assalaam-o-a’laikum!
yeh Hikaayat paish kar ke mairee khwaahish thee keh Ghaur –o-tadabbur farmaa kar nateejah aap laug khud akhaz karaiN –jis maiN waaZeH ho keh taareekee se kyaa muraad lee ga.ee ,shama’ se kyaa muraad lee ga.ee, haathee micl kis ke hay , aur in sab laugoN ko ma’ un ke nataaij ke aap kahaaN daiKhtay haiN , aur aaj ke daur main yeh Hikaayat kidhar munt’abiq hotee hay waGhairah waGhairah- mumkin hay kuCh na.ay pahloo saamnay aa.aiN - aakhir maiN maiN kisee ki taS.HeeH ke bajaa.ay is kitaab kaa nateejah jooN kaa tooN paish kar dooN gaa- Allaah Allaah khair Sallaa
imtiHaan maqSood naheeN balkeh da’wat-e-fikr-o-tadabbur dainaa maqSood hay keh baqul-e-Iqbaal:
kabhee ai naujavaaN muslim tadabbur bhee kiyaa too ne ?
Hikaayat (tarjimah az Maulavee MuHammad Hussain)
mulk-e-eeraaN maiN numaayish ke liye
chand hindee aik haathee lay ga.ay
raKhKhaa ik taareek ghar maiN us ko band
taa nah daiKhay muft koi shauq.mand
chaar shaayeq aa.ay aur aa kar kahaa
ham ko haathee raat hi ko do diKhaa
daiN gay ham tum ko voh jo maaNgo gay tum
voh yeh baulay haNs ke “kyaa daiKho gay tum”
is qadar taareek thee voh kauThRee
koi shay hargiz naZ’ar aatee nah thee
ik gayaa andar TaTaulaa haath say
haath us kaa jaa laga khurt’oom kay
baahir aayaa yeh kahaa nalkaa saa hay
gaul aur makhroot’ aur lambee see shay
daiKhnay jab doosraa andar gayaa
haaTh us kaa jaa ke paa.oN par lagaa
yeh kahaa kyooN hay jahaaN maiN us ki dhoom
hay sutooN yeh kaahay kaa haathee hay shoom
daiKhnay andar gayaa jab teesraa
kaan par haath ittifaaqan paR gaya
voh laga kahnay keh yeh panKhaa saa hay
Chaaj saa hay –narm hay chauRaa saa hay
pusht par jo haath chauthay kaa Tikaa
Hay musat’t’eH takht voh kahnay lagaa
shama’ hautee haath maiN un ke agar
Ikhtilaaf un maiN nah hotaa baal bhar
Hikaayat-e-Maulaanaa Room
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- yasir shah
- -
- Posts: 191
- Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
- Location: karachi
- Contact:
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Re: Hikaayat-e-Maulaanaa Room
Bohat bohat Shukriya Yasir Shah Saheb.. Aapne bohat hi umda takhleeque share kiya aur........ sab ko samajhne kii daawat de kar es hiquayet ko aur bhi muassar kar diya hai......
Meri naqs-rai main...... "Haathee" ka matlab hai Yeh Duniya aur Chaar Aadmi hain mukhtaleef mazaheb ke maanne wale........ jihaalat ka andheraa hai isliye.. jiske haath jo laga wohh bola keh "Duniya" aisi hai.......... Agar unke haath main "Shamma" (Imaan ki Roushni- Ilm) hoti to wohh Haathii ko mukammal dekh paate.
Kya main saheeh hoon???
Meri naqs-rai main...... "Haathee" ka matlab hai Yeh Duniya aur Chaar Aadmi hain mukhtaleef mazaheb ke maanne wale........ jihaalat ka andheraa hai isliye.. jiske haath jo laga wohh bola keh "Duniya" aisi hai.......... Agar unke haath main "Shamma" (Imaan ki Roushni- Ilm) hoti to wohh Haathii ko mukammal dekh paate.
Kya main saheeh hoon???
- yasir shah
- -
- Posts: 191
- Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
- Location: karachi
- Contact:
Re: Hikaayat-e-Maulaanaa Room
munir-armaan-nasimi wrote:Bohat bohat Shukriya Yasir Shah Saheb.. Aapne bohat hi umda takhleeque share kiya aur........ sab ko samajhne kii daawat de kar es hiquayet ko aur bhi muassar kar diya hai......
Meri naqs-rai main...... "Haathee" ka matlab hai Yeh Duniya aur Chaar Aadmi hain mukhtaleef mazaheb ke maanne wale........ jihaalat ka andheraa hai isliye.. jiske haath jo laga wohh bola keh "Duniya" aisi hai.......... Agar unke haath main "Shamma" (Imaan ki Roushni- Ilm) hoti to wohh Haathii ko mukammal dekh paate.
Kya main saheeh hoon???
assalaamoa'laikum!
bhaaee Munir ,
aap ne tadabbur farmaayaa maiN shukrguzaar hooN balkeh munkin naheeN ,naheeN to, pc se shakar guzaar dooN
SaaHib aap ne mujh se taSdeeq chaahee hay to maiN kyaa kahooN -aagay hi kah chuaa hooN keh taSHeeH naheeN karooN gaa-kitaab kaa nateejah paish kiye daitaa hooN -daiKh leejiye gaa -
haaN albattah aik sawaal hay keh bhaai miyaaN !duniyaa to saaree a'yaaN hay, Phir laug abhee tak is se anDhairay maiN kyooN haiN ?
aap se baat kar ke khushee hotee hay -
jazaakAllahu khairan
yasir
- yasir shah
- -
- Posts: 191
- Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
- Location: karachi
- Contact:
Re: Hikaayat-e-Maulaanaa Room
Munir SaaHib kaa tajziyah bahut Had tak durust hay -
faaidah
hay jo Ghaalib ahl-e-dunyaa maiN nifaaq
aur naheeN raKhtay yeh baaham ittifaaq
juhl ki z'ulmat kaa hay saaraa fasaad
hay laRaataa sab ko yeh hee naamuraad
i'lm aur tauHeed agar un maiN baRhay
ikhtilaaf un maiN se kul jaataa rahay
mairay shaiKh is Hikaayat se aik aur lat'eef qiyaas farmaatay haiN keh deen kaa paaNch juzw hay :
1-a'qaaid
2-i'baadaat
3-mu'aamalaat
4-mu'aashirat
5-akhlaaqiyaat (dil ki duniyaa)
ab huvaa kyaa keh aaj ke musalmaan ko jo bhaayaa in maiN se uThaa liyaa aur usee juzw ko kul samjhaa -lihaazaa masjid kaa musalmaan to naz'ar aa hi jaataa hay baazaar kaa musalmaan naz'ar naheeN aataa , ghar kaa musalmaan diKhaaee naheeN daitaa, daftar kaa musalmaan shaaz ho gayaa , alGharaZ deegar shu'bah haa ay zindagee se musalmaanee rukhSat ho ga.ee barkhilaaf is tarjamah-e-aayat ke "pooray ke pooray islaam maiN daakhil ho jaa.o" -