Meri taza munajaat..............

Hamd e Baari aur Naat eRasoolakram ke lye
Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Meri taza munajaat..............

Post by jawaid badauni »

Mujh ko aazaad-e qaid-e gham kar dey

Mere mAbood yeh karam kar dey



Hai musalmaN bahut zaleel.o.khuwaar

meri millat ko moHtaram kar dey



Ghar meN mazloom ke savera ho

Ghar meN zalim ke sham-e gham kar dey



Yeh miree dooriyaN Madeene se

Ab tou in fasloN ko kum kar dey



Pahle dey jazbaa-e jihad-e nafs

Phir MuslamaN ko taza dum kar dey



Qaum-e Muslim baTee hai tukRoN meN

Phir se is qaum ko baham kar dey



BaKhsh dey dil ko Hubb-e som.o.salat

ThoRee duniya ki chaah kum kar dey



Qalb.e Momin kabhee nah Khushk rahe

Abr-e eemaaN se aisa num kar dey



Roz Jawaid Hamd.o.Naat kahe

Usko bhee saHib.e qalam kar dey

--------------------------------------------

Jawaid Badauni
Muscat - Oman
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: Meri taza munajaat..............

Post by yasir shah »

jawaid badauni wrote:Mujh ko aazaad-e qaid-e gham kar dey

Mere mAbood yeh karam kar dey



Hai musalmaN bahut zaleel.o.khuwaar

meri millat ko moHtaram kar dey



Ghar meN mazloom ke savera ho

Ghar meN zalim ke sham-e gham kar dey



Yeh miree dooriyaN Madeene se

Ab tou in fasloN ko kum kar dey



Pahle dey jazbaa-e jihad-e nafs

Phir MuslamaN ko taza dum kar dey



Qaum-e Muslim baTee hai tukRoN meN

Phir se is qaum ko baham kar dey



BaKhsh dey dil ko Hubb-e som.o.salat

ThoRee duniya ki chaah kum kar dey



Qalb.e Momin kabhee nah Khushk rahe

Abr-e eemaaN se aisa num kar dey



Roz Jawaid Hamd.o.Naat kahe

Usko bhee saHib.e qalam kar dey

--------------------------------------------

Jawaid Badauni
Muscat - Oman
muHtaramee Jaawaid SaaHib !
assalaamoa'laikum wa raHmatullaah


aap munaajaat se musharraf huvay bahut bahut mubaarak ho - jadeed lab-o-lahjah maiN aap ki yeh khoobSoorat sa'ee yaqeenan rang laa.ay gee ,Allaah karay auroN ko bhee is jaanib raGhbat ho-

BaKhsh dey dil ko Hubb-e som.o.salat

ThoRee duniya ki chaah kum kar dey


Roz Jawaid Hamd.o.Naat kahe

Usko bhee saHib.e qalam kar dey


SubHaanAllaah -maashaaAllah -jazaakAllah

t'aalib-e-du'aa
yasir
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Meri taza munajaat..............

Post by jawaid badauni »

yasir shah wrote:
jawaid badauni wrote:Mujh ko aazaad-e qaid-e gham kar dey

Mere mAbood yeh karam kar dey



Hai musalmaN bahut zaleel.o.khuwaar

meri millat ko moHtaram kar dey



Ghar meN mazloom ke savera ho

Ghar meN zalim ke sham-e gham kar dey



Yeh miree dooriyaN Madeene se

Ab tou in fasloN ko kum kar dey



Pahle dey jazbaa-e jihad-e nafs

Phir MuslamaN ko taza dum kar dey



Qaum-e Muslim baTee hai tukRoN meN

Phir se is qaum ko baham kar dey



BaKhsh dey dil ko Hubb-e som.o.salat

ThoRee duniya ki chaah kum kar dey



Qalb.e Momin kabhee nah Khushk rahe

Abr-e eemaaN se aisa num kar dey



Roz Jawaid Hamd.o.Naat kahe

Usko bhee saHib.e qalam kar dey

--------------------------------------------

Jawaid Badauni
Muscat - Oman
muHtaramee Jaawaid SaaHib !
assalaamoa'laikum wa raHmatullaah


aap munaajaat se musharraf huvay bahut bahut mubaarak ho - jadeed lab-o-lahjah maiN aap ki yeh khoobSoorat sa'ee yaqeenan rang laa.ay gee ,Allaah karay auroN ko bhee is jaanib raGhbat ho-

BaKhsh dey dil ko Hubb-e som.o.salat

ThoRee duniya ki chaah kum kar dey


Roz Jawaid Hamd.o.Naat kahe

Usko bhee saHib.e qalam kar dey


SubHaanAllaah -maashaaAllah -jazaakAllah

t'aalib-e-du'aa
yasir
moHibbee Yasir Shah Saahab, WAAS

Itne din bAd aap ka paiGham dekh kar bahut Khushee huuwee.
Himmat afzaayee ke liye beHud mamnoon hooN.

Ahqar
Jawaid Badauni
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: Meri taza munajaat..............

Post by sbashwar »

Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam2:

Pahle dey jazbaa-e jihad-e nafs
Phir MuslamaN ko taza dum kar dey

Ye ek dard-mand momin ki dilki tarjumani hai. Allah qubool farmaye, ameen.
سالم احمد باشوار
Post Reply