A'alami Mushae'irah Guzarish#52 ke liye miSra' tarH,

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

A'alami Mushae'irah Guzarish#52 ke liye miSra' tarH,

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Yaaraan-e-meHfil-e-Urdubandhan Aadaab-o-tasleemaat!


GuZarish#52 ke liye t^araHee miSra' pesh-e-khidmat hai. jise kalam-e-Salam Machli puri (A'bdul Salam) marHoom1921-1973 se muntakhib kiya geya hai. ummeed hai pasand farmaate huwe jald az jald apne kalam se nawazeeN ge. miSra' mulaHiZ^ah keejiye.


!!~~~Ban gaee hai maot kitnee khush adaa mereY liye~~~!!


Quwaafi, hawa, dawa, shifaa, jazaa, saba,khuda, waGhaerah.

radeef, :mereY liye:

taqt^ea',

ban gaee hai=2122= faai'laatun

maot kitnee=2122=faai'laatun

khush adaa me=2122=faai'laatun

re liye=212=faai'lun

BeHer,

yeh beHer-e-ramal mucammin meHZoof kehlaatee hai. ya'nee beHer-e-ramal kee woh aaTh ruknee shakl jis meN meHZoof Zahaaf ( faa i' lun) istema'aal kiya jataa hai. maoseeqiyat se bhar poor hone kee wajah se urdu shaae'ree meN is beHer kee donooN shakleeN ya'nee musaddes aor mucammin bohot maqbool haiN.


afaai'l,

faa i' laa tun.......faa i' laa tun......faa i' laa tun.....faa i' lun

=2122..........2122.........2122.........212

=lsll..............lsll.............lsll...........lsl

=/0//0/0...../0//0/0....../0//0/0...../0//0


Qawee ummeed hai keh aap sab dost hameshah kee t^arH apnee dilchaspee ko barqaraar rakhte huwe mushae'rah meN shaamil ho kar mamnoon farmaieeN geY.


mutamanni-e-shirkat
intez^aamiyah Urdubandhan
[/size]
Hasan Aatish
-
-
Posts: 85
Joined: Sun Jan 31, 2010 10:51 am
Contact:

Re: A'alami Mushae'irah Guzarish#52 ke liye miSra' tarH,

Post by Hasan Aatish »

محترم آداب
کیا طرحی غزل پیش کرنے کی کوئی آخری تاریخ بھی ہے؟ :?
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: A'alami Mushae'irah Guzarish#52 ke liye miSra' tarH,

Post by sbashwar »

Hasan Aatish wrote:محترم آداب
کیا طرحی غزل پیش کرنے کی کوئی آخری تاریخ بھی ہے؟ :?


محترم حسن آتش صاحب
السلام علیکم

سب سے پہلے اُردو بندھن پر آپ کا استقبال کیا جاتا ہے۔
طرحی غزل پیش کرنےکے لیے کوئی وقت کی قید نہیں ہے۔ آپ اپنی صہولت سے مشاعرہ میں حصہ لیں۔ نوازش ہوگی۔
مخلص
سالم باشوار
[/color]
سالم احمد باشوار
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: A'alami Mushae'irah Guzarish#52 ke liye miSra' tarH,

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Hasan Aatish wrote:محترم آداب
کیا طرحی غزل پیش کرنے کی کوئی آخری تاریخ بھی ہے؟ :?

moHtaram Hasan Aitish SaaHib aadaab!

Ummeed hai, baakhaeriyat hooN ge. bazm meN tashreef aawaree par dilee mubarak baad aor khush aam deed!

jaesa keh moHtaram Salim Bashwar SaaHib ne farmaya hai, keh aap apne sahulat ke mutabiq Ghazal arsaal kar sakte haiN. u'muma" har mah ke liye aek miSra har pehlee taareekh ko lagaya jata hai, is mah miSra' khaaSee taakheer se laga, jis ka baai's khaaksaar kee zaatee maSrufiyaat raheeN, agla miSra' 1 may ko lagaya jae ga. inshAllah!

Wassalam

Muzaffar AHmad Muzaffar
Post Reply