ek darKhwaast

Shayari se taluq sawalaat aur mashware
Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

ek darKhwaast

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: aadaab-o-tasleemaat!

is teHreer kaa maqSad aap kee tavajjuh ek aham mas,aleh kee jaanib mabZool karnaa hai. ummeed hai keh meree aawaaz :Sadaa ba-SeHraa: ho kar naheeN reh jaaYe gee.

internet par Urdu kee meHfiloN aur un ke shaa,iqeen kee ta'daad baraabar baRh` rahee hai. yeh ek Khush-aa,ind baat hai aur is se Urdu kee har-dil-a'zeezee kaa patah chaltaa hai. lekin meHfiloN kee is buhtaat ne yeh mas,alah paidaa kar diyaa hai keh tajribeh-kaar aur kuhnah-mashq likh`ne waale taqseem ho kar reh gaYe haiN. un se istifaadah karne ke liYe kisee maKhSooS bazm meN jaanaa kam-o-besh Z^arooree saa ho gayaa hai.

is Soorat-e-Haal se naYe likh`ne waaloN ko bohat nuqSaan ho rahaa hai kyoN.k un kee rehnumaayee (jo pehle bh`ee kuch` aisee a'am aur kaargar naheeN th`ee!) ab taqreeba" naa-paid ho kar reh gayee hai.

mujh` ko is kaa eHsaas hai keh yeh tajribeh-kaar dost maKhSooS meHfiloN kee sargamiyoN kaa aham HiSSah haiN. lekin is kaa yeh mat^lab naheeN honaa chaahiYe keh woh naYe likh`ne waaloN kee jaanib se be-niyaaz ho jaaYeN. jab maiN :bh`oole-bh`aTke: naYe likhne waaloN kee bazm meN jaataa hooN to mujh` ko is kaa bohat eHsaas hotaa hai keh maiN Khud bh`ee in meN waisaa kaam naheeN kar rahaa hooN jaisaa karnaa chaahiYe.

is se to inkaar mumkin naheeN hai keh Urdu kaa mustaqbil naYe :likh`aariyoN: se hee waabastah hai. in kee adabee aur she'ree kaavishoN meN behtaree munaasib rehnumaayee aur tarbiyat se ziyaadah tezee se taraqqee paa saktee hai. is liYe yeh Z^arooree hai keh kuhanh-mashq eHbaab apne se :ch`oToN: kee HauSlah-afzaayee aur rehnumaayee meN garm-joshee se HiSSah leN aur is kaam ke liYe apne ma'moolaat meN se munaasib waqt nikaaleN.

maiN Khud har hafteh kam se kam do din muKhtalif meHfiloN meN naYe :likh`aariyoN: ke liYe muKhtaS (reserve) karne kaa pakkaa iraadah rakh`taa hooN. ummeed hai keh doosre tajribeh-kaar dost bh`ee is kaam kee jaanib Khaat^ir-Khwaah tavajjuh deN ge. meree KhuSooSee darKhwaast Raj Kumar :Qais:, Abdullah Nazir, Irfan Abid, Daud Rizwan, Jawaid Badauni SaaHebaan se hai. in ke i'laavah aur bh`ee dost haiN jin ke naam is waqt Zehn meN naheeN haiN aur maiN is ke liYe un se ma'Zarat chaahtaa hooN.

yaqeen hai keh ham mil-jul kar yeh kaam :kal: se hee shuroo' kar deN ge.

aap ke Khayaalaat kaa muntaz^ir:

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

Ustaad-e-Mautarum Janab-e-Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemat

Aap nein jis aa'ham nuqte kee janib nishaan^dehi kee hai uss se mein bahesiyaat-e-nau^mashq sha'ir sau feesad ittifaaq kartee hoon.
Ek taveel arse baad net kee adaabi mehfiloon mein shamoliyaat ka silsilaah dobaara se shorooh kiyaa ke shayed yahaan per seekhne aur seekHaane ka silsilah weise hee chaL raha hogaa jo ke pehLe kabhi chal raha thaa.
jab nau^mashq apnee koshishoon aur asaatizaa kee rah^numahi se naye likHne waloon kee faiHrist se sukhanwaroon / kauna mashq shauraa kee bazm mein move ho rahe the aur jub har teesraa sha'ir apne hum-asr yaa apne se chote likHne waloon kee hosla^afzai aur rah^numahi ke liye hardamm tayyar baiTah rehtaa thaa.

Lekin yeh daikh kar bauth afsoos howaa ke hum nau^mashqoon ke kalaam per abb do^harf keHne kee zehmat bhi koi mushkiL se kartaa hai phir rah^numahi karNa tu door kee baat hai.

Aap kee tajveez per agar asaatizaa-e-karaam ghaur farmahein tu sub se ziyadaa khushi mujhe ho gi ke mere guzishtaa kahee saaree takhleeqaat per inn^hee mautabar asaatizaa--e-karaam aur sukhanwaroon kee giraan qadr islaah aur rah^numahi maujood hai jo mere liye bauth aahamiyaat kee aamiL hain.

Iss mazmoon per aap kee tavajju ke liye diL kee ghairahioyoon se mamnoon hoon aur aap tamaam asaatizaa-e-karam aur Kauna^mashq shuaraa-e-karaam se iss darkhwaast per ghaur aur fauree amaL kee darkwaast kartee hoon.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Assalam-o-a'laikum,

moHtarami Sarwar A.Raz Sarwar SaaHib,

aap ne jis khoobSoorat andaaz se kuhna-mashq shu'raa aur udabaa se nau-mashq khawaateen-o-Hazaraat keleye kuch kar dikhaane ki darkhwaast ki hai , yaqeena" woh har liHaaz se qaabil-e-staaish aur qaabil-e-ghor hai !.
choNke maiN khud bhi ik nau-mashq likhaari hoN , is leye agar aisa koi mustahsan qadam uThaayaa jaata hai , to us se mera faizyaab hona amr-e-yaqeeni hai !! aur meri tarah deegar aHbaab ko bhi faaida hoga :D

Jaisa k aap khud bhi jaante haiN , kuch maah pehle maiN be-vazn aur behr se a'aari ghazleN likhtaa thaa , magar aap ki tawajjuh aur Abd-ul-laah Nazir SaaHib aur Raj SaaHib aur deegar aHbaab ki tawajju se ab kuch is qaabil zaroor howaa hoN k apni ghalat^iyoN ka pata lagaa sakoN aur beHr maiN rehte howe kuch keh sakoN 8) . ye sab aap buzrgoN ki moHabbat aur tawajju ka nateeja thaa, magar tishnagee ab bhi barqaraar hai .

maiN umeed kartaa hoN , k kuhna-mashq Hazaraat aap ki in mufeed baatoN par zaroor ghor-o-fikr kareNge

bahut bahut shukriya

aur hameN us din ka shiddat se intezaar hai jab hafte maiN do din ham jaisoN keleye makhSooS kareNge

aap ne baja farmaayaa k Urdu ka mustaqbil ab naye aur nau-jawaaN likhaariyoN k haath maiN hai. agar is baat par ghor kyaa jaaye aur maujoda Halaat k tanaazur maiN is mas'ale ka jaaiza lyaa jaaye to bakhobi andaaza hosaktaa hai k Urdu ka mustaqbil , kis darja khat^re se dochaar hai !!. chunaNche khat^re ki is balaa ko Taalne keleye kuhna-mashq aHbaab ko saamne aanaa hoga !!. shukriya

mokhli S: Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
rahmed25682
-
-
Posts: 126
Joined: Thu Dec 09, 2004 8:28 am
Location: Karachi
Contact:

Post by rahmed25682 »

Ustaad-e-Mohtaram SARWAR RAZ sahab

Tasleemaat...

Umeed hay mizaaj bakhair hongay..

Main aap kay bay-hadd shukar-guzaar hooN kay aap nay is ah'm masley kee taraf tawajah farmayee.Umeed hay kay doosray Asaatzah Karaam bhee is jaanib nazar farmaayen gay.
Aap kay bohat mashkoor hooN kay aap nay HAFTAY main 2 din is kaam kay liye mukhtas kiye hain,ye waqiatan aik mustahsan qadam hogay kay is isay hum jaisay naye likhnay waloN kee islaah aur hosla afzai hogy.

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed
Kab Say HooN , Kia BataaooN Jahan-e-Kharab Main
Shab-Haaye Hijr Ko Bhee RakhooN Gar Hisab Main
=============================
Ghalib
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut Bahut Shukriya

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
SARWAR A. RAZ :SARWAR: Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat o iHtiraam,


Aapki tajveez aur hidaayaat paRhkar bahut khushi houi aap ne urdu kii khidmat ke liye aik bahut hii zaroori raah kaa taAayyun farmaayaa hei. Inshaallah mujhe aap is silsile meiN saf-e-avval meiN paayenge.

Mushkil ye paish aati hei ke naye shoAaraa kaun heiN jin kii rehnumaayi kii jaasake?

1- Ba'z khwaateen o Hazraat bilkul beHr meiN nahiN keh sakte. Meri raaye meiN aise loagaoN ko chaahiye ke bajaye apni taweel takhleeqaat irsaal karne ke sirf salim beHraoN meiN sheAr kehne kii koushish kareN, beHr ke arkan se achchi taraH se waaqif houne kii koushish karen aur seekheN.

2) Aise shoAaraa aur Shayerat jo beHr meiN tou kehte heiN lekin ba'z auqaat unke ashAar beHr se khaarij hujaate heiN yaa unke ba'z ashAar kaa koiee mafhoom nahiN nikaltaa. In loagaoN kii sheAri takhleeqaat per adabi tabsireh se rehunumaayi kii jaasakti hei aur unko ifhaam o tafheem kaa haq diyaa jaasaktaa hei.

Agar hamare shoAaraa aur shaayhiraat aap jaisi shakhsiyyat se faaidah uThaanaa chaaheN tou is meiN koiee shak nahiN ke aap hatt-al-maqdoor apni maAloomaat se sab ko mustafeed houne kaa mauqaA denge.

JahaN tak mera taAalluq hei meiN aapki aawaaz per labbaik kehtaa hooN aur gokeh pahle hii se maiN ne is silsile meiN apni khidmaat paish kii hei iske baavajood maiN Haazir hooN. Aapki rehnumaayi ke liye behad shukrguzaar hooN.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Post Reply