chand Sawaalaat:.....Abdullah Nazir

Shayari se taluq sawalaat aur mashware
Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

chand Sawaalaat:.....Abdullah Nazir

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
AHbaab-e-Sukhan,


Purkhuloos Tasleemaat,

Chand sawaalaat mukarrar Taur per saamne aate rehte heiN aur unke javaabaat per qinaaAat nahiN kii jaati hei, jin meiN se mandarja-e-zeil sawaalaat heiN:

1)Aurat kis zabaan kaa lafz hei?

aSl lafz Arabi kaa hii hei lekin Arabi meiN yooN isteAmaal houtaa hei "Auratun" jiske maAni heiN (jism kaa aisaa Hissah jisko doosraoN se chupaanaa zaroori hei). Isi se urdu maiN bajaye "te marbooT" ke "te maftooH" se bartaa gayaa hei aur English meiN "woman" ke maAnaoN meiN liyaa gayaa hei.

2)Taskeen-e-AusaT

Kyaa Farisi kii TaraH urdu meiN bhii taskeen-e-ausat kaa isteAmaal jaayiz hei?

Shamsurrahmaan Faarouqi ne apni kitaab "Arooz aahung aur bayaan" ke SafHae raqm 233 per yooN likhkhaa hei:

"MuHaqqiq Toosi kaa qaul hei keh jahaaN bhee teen HarakateN jamA houjayeN taskeen-e-ausaT ravaa hei basharT yeh ke uske nateejeh meiN beHr kii tabdeeli kaa dhoukah nah hou"

Mandarja-e-baalaa qaul ke baAd apnaa khayaal zaahir karte houe kehte heiN (meraa khayaal yeh hei ke agar beHr kii tabdeeli kaa dhoukah bhii hou tou koie harj nahiN.)
iske baAd SafHae raqm 234 per kehte heiN:

"taskeen-e-ausaT 2 TaraH se roonumaa houti hei, avval tou yeh keh kisi aek vazn meiN teen HarakateN aek saath houN aur beech waali ko saakin kardiyaa jaaye. Doosri Soorat yeh hei 2 mavaazeen muttaSil houN aur beech waali Harakat ko saakin kardiyaa jaaye."
======

YahaaN ham aasaani ke liye sawaal karsakte heiN keh jab taskeen-e-ausaT ke qaaAide se:
fa'Ailaatun ko faAlaatun = maf'Aoolun,
fa'Ailaat ko faAlaat = maf'Aool,
fa'Ailun ko feAlun = feA.lun,
muf'taAilun ko muftaAlun = mafAoolun,
mutafaaAilun ko mut'faa'Ailun = maf'Aoolun,
mufaaAilatun ko mut'faa'Ailun = mustafAilun aur
mufaa'Ailatun ko mufaa'Ail'tun = mufaa'Aee'lun
isteAmaal karsakte heiN tou us Soorat meiN kyaa kiyaa jaayegaa jab inki jagah baAz mutaHarri alfaaz aayeN. Macalan fa'Ailu ki jagah agar lafz "ramaDhaN" yaa "nazar-e" yaa Harakt" hou tou inki taskeen ausaT kyaa yeh nah hougi: (ram'dhaaN, nazr-e, Harkat)?

ummeed ke aap meiN se jou bhii is mauZooA per raushni Daal sakte heiN mujhe mustafeed houne kaa mauqaA denge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab,
Aadaab

Bahut bahut shukriya aap ne kaii sawalaat ke jawabat inayat farma kar hamare ilm meN izafah farmaya. Ummid hai aaindah bhi isee qism ke mazamin se nawazte raheNge. Naujawan ahl-e Urdu in se bahut kuch seekh sakte haiN.

Ek baar phir aap ka shukriya.

Mukhlis
Jawaid
Last edited by jawaid badauni on Tue Nov 29, 2005 4:37 pm, edited 1 time in total.
Post Reply