mohataram Nazir saahib tawajjuh fermaiye.

Shayari se taluq sawalaat aur mashware
Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Sawaal bahut wus'Aat rakhtaa hei

Post by Abdullah Nazir »


Muhtaramah
Saara Saahibah,


Purkhuloos Tasleemaat, :oops:


Aapke aek sawaal meiN kaiee sawaalaat pousheedah heiN:

Javab meiN sirf yeh Arz karsaktaa hooN:

1) Her maah maiN yaa meri jagah jo bhi yeh rasm jaari rakhnaa chaaheN aik taraHi misraA denge.

2) Jo bhii apni TaraHi ghazal paish karnaa chaaheiN wo paish karenge. Sab ke saath maiN bhi her ghazal per apnii aaraa paish karungaa.

3)Khaas Taur per un shaaAiraat aur shoAaraa ke kalaam per tafseeli tabsirah kiyaa jaayegaa jo mubtadi heiN aur jinki rehnumaayi kii shadeed zaroorat hei. BeHr kii ghalatiyaoN kii nishandehi kii jaagegi. Agar unki ghazal ke saath koii aisaa sawaal hou jiske javaab se unki maAloomaat meiN izaafah husaktaa hei tou javaab dene kii koushish bhii karunga.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Post Reply