"nah is jahaaN kee Khabar hai nah us jahaaN kee Khabar!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

"nah is jahaaN kee Khabar hai nah us jahaaN kee Khabar!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: aadaab!

teen haftoN ke ba'd aaj HaaZ^ir ho rahaa hooN. yeh waqt :suffer: meN guZraa aur internet tak meree rasaayee :ba-qadr-e-baadaam: hee rahee. is dauraan meN do GhazaleN ho gayeeN aur ek maZ^moon bh`ee likh`aa. ek Ghazal aaj pesh-e-Khidmat hai. maZ^moon kee nok-palak durust kar looN to jald hee us ko bh`ee pesh karooN gaa. inshaa-Allah!

yeh Ghazal Qalandar Bakhsh "Jur,at" kee t^araH meN hai: "nah is jahaaN kee Khabar hai nah us jahaaN kee Khabar!" guZaarish hai keh apnee raaYe se nawaazeN. mazeed yeh keh maqt^e' ko ziyaadah qaabil-e-e'tinaa nah jaaneN. English meN is t^arz-e-teHreer ko :tongue in cheek: kehte haiN! ya'nee yeh maqt^a' sanjeedagee se naheeN kahaa gayaa hai! Allah, Allah, Khair SalaaH! :-)

aap ke ta,accuraat kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah peshagee HaaZ^ir hai!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
-------------------------------------------
GHAZAL:

jigar kee, dil kee, nigaahoN kee, jism-o-jaaN kee Khabar!
rakh`ooN to rakkh`ooN maiN aaKhir kahaaN kahaaN kee Khabar?

qafas-naSeeb hooN, kyoN kar ho aashiyaaN kee Khabar?
bh`alaa zameeN ko bh`ee hotee hai aasmaaN kee Khabar?

maiN apne paas se guZraa to yooN huwaa meHsoos
keh kaarwaaN ko naheeN gard-e-kaarwaaN kee Khabar!

junooN ne waaqif-e-Islam kar diyaa warnah
kise th`ee furSat-e-sajdah, kise aZaaN kee Khabar!

Khudaa ko bh`ool gayaa maiN pa,Ye Khud-aagaahee
:nah is jahaaN kee Khabar hai nah us jahaaN kee Khabar: (Jur,at)

jo ho sake to kaho t^oor-e-i'shq-saamaaN kee
jahaaN peh hosh uRe th`e mire, wahaaN kee Khabar!

KhizaaN hai gulshan-e-hastee meN Khud se meHroomee
bahaar kyaa hai? isee qaryah-e-amaaN kee Khabar!

yeh sar-bureedah tamanaa, yeh Khoon Khoon umeed!
Sadaa-ba-SeHraa hai ik, ek imtiHaaN kee Khabar!

woh saa,a't-e-guZaraaN ho keh lamHah-e-maujood
tamaam Haalat-e-yak-u'mr-e-raa,igaaN kee Khabar!

jise bh`ee dekh`iYe th`aa meHv-e-bazm-aaraayee
kisee ko kab rahee "Sarwar" se nuktah-daaN kee Khabar? (al-a'yaaZ^a" bi.llaah!)
---------------------------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Attachments
jigarkeedilkee.gif
jigarkeedilkee.gif (10.39 KiB) Viewed 114 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. Raz Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhakar bahut luTf andouz houaa. Saare ke saare ashAaar hasb-e-maAmool bahut hii dilkash heiN.

MatleA per souch meiN paRgayaa ke "kahaaN kahaaN kii khabar" theek hei yaa kis kis kii khabar hounaa chaahiye. Aakhir-e-kaar aap kaa misraA hii bilkul saheeh maAloom houaa.

Khaksaar kii daad aur mubaarakbaad Hazir hei.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb: aadaab!

Zarrah-nawaazee ke liYe mamnoon hooN. Ghazal aap ko pasand aa gayee to meree Khush-qismatee hai! mujh` ko yeh jaan kar Khushee huyee keh aap ne mat^le' meN :kahaaN kahaaN kee Khabar: kee Salaabat se ittifaaq kiyaa. shukriyah!

"Taar-e-Anfaas-e-Ghazal: ke ijraa par mubaarakbaad qubool keejiYe!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Sara SaaHebah: aadaab!

apnee Ghazal par aap kee mufaSSil raaYe dekh`ee aur dil shaad huwaa. meree bad-qismatee yeh hai keh log meree GhazaloN par tanqeed-o-tabsireh se gureZ karte haiN! aap heee kuch` likh` diyaa kareN! Ghazal kee paZeeraayee kaa dilee shukriyah!

kabh`ee furSat ho to www.ebazm.com par jaa kar ek dost ke haath`oN meree Ghazal kaa tamaashah dekh`iYe gaa! woh jo yahaaN kehte haiN naa keh :satisfaction guaranteed:? b.ilkul wohee mazaa mile gaa!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply