN koii ilaaj
Mujh se kehte ho maseeHaa ko kaseeHaa nah samajh

:-) muHtaram ! agar kaseeHaa ke ma'nee bataa deN to shaayed pooree taraH samajh sakooN keh yeh lafz Gher.maanoos bhi hay aur mere paas mojood luGhat meN bhi naheeN hay--
wese bayaan dilkash lag rahaa hay-

Ikhtilaafaat-e-baham bhool ke jee lene de
Ab gayi guzri houi baat ko afsaanah samajh

janaab! "ga.ee guzree hu.ee baat" istilaaH waZaaHat.talab hay ,, "ga.ee guzree baat" ke ma'nee to Haqeer yaa haich baat ke hotay heN---"gayaa guzraa honaa" to muHawratan musta'mil hay--ummeed hay tashaffee.bakhsh jawaab de kar is taalib.'ilm ke i'lm meN iZaafah kareN gay-

Mere ashkaoN ko samajhtaa hei agar sail-e-ravaaN
Mere dil ko bhi halaak-e-gham-e-jaanaanah samajh

kyaa baat hay ! janaab !

Chaahtaa hooN ke vaZaaHut ho bayaaN meiN Nazir
Kiyunkeh her aadami rakhtaa hei judaagaanah samajh

nihaayat u'mdah,,yahaaN aap ne doosre miSre' meN mujh jese naadaanoN ko bakhsh kar a'laa.zarfee kaa cuboot diyaa hay,, koi aur hotaa to shaayed doosraa miSra' yooN keehtaa:

"nuktah.cheeN jama' heN meHfil meN khirad hay nah samajh"

=======
khush rahye
du'aago
yasir
Last edited by yasir shah on Sun Apr 23, 2006 6:13 am, edited 1 time in total.

Bahut bahut Shukriyah

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami o Azeezi
Yasir Shah SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapke tafSeeli tabSireh ke liye beHad shukrguzaar hooN. Ghazal ki pazeerayi keliyve mamnoon hooN.

MaseeHaa aapko kahaaN milegaa jabkeh mujhe bhi nah chaarahgar milaa hei nah maseeHaa jo mere zakhmaoN kaa ilaaj karsake. Shukr-e-Khudhaa hei ke bachpan se urdu zabaan meri maadari zabaan rahi hei aur laRakpan se hi adabi zauq rahaa hei, umooman adaayagi mein gaye guzre aur boul chaal ke(ghair-adabi) muHaawiraoN se gurez kartaa hooN.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Post Reply