Search found 46 matches

by Ehsan Raza
Mon Apr 11, 2011 5:07 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: جس دئے میں جان ہوگی وہ دیا رہ جائے گا
Replies: 3
Views: 390

Re: جس دئے میں جان ہوگی وہ دیا رہ جائے گا

Barqi sb yaqeeni taor per << sab fana ho jayega darul baqa rah jayega<<
Bohat khoobsoorat haqeeqat per mabnii ghazal hai pasand ayee rang thora riwayeti hai lekin shayqeen ke dill ko zaroor choyega ,,,
is zameen men sirf ek matlaa likh raha hoon ,,
AADMI SAMJHA HAI WOH BAN KER KHUDA RAH JAYEGA ...
by Ehsan Raza
Thu Apr 07, 2011 10:21 pm
Forum: Hamd aur Naat e Rasool
Topic: GHAZAL-MISRA-TUMHAREIN PAO CHUMENGE MERI TEHREER KE TUKDE
Replies: 3
Views: 906

Re: GHAZAL-MISRA-TUMHAREIN PAO CHUMENGE MERI TEHREER KE TUKD

Mohatram rizwan saba saheb bohat khoobsoorat ghazal ke rang men manqabat ki chashni ne kalam meN mazeed lazzat paida kerdee hai khusoosan wo sher, BADAL JATEE ZABAN BHI AOR LABO LAHJE BADAL JATEY
wOH YEH KAHIYE NA HO PAYE ZABANE MEER KE TUKREH
yaqqenan urdu zabaan Meer ki meeraas rahee jisne urdu ...
by Ehsan Raza
Thu Apr 07, 2011 10:00 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: urdu bandhan ke naam Tarahee Ghazal
Replies: 0
Views: 191

urdu bandhan ke naam Tarahee Ghazal

Ghazal aapki SamaatoN men

Na hotey is tarha hargiz meri tahreer ke tukreH
Jo us dil men utar jatey meri Tasweer ke tukreH

Muhabbat qalbe insani pe kuch aoraq likh detee
NaheeN hotey agar is wadiye kashmeer ke tukreH

Lahoo rotey makanoN se sadayeN aa rahee hon gi
yeh kisne ker diye ajdaad ki ...
by Ehsan Raza
Thu Apr 07, 2011 8:51 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek ghazal urdu bandhan ke shaeqqeen ke liye
Replies: 2
Views: 253

Ek ghazal urdu bandhan ke shaeqqeen ke liye

Apki samaatoN meN

Til bachey haiN na tel (oil) baqi hai
Ik faqat rail pail baqi hai

Gulshan-e- zeest ki munderoN per
Ek sookhi si bail baqi hai

Daore hazir ke na khuda se pooch
kiya koi aor fail baqi hai

Woh musafir jo saath chorh gaya
uski yadoN ki rail baqi hai

kash laot ayeN pal ...
by Ehsan Raza
Thu Apr 07, 2011 8:24 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Meri nai Ghazal urdu Bandhan ke naam
Replies: 2
Views: 241

Meri nai Ghazal urdu Bandhan ke naam

Ghazal
TANG DASTEE HAI TO AARAAM KAHAAN SE AAYE
Tang dastee hai to aaraM kahaN se aayE ?
Taptey sooraj ke qareeN shaaM kahaN se aaye?

Hashiye men hi saja rakkha hai jab toone mujhe
Phir tere saath mera naam kahaN se aaye?

Kaghzi phool haiN ab piyaar ke guldanoN meN
Koi khushboo bhara ...
by Ehsan Raza
Thu Apr 07, 2011 7:57 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Misra Tarha-Tumhare pao chumenge meri tehreer ke tukde
Replies: 8
Views: 1356

Re: Misra Tarha-Tumhare pao chumenge meri tehreer ke tukde

Mohatram Khalid saheb , Tasleem -O- niyaaz
Sabse pahle apko urdu bandhan per aamad ke liye mubarakbaad pesh karta hooN,Bohat khoobsoorat ghazal se Nazreen ko nawaza hai " IBTEDA AISEE HAI TO ANJAAM KIYA HOGA HUZOOR?
Her sher ke takhaiyul ne Taghazzul ko ek khoobsoorat paizeb men muqayeeyad ker diya ...
by Ehsan Raza
Sun Dec 03, 2006 1:09 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Meri taza tareen Gazal...Khooda ki qasam....................
Replies: 6
Views: 376


janab jawaid sb
adaab, ek arsa- e- taweel ke baad apki koi takhlique bazm men nazar aai
dil khush hua mubarak baad qubool karenaap achanak hi ghaib ho jatehai

Apki hazri to masqat meN
Misle kafoor haI khuda ki qasam

shukriya

Ehsan badauni
by Ehsan Raza
Mon Nov 13, 2006 12:34 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: urdu bandhan ke liye meri taza ghazal
Replies: 2
Views: 293

JANBA SARA SAHIBA
PATA NAHIN AAP UMER MEN CHOTEE HAIN UA BARHEE IS LIYE AGAR AADABO ALQAB MEN KAHI KAMEEN RAHJAYE TO MAFF FARMAYEGA GHAZAL PASAND AAYEE SHUKRIA QUBOOL KIJIYE.
by Ehsan Raza
Mon Nov 13, 2006 12:26 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: MUKHTALIF ANDAAZ KI EK GHAZAL APKI SAMAATON MEN
Replies: 1
Views: 216

SARA SAHIBA
ADAB ARZ HAI
BAHUT BAHUT SHUKRIYA APKI PASAND AWRI KA KOSHISH YAHI HOTI HAI KI SAMAEEN KO KUCH NAI CHEE Z PARHNE KO MILE APKO KAWISH PASAND AAI KHOON RAYEGAN HONE SE BACH GAYA
BAAT BILKUL SAHI HAI APKI MASHRE NE INSAN KI RAGON MEN AJNABIYAT KA KHOON KOOT KOOT KE BHAR DIYA HAI AOR HUM ...
by Ehsan Raza
Sun Nov 12, 2006 11:27 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: MUKHTALIF ANDAAZ KI EK GHAZAL APKI SAMAATON MEN
Replies: 1
Views: 216

MUKHTALIF ANDAAZ KI EK GHAZAL APKI SAMAATON MEN

MaN hi MaN Kuch bol rahi haiN chaltee phirtee ankheN
Amrit meN vish ghol rahee hain chaltee phirtee ankheN dekh

kacchi mitti ke bartan men piyaar ki sondhi khushboo leker
Madira peeke dol rahee haiN chaltee phirtee ankheN dekh

Palkon ko patwaar banaker sagar ki lehron men jaaker
Apna rasta ...
by Ehsan Raza
Sun Nov 12, 2006 10:38 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: urdu bandhan ke liye meri taza ghazal
Replies: 2
Views: 293

urdu bandhan ke liye meri taza ghazal


PAOON TAPTEE RET PE CHALKE BHI GEELEY HO HO GAYE

ISHQ KE ANDAAZ KUCH ITNEY RANGEELEY HO GAYE
PAOON TAPTEE RET PE CHALKE BHI GEELEY HO GAYE

HAI PASEY PARDA KOI TO RAAZ USKE ISHQ MEN
AAJ USKE BOL BHI KITNE SUREELEY HO GAYE

DOSTON KA MUSKURAATA DHOOP CHEHRA DEKH KER
DUSHMANO SE PYAAR KARNE ...
by Ehsan Raza
Sat Sep 23, 2006 1:15 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: SUKHANWARAN-E- URDUBANDHAN KE LIYE MERI TAZA
Replies: 6
Views: 414

MOHATRAM SARWAR RAAZ SB TASLEEMAT
AAPNE GHAZAL KO SARAHA AOR HIMMAT AFZAI KI ISKE LIYE BEHAD MASHKOOR HOON .
APKI NAI WEB SITE KE INAQAAD PER APKO DILI MUBARAK BAAD PESH KARTA HOON AOR SAATH HI RAMADHAN KI BHI MUBARAKBAAD QUBOOL FARMAYEN

EHSAN BADAUNI
by Ehsan Raza
Sat Sep 23, 2006 1:09 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: SUKHANWARAN-E- URDUBANDHAN KE LIYE MERI TAZA
Replies: 6
Views: 414

MOHATRAM NAZIR SB
AADAB
GHAZAL KE HAWALE SE JO ISHARE AAPNE TAHREER KIYE THE UN PER NAZRE SANI KE BAAD GHAZAL IRSAL KI HA I AP JAISE ASATAZA SEY BAHUT KUCH SEEKHNE KO MILTA HAI GHAZAL KI PAZI RAI KE LIYE SHUKRIYA
by Ehsan Raza
Sat Sep 23, 2006 1:05 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: SUKHANWARAN-E- URDUBANDHAN KE LIYE MERI TAZA
Replies: 6
Views: 414

MOHATRAM JAWAID SB
TASLEEM
MOHATRAM NAZIR SB KE NUQAT PER NAZRE SANI KARNE KE BAAD GHAZAL IRSAAL KER DEE HAI GHAZAL KI PASANDEEDGI KE LIYE MAMNOON HOON.
by Ehsan Raza
Tue Sep 19, 2006 11:52 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: SUKHANWARAN-E- URDUBANDHAN KE LIYE MERI TAZA
Replies: 6
Views: 414

SUKHANWARAN-E- URDUBANDHAN KE LIYE MERI TAZA


GHAZAL

KIS TRHA KAH DOON USEY ARZO SAMAN ACCHA LAGA
JISKO TAPTEE DHOOP MEN JALTA MAKAN ACCHA LAGA

JISKI SHIRYANOM MEN HAI DAHSHAT PARASTEE KA LAHOO
USKO MAZLOOMON KA KHOONE RAYEGAN ACCHAA LAGA

SHAAM KI DAHLEEZ PER OOREH UDASI KI REDA
IK SHAJAR KO NEEM SHAB IK MEHMAN ACCHA LAGA

WOH JO ...