t^araHee mushaae'rah 52 ke lie,Y meree kaawish

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

t^araHee mushaae'rah 52 ke lie,Y meree kaawish

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

aHbaab-e-bazm

adaab

pesh hai meree t^araHee Ghazal

hai bahut pur kaif z^aalim kee adaa maire lie,Y
aik Khaamoashee banee hai sao nawaa maire leie,Y

zoar-e-baazoo par tujhe gar naaz hai to ham nasheeN
kaafee-o-shaafee hai muflis kee dua'aa maire lie,Y

jis ke dam se hai chaman meiN raNg-o-nikhat yeh zamaaN
poochhtaa hai tum ne aaKhir kiyaa kiyaa maire lie,Y

maiN to maoj-e-baHr meiN paltaa hooN maaninde Hubaab
ajnabee saaHil wa kashtee naa Khudaa maire lie,Y

hogayaa ruKhSat to qeemat mazm meiN mairee khulee
"ban gai,Y hai maot kitnee Khush adaa maire lie,Y"

bazm aaraai,Y hui,y phir saj gae,Y daar-o-rasan
ibtadaa maire lie,Y thee intahaa maire lie,Y

kah rahee hai ek Ghazal pahloo meiN dil betaab se
dard-o-Gham, ranj-o-alam kar le siwaa mere lie,Y

zaKhm se pur jaib-o-daaman haiN magar Naiyer sadaa
gungunaa maire lie,Y too muskuraa maire lie,Y


Allah Haafiz^

Khurshidul Hasan Naiyer
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: t^araHee mushaae'rah 52 ke lie,Y meree kaawish

Post by sbashwar »

Mohtaram Khurshidul Hasan Naiyer Saheb
:salaam2:

Moshaire mein shirkat ka shukria.
Aapki ghazal achchi lagi.
Meri daad aur mubarakbaad arz hai.
سالم احمد باشوار
Post Reply