Sarwar SaaHib kaa zaaviya-e-nazar

Shayari se taluq sawalaat aur mashware
Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Sarwar SaaHib kaa zaaviya-e-nazar

Post by Abdullah Nazir »

MuHtaramaat o MuHtarameen
urdubandhan ke saathiyo

PurkhulooS tasleemaat,

MuHtaramah Naheed Verk kii taazah ghazal per tabSirah farmaate houe MuHtarami Sarwar SaaHib ne mandarjae zeil ibaarat likhkhi hei.

daad qubool keejiYe aur mujh` ko chand baateN kehne kee ijaazat deejiYe. chooN.k yeh chaupaal iSlaaH ke liYe naheeN hai is liYe meree ma'rooZ^aat Sirf meree raaYe kee Haiciyyat rakh`tee haiN! dekh` lene meN to harj naheeN hai?

Ham sab ko souchnaa chaahiye ke kyaa waaqaAi is chaupal (site) ke baare meiN yeh aek seHHetmand raaye hei?

meri nazar meiN iSlaaHi umoor per ziyaadah zour denaa aur tanqeed meiN narmi se pesh aanaa taakeh ifhaam o tafheem kaa maaHaul banaa rahe , sirf tanqeed baraaye tanqeed se bahut behtar hei.

Is mauZooA ko yahaaN Arz karne kaa maqSad yeh hei keh ham sab kisi nateejeh per pahoncheN. urdubandhan kaa kaunsaa ravaiyyah munaasib rahegaa. Aap sab kii aaraa kaa intizaar rahegaa aur Sarwar SaaHib se guzaarish hei keh apni mazeed qeemati aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA deN.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Sarwar SaaHib kaa zaaviya-e-nazar

Post by Mahtab Qadr »

Mohatram Abdullah Nazir sahib
salaam e masnoon
aap ke irshaadaat ke jawab mai arz karna chahoNga ke urdubandhan mai islaah e kalaam ke lye aik khas forum maujood hai jise naye likhne waloN ke lye makhtas kia gaya hai. islye agar Mohatram Sarwar sahib kisi ghazal par islaah dena chahieN to urdubandhan ko kia aiteraz ho sakta hai. ghazal chahe kisi ki bhi ho. sarwar sahib aur aap jaise asaatiza agar sukhanwar ke shora ko bhi islaahi mashwaroN se nawaazeiN mere khyaal se kisi ko bura na lagega.
shukria
Mahtab Qadr
WEBMASTER wrote: