Pyare Dosto,
Ek Taza Ghazal...aap sab ki khidmat main pesh karne ki saadat hassil kar raha hoon. Ummed hai ke meri ghazal pe tabserah karne ki jahmat farmayenga.
Specially request to Abdullah Nazir Bhai to correct this 'Ghazal'... if there is something wrong, mis-place, etc.
Sara ji aur Shummu ji... aap ko ye ghazal jaroor pasand aayegi becuz... this is the story of one of my Bhabi.... whose husband is in Pardesh (Sharjah) and she's in India. Main ne unka DARD....apne andar mehsoos karne ki koshish ki hai. Ab kahan tak kaamyaab hoa hoon.. ye aap log batayein.
Khaakshar,
Munir Armaan Nasimi
Ghar Lipat Jaayegaa....
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Ghar Lipat Jaayegaa....
- Attachments
-
- Ghazal-Ghar-Lipat-Jaayega.gif (14.05 KiB) Viewed 175 times
wah munir jee aap ki har thread ko bade shauq se main kholti hoon ke mujhe pata hota hai kuch dilchasp hi parhne ko milega.... aap mashaALlah sirf apni zaat tak nahi rehte balki apne ird gird ke logon ka bhi gham mehsoos karte hain aur use qalamband karte hain...ye badi baat hai... dili daad pesh hai is tehreer pe bhi..baaqi koi kami beshi hogi to uski nishaandehi Mohtaram Nazir sahab akr hi denge inshaAllah:)
Allah aap ko hamesha khush rakhe....Ameen!
shumaila
Allah aap ko hamesha khush rakhe....Ameen!
shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
MuHtarami o Azeezi
Munir Arman Nasimi SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki yeh ghazal baqaul aapke khaaS ta'accuraat ke teHt kahi gayi hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MukhtaSar tabSireh ke Taur per yeh kahoongaa ke aap ne apne maTleA ke dounoN miSraAoN meiN "jaa'o'ge" isteAmal kiyaa hei jisko asaathizah ne "ieeTaa-e-jali" qaraar diyaa hei aur shaayeri kaa aek zaahir Aib bhi. Ummeed ke aayindah se aap is naqS se gurez karenge.
Hamaeshah ki TaraH yeh bhi kehnaa chaahoongaa ke meri raaye se aapkaa muttafiq hunaa Zaroori nahiN hei.
Aapka MukhliS,
Nazir.
