Mohatramee Abdullah Nazir sahib

Shayari se taluq sawalaat aur mashware
Post Reply
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Mohatramee Abdullah Nazir sahib

Post by Mahtab Qadr »

Abdullah bhai apni maloomat ke lye arz hai ke 'dikhi' ka lafz nazar aane ke lye faseeh hai ya nahi?

jaise hamari bahen Najma sahiba ne apne matle mai istemaal kia hai.
'dikhi bhi nahi"

muntazir e jawab
Mahtab Qadr
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

shukriya

Post by Abdullah Nazir »


Bhaayi Mahtab Qadr Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Aapke mandarja-e-zeil sawaal ke liye shukriya:

Abdullah bhai apni maloomat ke lye arz hai ke 'dikhi' ka lafz nazar aane ke lye faseeh hai ya nahi?

jaise hamari bahen Najma sahiba ne apne matle mai istemaal kia hai.
'dikhi bhi nahi"

muntazir e jawab
Mahtab Qadr


dikhti lughaat ki mufradaat meiN se nahiN hei lekin Hindi ke qaaAide ke lihaaz se fe'Al-e-mutaAaddi ko fe'Al-e-laazim banaane kaa aisaa Tareeqah hei: Macalan bachaanaa se bachnaa, jalaanaa se jalnaa, bichaana se bichnaa. Is liHaaz se ham dikhaanaa se dikhnaa banaayeN tou jaayez hei. Aur dikhnaa kii taSreef kareN tou ham keh sakte heiN dikhaa, dikhtaa hei, dikhti hei, waghairah.

Ab yeh jumle dekheN:
MaiN her shaam shamA jalaataa hooN.
Her shaam shamA jalti hei.
wo akcar Huroof-e-illat ko giraataa hei.
Huroof-e-illat girte heiN.
wo garmi dikhaati hei.
Garmi dikhti hei.
=========

Is javaaz ke baavajood aise alfaaz shaayeri meiN bahut kam isteAmaal houte heiN lekin is ke yeh mani nahiN ke ghair faseeH heiN. Yeh baat maiN apne meHdood muTaaliAe kii bunyaad per karrahaa hooN.
Aap mazeed teHqeeq karsakte heiN.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Thu Jul 14, 2005 10:27 am, edited 2 times in total.
Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Mohatramee Abdullah bhai behad shukria is wazahatoN ka, meri maloomat mai izafa huva , bas yahi baat thi ke kabhi meri nazr e naqis se aisi koi tahreer nahi guzri thi jin mai ye isi tarah istemal huva ho, ab aapne wazahat farmadi to gunjayesh ka pata chala.
shukria
niazmand
Mahtab Qadr
Handsome
-
-
Posts: 143
Joined: Mon Jul 11, 2005 2:29 am
Location: Multan
Contact:

Post by Handsome »

Webmaster boha tacchi maloomat di app nay is ka shukerya :)

khush rahain
Handsome
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam,

Mahtab saaHib ek achchhaa sawaal karne kaa shukria. aur Nazir saaHib aapkaa bhi be_Had maiN mamnoon huN ki aapne faseeH jawaab diyaa.

aapne bajaa farmaayaa...maiN ne bhi kabhi is lafz kaa iste'maal ustaadoN kii shaa'irii meN nahiiN dekhaa.

shukria ek baar phir se aap Hazraat kaa.

Hashmat
Image
Post Reply