Meri tar o taza ghazal

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Meri tar o taza ghazal

Post by jawaid badauni »


Dil pe tou jaise laga rakhkha ho tala maiN ne
Ek armaan bhi dil se na nikaala maiN ne

Mujh se bezaar se lagte haiN wohee bachche aaj
Jin kio ik roz baRe laad se pala maiN ne

Aaj lagta hai ke maiN ne bhee ibaadat ki hai
Ek girte huuwe insaaN ko saNbhala maiN ne

Aa gaya dil meN machalte huuwe jazboN ka Khayal
Jab bhee paani kisee bartan meN ubaala maiN ne

Aaj hi ghar meN andhera hai ziyadah har samt
Aaj hi maNga tha qudrat se ujala maiN ne

Hai ye ghamKhaana tou ghamKhaane ki maanind rahe
Ghar meN rahne diya dewaaroN pe jala maiN ne

Mere ashaar se :Jawaid: gurezaaN haiN buzurg
Jab se sheroN ko naye ruNg meN Dhala maiN ne
-------------------------------------------------------
Jawaid Badauni
User avatar
syed ziauddin naeem
-
-
Posts: 42
Joined: Thu Jan 06, 2011 2:19 am
Contact:

Re: Meri tar o taza ghazal

Post by syed ziauddin naeem »

mukrram o mohtaram Jawaid Badayuni sahab.
salam o aadaab,
SUKHANABAD ME.N HAI TUJH SE UJALA BAISHAK
TU NE SHAIRO.N KO NAYE RANG ME.N DHALA BAISHAK.
Aap ki ghazal itni jaandaar hai k filbadeeh aap ki shan me.n mundarja bala shair hogaya.

aaj lagta hai k mai.n ne bhi ibadat ki hai
ek girte huway insaa.n ko sa.nbhala mai.n ne
hai ye ghamkhana tou ghamkhaney ki manand rahe
ghar main rehne diya diwaroun pe jala maiN ne
DIL PE TOU JAISAY LAGA RAKHA HO TALA MAIN NE.....TOU JAISAY...Kia umda istemal farmay aap ne..
Meri dili dad qubool farmaiye aur taza ghazlo.n se nawazte rehye..mujhe ishtiaq rahe ga.
Talib e dua....
SYED ZIAUDDIN NAEEM.
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Meri tar o taza ghazal

Post by jawaid badauni »

jawaid badauni wrote:
Dil pe tou jaise laga rakhkha ho tala maiN ne
Ek armaan bhi dil se na nikaala maiN ne

Mujh se bezaar se lagte haiN wohee bachche aaj
Jin kio ik roz baRe laad se pala maiN ne

Aaj lagta hai ke maiN ne bhee ibaadat ki hai
Ek girte huuwe insaaN ko saNbhala maiN ne

Aa gaya dil meN machalte huuwe jazboN ka Khayal
Jab bhee paani kisee bartan meN ubaala maiN ne

Aaj hi ghar meN andhera hai ziyadah har samt
Aaj hi maNga tha qudrat se ujala maiN ne

Hai ye ghamKhaana tou ghamKhaane ki maanind rahe
Ghar meN rahne diya dewaaroN pe jala maiN ne

Mere ashaar se :Jawaid: gurezaaN haiN buzurg
Jab se sheroN ko naye ruNg meN Dhala maiN ne
-------------------------------------------------------
Jawaid Badauni


MoHtermee Syed Ziauddin Naeem SaHab
aadaab

Aaj pahli baar aap se guftagoo ka sharaf HaSil ker raha hooN. Aap ki purKhulooS daad ke liye aap ka beHud mamnoon hooN. Main in maHafil meN kalam hameshta bhejta rahta hooN. Insha Allah aaindah bhi HaZiree lagata rahooNga.

MuKhliS

Jawaid
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: Meri tar o taza ghazal

Post by sbashwar »

Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam2:

Aaj lagta hai ke maiN ne bhee ibaadat ki hai
Ek girte huuwe insaaN ko saNbhala maiN ne
:mash: bohat khoob.

Aapke ghazal ke asha'ar dil ko cho jate hain.
Dili daad aur mubarakbaad qubool farmayiye.

Mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Meri tar o taza ghazal

Post by jawaid badauni »

sbashwar wrote:Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam2:

Aaj lagta hai ke maiN ne bhee ibaadat ki hai
Ek girte huuwe insaaN ko saNbhala maiN ne
:mash: bohat khoob.

Aapke ghazal ke asha'ar dil ko cho jate hain.
Dili daad aur mubarakbaad qubool farmayiye.

Mukhlis
Salem Bashwar

Azeezi Salem Bashwar Saahab

Bohat bohat shukriyah.

Khair andesh,

Jawaid
Post Reply