Asaataza ki iSlaaH! JAWABAAT

Shayari se taluq sawalaat aur mashware
Post Reply
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Asaataza ki iSlaaH! JAWABAAT

Post by muhammad_19k »

Dosto,

Asataaz ki iSlaaH ke unwaan se jo silsalaa shroo kiyaa gayaa hai. us ke jawabaat is laRi meiN dia-aye ja-aiN gay. Ta ke jawab daine ke baad bhi agar koi nayaa qaari uss sawaal ko paRhay toa ussey damghi zor aazmai ka poora moqa mil sake.

dua'aa goa,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

[align=center]JAWAB 1 [/align]

Sher tha,

baarhaa daikh chukay tairaa farab aye zaalim
ham se ub jaan ke dhokaa naheeN khayaa jaataa


aor iss ki islaaH meiN lafz zalim ko badal kar dunyaa kar dia gayaa thaa. is tarah islaah shudaa yooN huwa,

baarhaa daikh chukay tairaa farab aye duniyaa
ham se ub jaan ke dhokaa naheeN khayaa jaataa
Last edited by muhammad_19k on Mon Mar 26, 2007 5:40 pm, edited 1 time in total.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

[align=center]JAWAB 2 [/align]

paish kiyaa gayaa sha'er is tarah thaa.

dam miraa niklaa tairay waaday ke saath
tairi ghabrai hoee haaN ki taraH


chooNke meHboob ki haaN meiN ghabrane se shamane kia unSar ziada qareeb fitrat hai iss leeaye iSlaaH ke baad ye shakal ikhtiar kare gia,

dam miraa niklaa tairay waaday ke saath
tairi sharmai hoee haaN ki taraH


Saaraa Ji ko un ke saHeeH jawab ke leeaye mubarakbaad.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

[align=center]JAWAB NO. 3.[/align]

is baar ka sh'aer thaa,

aaj aaraaish e gaisoo dotaa hoti hai,
lo miri jaan giraftaar e balaa hoti hai


oar iss sh'aer ki iSlaaH meiN bhi sirf aik lafz tabdeel kiyaa gyaa ye lafz thaa lo jis ko phir se tabdeel kiyaa gyaa oar sh'aer

aaj aaraaish e gaisoo dotaa hoti hai,
lo miri jaan giraftaar e balaa hoti hai


se

aaj aaraaish e gaisoo dotaa hoti hai,
phir miri jaan giraftaar e balaa hoti hai


ho gyaa.

ub iss lafz ke tabdeel karne see sukhan ne kyaa rang ikhtiar kiyaa oar kaise badlaa is ki mazeed wazaahat ke leeaye meiN Janab Jawaid badauni SaHib, Janab Muzaffar Sb aor Janab Hamid Baaqri Sb se darkhaast kartaa hooN ke roshni daalaiN.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Bohat bohat shukriya Khawar SaaHab keh nacheez ko kisee qaabil samjha.

Pahle jawab meN "Tera Fareb" ki jagah TERE FAREB ziyadah munasib hai. Duniya kisee ko ek wahid fareb thoRee deti hai janab.


Aam Halaat meN tou LO hi ziyadah achcha lagta hai.HaaN agar "phir" ka saheeh lutf uThana hai tou donoN misroN "phir" istaimal karna hoga, yAAnee yooN:

lo phir aaraaish e gaisoo dotaa hoti hai,
phir miri jaan giraftaar e balaa hoti hai


MuKhliS
Jawaid
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtarmi jawaid badauni SaHib,

meiN shukr guzar hooN ke aap ne apni raa-aye se nawaazaa. laikin aisaa m'aaloom hotaa hai ke aap se chook ho gayee hai. mieN kuch wazaahat karni ki koshish kartaa hooN. meri teHreer surkh rang meiN hai.
jawaid badauni wrote:Bohat bohat shukriya Khawar SaaHab keh nacheez ko kisee qaabil samjha.

Pahle jawab meN "Tera Fareb" ki jagah TERE FAREB ziyadah munasib hai. Duniya kisee ko ek wahid fareb thoRee deti hai janab.

sh'aer is tarah thaa,

baarhaa daikh chukay tairaa farab aye zaalim
ham se ub jaan ke dhokaa naheeN khayaa jaataa


agar taira faraib aye zaalim ko taire faraib aye duniya meiN badalteiN haiN toa miSra caani meiN bhe dhokaa naheeN khayaa jaataa ko dhokay naheeN kha-aye jaatay karnaa paRay ga jis se qaafia or radeef bigar jaa-aye ga.

Aam Halaat meN tou LO hi ziyadah achcha lagta hai.HaaN agar "phir" ka saheeh lutf uThana hai tou donoN misroN "phir" istaimal karna hoga, yAAnee yooN:

lo phir aaraaish e gaisoo dotaa hoti hai,
phir miri jaan giraftaar e balaa hoti hai

is meiN sh'aer thaa

Aaj aaraaish e gaisoo dotaa hoti hai,
lo miri jaan giraftaar e balaa hoti hai

ye shair akbar alah Abaadi ka thaa oar is par meer waheed alah abaadi ne yehi iSlaaH di thi,

Aaj aaraaish e gaisoo dotaa hoti hai,
phir miri jaan giraftaar e balaa hoti hai

sh'aer ke badalte huway mafhoom oar Husn ko meiN mehsoos na kar sakaa is leeaye aap ehbaab ko zehmat di thi.

is meiN koi shak naheeN ke meer waheed alah abaadi bhi shaa'ir hi thay aor aap bhi. aor aap ki iSlaaH

lo phir aaraaish e gaisoo dotaa hoti hai,
phir miri jaan giraftaar e balaa hoti hai

ho saktaa hai un se bhi behtar ho. laikin ye baat such hai ke mujhe un ki iSlaah meiN la shaaoori Tor par aik bar tari nazar aati hai. ho saktaa hai un ke naam ki wajaa se ho. aor aap ki iSlaaH meiN maiN sh'aer ka Husn baRhtaa huwa na meHsoos kar sakaa ye yaqeenun mairi kam fehmi hogi.


issi taraH sikhaate rahiaye ga,

mamnoon,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

"agar taira faraib aye zaalim ko taire faraib aye duniya meiN badalteiN haiN toa miSra caani meiN bhe dhokaa naheeN khayaa jaataa ko dhokay naheeN kha-aye jaatay karnaa paRay ga jis se qaafia or radeef bigar jaa-aye ga."

Main is baat se muttafiq nahiN hooN keh agar pahle misrey meN tere fareb ai duniya kaha jaye tou doosre misrey meN dhokey nahiN kahye jaate kahna lazim hai. Dhoka khana ek mahawrah hai isey hamesha isee tarah istaimal kiya jayega. WahaN dohaka nahin kahya jata phir bhii durust hai aur zaroorate sheri ke e'tbaar se qatAn jaaiz.

MuKhliS
Jawaid
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtarmi Jawaid Sb

ji is wazaahat ke leeaye shukriyaa.


mukhliS
muhammad k. siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Post Reply