guzarish #31

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Rehana.A
-
-
Posts: 76
Joined: Fri Dec 10, 2004 5:01 am
Contact:

guzarish #31

Post by Rehana.A »

[align=left]
Aziz dosto!

is kaamyaab mushairay par
sub ko mubarakbaad paish kartee hoon ,
apni koshish bhi aap kay saamnay paish
karnay ki jasaarat kar rahi hoon :-)
ko,i ghaltee waghaira ho to zaroor bataiay ga .
mojhay is say buhut madad miltee he.to
lijiay arz kartee hoon .............-----------
[/align]
[align=center]
Image[/align]
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Salam Rehanaa ji,

kahiaye kaise mizaaj heN. is baar designing ka mai'yaar kuch bohat khoob na rahaa ;). haaN ghazal meN aap ka wohi raNg hai.

1. matlaa pasand aayaa.
2. pehla miSra meN alfaaz kuch ulaT pulaT lag raheN heN.
3. bohat khoob. donoN miSroN meN ham hai. pehlay miSra meN aap baithay thay ham ko baithay rhay bhi kar sakte heN.
4. pehla miSra beHr se khaarij ho gyaa hai.
5. mujhe aisaa lag rahaa hai ke aap jo kehnaa chah raheeN heN woh kuch bohat aHsan alfaaz meN bayaan naheeN kiyaa ja sakaa.
6. phir pehlaa miSra bebeHr ho gyaa hai.
7. ahaa haa. bohat khoob. maqta' bohat jaandaar hai.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtarmah Rehanah AHmad SaaHibah aadaab-o-tasleemaat! :rose

Ghazal par taakheer se likhne ke liye mua'azrat khuwah hooN. ummeed hai keh aap darGuzar farma deeN gee. aor ab mah-e-rawaaN ke liye nae'ee Ghazal ke liye duniyaa-e-fikr meN Gum ho chukee hooN gee.

asha'aar meN baRee kamyaabee se taGhazzul ke gehre aor daqeeq maZ^ameen ko sametaa geyaa hai. Gham-e-zamanah aor fikr-e-janaaN aap kee shaae'ree kaa buniyaadee waSf aor t^arrah-e-imteyaaz hai. aap ke haaN gaahe gaahe maZ^ameen Aafaqee naoi'yat bhee ikhteyaar kar jate haiN.

bachpan aor naou'mree kaa zamanah sab ko a'zeez hotaa hai. aap kee shae'ree meN is daor kee yadeeN baRee aham haiN. yeh Ghaer fit^ree baat naheeN. aadamee safar-e-Hayaat meN aage ko baRhataa hai aor bachpar kee haseeN yadeeN us kaa daman khenchtee haiN. gaoyaa aawaaz de kar pukaartee haiN. aap har us aaaaz ko muR kar dekhtee haiN jo maaZ^ee ke nihaaN khanooN se aarahee ho. aor yahee wajah hai keh aap kee shae'ree meN pukhtah kaaree ke saath saath ba'Z^ aoqaat u'mr-e-Guzashtah ke HaseeN aor naazuk lamaHaat kaa a'ks bhee dekhaa jaa saktaa hai. jo nah Sirf HaseeN aor dilkash hai balkeh seHerangez bhee hai.

Zeyaadah hadd-e-adab!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Post Reply