اردو بندھن جلد بند کردیا جائےگا

Aapus kii baat cheet aur shikwa shikayat
Post Reply
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

اردو بندھن جلد بند کردیا جائےگا

Post by sbashwar »

:bismillah:
Attachments
ghazal2a.gif
ghazal2a.gif (58.57 KiB) Viewed 1143 times
Last edited by sbashwar on Tue May 14, 2013 2:46 pm, edited 1 time in total.
Reason: salembashwar@hotmail.com
سالم احمد باشوار
Aanchal
-
-
Posts: 60
Joined: Fri Jan 14, 2005 12:00 pm
Contact:

Re: اردو بندھن جلد بند کردیا جائےگا

Post by Aanchal »

Assalamalikum

yeh urdu ki aik porani website hai isay band nahi hona chaye .... :rose1:
aaj kal facebook nay forums pay activity ko kam kar dia hia ....lekan phir bhi forums ki apni aik pehchaan hai ...:--)
ummid hai yeh forum band nahi hoga ... :rose1:
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: اردو بندھن جلد بند کردیا جائےگا

Post by sbashwar »

Walaikom Salaam
Allah se ummid hai aap khairiyat se hongi.
Retirement ke baad se musalsal mizaj na saaz rehti hai. Lakdi ke sahare ghar se bahar kam hi nikal ta houn. Peet mein takleef ke wajeh notebook ko goud mein rakh kar waqt guzarta houn. LaRke apne apne masroofiat mein rehte hain. Potre, potriyon se waqt achcha guzar jata hai. 42 saal mulazimat ke baad ghar par paRe rehna asaan nahin. Urdubandhan meri masroofiyat ka sahara tha. Urdubandhan ek poorana forum jo mere aziz dost Abdullah Nazir Saheb (Allah unke darajat buland kare) aur Saara Sahiba ne shro kiya tha. Marhoom ek ustaz shaer thay. Unke daur mein urdubandhan apne urooj par tha. Main shaer na hone ke baujood urdubandhan ko jari rakha. Ahista ahista adabi as-hab facbook ke rukh karliye hain. forum par ek dosre ke kalaam par hissa lene se forum ki raunaq rahegi. Urdubandhan par zaireen ki aamad taqriban 200 nazar aati hai laikin koi na post karte hain na kisi ke post par kuch likha jaata hai. Ayese to forum kab tak chalega.
Aapne Paigham ke admin ka zikr kiye hain. Mujeh khooshi hogi agar unke mufood masharoun se urdubandhan band hone se bach jaye. Mera e-mail zuroor dijiye aur mera salaam bhi kehna.

Aapka bohat bohat shukria.
سالم احمد باشوار
Post Reply