Aik naya kalaam le kar hazir hui huN. Ye ghazal do teen maah se likhi hui thi, socha aaj post kar hi dooN. Umeed hay aap sab ko pasand aayegi.

Ghazal
1. Gar ye sanjog hamara hota
Kya zamane ko gawara hota
2. Chaandni raat me hum tum hote
Aur samandar ka kinara hota
3. YaaN maiN jaane ka irada karti
WaaN woh rukne ka ishaara hota
4. Sari dunya ko bhula dete hum
Bus woh ik shaks hamara hota
5. Zindagi bhar woh taRapta rehta
Jo tirey hijr ka maara hota
7. Kash tum dair na karte itni
Hum ne jeevan bhi na haara hota
8. hum k dunya me to barbaad hue
Akhirat ko hi sanwara hota
:Anmol: