sab dostoN ko khuloos bharaa salaam!
aik taveel ghair-haaziree ke ba'd haazir huyee hooN. iss dauraan likhne kaa silsila tau jaari rahaa magar forums par aane meN vaqt maane' rahaa.
maiN aaj apnee voh kaavish le kar haazir huyee hooN jo maiN ne pichle mahine ya'nee 8 Oct. ke ba'd kahee thee. gau kee uss saanihe par buhat se dostoN ne qalam uTHaayaa hai aur apne eHsaasaat ko zubaan dene kee koshish kee hai iss liye ho saktaa hai ke meree ghazal meN koyee baat yaa khayaal nayaa na ho. ye bus mere zaati ehsaasaat haiN jin ko maiN ne bhee zubaan dee hai.
mujhe aap kee mukhlisaana mashvare/tabsare/tanqid kaa intezaar rahe gaa.
----------------------------------------------------------------------
1.
her ik kee zubaaN par yahi daasataaN hai
yahaaN par jo ghar thaa miraa voh kahaaN hai
2.
sirakne lagee hai, hawaa bhee, zameeN bhee
na ghar hai na sar par koyee saa'ebaaN hai
3.
kaheeN aaNkh meN vaqt ruk saa geyaa hai
kaheeN haath par be.basee kaa nishaaN hai
4.
kaheeN jism kee raakh uRne lagee hai
kaheeN rooH se khaali dil kaa makaaN hai
5.
kaheeN bach-cha rau rau bulaataa hai maaN ko
kaheeN siskiyoN meN ghiree uss kee maaN hai
6.
kaheeN maut ke muN meN beTee paRee hai
kaheeN ghar ke malbe meN beTaa jawaaN hai
7.
jise pyaar se maaN sajaati rahi thee
usee ghar ke malbe pe aah.o.fughaaN hai
8.
ab aaNkhoN ke daryaa utarte naheeN haiN
ab aaNkhoN meN gham kaa samaNdar nihaaN hai
9.
jahaaN ziNdagee kee haNsee gooNjatee thee
wahaaN her taraf siskiyoN kaa dhuwaaN hai
10.
khudaa.vaNd too ne ye kyaa kar diyaa hai
ke hairaanagee meN zameeN aasmaaN hai!!!!
------------------------------------------------------------

MukhliS
Naheed