Meer-o-Saudaa

Shayari se taluq sawalaat aur mashware
Post Reply

aap ko konsaa she'r ziyaadah pasand aayaa ?

1
2
40%
2
3
60%
 
Total votes: 5

User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Meer-o-Saudaa

Post by yasir shah »

Haazireen-e-maHfil !
assalaamOa'laikum


aaj aik "dilchasp intikhaab" ke saath Haazir-e-khidmat hooN -mandarajah zail ash.'aar meN se aik "Meer taqee Meer " kaa hay aur aik "Mirzaa Saudaa " kaa yaa yooN kahye keh aik "Mirzaa Saudaa " kaa hay aur aik "Meer taqee Meer " kaa :-) baHr, zameen , aur khayaal aik hi heN agar judaa heN to sirf alfaaZ' , yeh dilchasp Soorat-e-Haal nah jaanay sarqah hay keh tawaarud ,,mulaaHiZ'ah farmaaiye-



1-chaman meN gul ne jo kal da'waa-e-jamaal kiyaa
jamaal-e-yaar ne muNh us kaa khoob laal kiyaa



2-baraabaree kaa tire gul ne jab khayaal kiyaa
Sabaa ne maar thapaiRaa muNh us kaa laal kiyaa






chunaao (POLL) meN HiSSah lay kar apnee pasandeedagee kaa iZ'haar kareN - inshaaAllah aakhir meN bataa dooN gaa keh konsaa she'r kis kaa hay 8)
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mokarami Yasir Saheb,
:salaam:
Mujeh pehla sheir bohat pasand ayaa.
سالم احمد باشوار
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

aap kaa bahut shukriyah Saaraa bahan aur Sabshwar SaaHib !
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Janab Yasir SaHeb,

kiyaa ashaar par comments daine ki bhi ijaazat hai?
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

Khaawar SaaHib !

tabSirah keejiye .. Zaroor keejiye


yasir
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Shukriyaa Yasir Sb,

Darasal meiN ne doosre sha'er pasand kiyaa thaa. aor meiN chahtaa thaa ke meiN us ki wajaa bhi bayaan kar dooN.

Jub meiN ne pehli baar donoaN sha'er paRhay to pehlay hamlay meiN mujhe pehlaa sha'er bohat pasand aayaa. phir meiN ne ghor kiyaa toa pataa chalaa ke soora sha'er bohat buland hai oar pehlaa sha'er us ka kissi bhi taraH muqabilaa naheeN kartaa (maire nazdeek oar is se kissi ka ittefaaq karnaa bil kul bhi zaroori naheeN.). doosra misRa Haqeeqat ke zyaadaa qareeb hai.

daikhiaye pehlaa msiraa, par ghor karte haiN

1-chaman meN gul ne jo kal da'waa-e-jamaal kiyaa
jamaal-e-yaar ne muNh us kaa khoob laal kiyaa


agar gul daawaa e jamaal kartaa hai kia buraa hai? kya us ke jamaal se inkaar hai? haaN agar jamaal yaar ki barabari ki baat ho to phir aitraaz barHaq hai jaisa ke doosre sha'er meiN bayaan kiyaa gyaa hai. daikhiaye.


2-baraabaree kaa tire gul ne jab khayaal kiyaa
Sabaa ne maar thapaiRaa muNh us kaa laal kiyaa


iss taraH ab doosre miSra par aa-i-aye,

1-chaman meN gul ne jo kal da'waa-e-jamaal kiyaa
jamaal-e-yaar ne muNh us kaa khoob laal kiyaa

jamaal e yaar ne muNh laal kiyaa aik khoobSoorat khyaal hai laikin ghuloo hai. doosri taraf daikhiaye khyaal ki khoobSoorti ko haqeetan rang meiN barqaraar rakhaa gayaa hai.

2-baraabaree kaa tire gul ne jab khayaal kiyaa
Sabaa ne maar thapaiRaa muNh us kaa laal kiyaa


iss tarz par sochte huway mujhe doosraa sha'er zydaa pasand aayaa.


dua'aa goa,
Muhamamd K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

muhammad_19k wrote:Shukriyaa Yasir Sb,

Darasal meiN ne doosre sha'er pasand kiyaa thaa. aor meiN chahtaa thaa ke meiN us ki wajaa bhi bayaan kar dooN.

Jub meiN ne pehli baar donoaN sha'er paRhay to pehlay hamlay meiN mujhe pehlaa sha'er bohat pasand aayaa. phir meiN ne ghor kiyaa toa pataa chalaa ke soora sha'er bohat buland hai oar pehlaa sha'er us ka kissi bhi taraH muqabilaa naheeN kartaa (maire nazdeek oar is se kissi ka ittefaaq karnaa bil kul bhi zaroori naheeN.). doosra misRa Haqeeqat ke zyaadaa qareeb hai.

daikhiaye pehlaa msiraa, par ghor karte haiN

1-chaman meN gul ne jo kal da'waa-e-jamaal kiyaa
jamaal-e-yaar ne muNh us kaa khoob laal kiyaa


agar gul daawaa e jamaal kartaa hai kia buraa hai? kya us ke jamaal se inkaar hai? haaN agar jamaal yaar ki barabari ki baat ho to phir aitraaz barHaq hai jaisa ke doosre sha'er meiN bayaan kiyaa gyaa hai. daikhiaye.


2-baraabaree kaa tire gul ne jab khayaal kiyaa
Sabaa ne maar thapaiRaa muNh us kaa laal kiyaa


iss taraH ab doosre miSra par aa-i-aye,

1-chaman meN gul ne jo kal da'waa-e-jamaal kiyaa
jamaal-e-yaar ne muNh us kaa khoob laal kiyaa

jamaal e yaar ne muNh laal kiyaa aik khoobSoorat khyaal hai laikin ghuloo hai. doosri taraf daikhiaye khyaal ki khoobSoorti ko haqeetan rang meiN barqaraar rakhaa gayaa hai.

2-baraabaree kaa tire gul ne jab khayaal kiyaa
Sabaa ne maar thapaiRaa muNh us kaa laal kiyaa


iss tarz par sochte huway mujhe doosraa sha'er zydaa pasand aayaa.


dua'aa goa,
Muhamamd K. Siddiqui.


muHtaram Khaawar SaaHib !

aap kaa zaawiyah-e-nigaah bulaNd hay kyooNkeh aazaad hay ,, albattah isay mazeed wusa't dee jaa saktee hay -

aap kaa taqaabalee jaaizah doosray she'r ki infiraadiyat ki Had tak mujhay pasand aayaa-

daiKhiye ,, auroN ki kyaa raa.ay hay is baaray meN -



yasir
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

hamne bhi vote dediya ahai aur jaan ker hushe ehuee keh ham ne theek faiSla kiyaa :grin: :rose
live and let live

Image
Post Reply