aik sawal

Shayari se taluq sawalaat aur mashware
Post Reply
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

aik sawal

Post by zmufti »

Mohtaram Abdullah Nazir saheb
Tasleemat
umeed hai aap kahairiat se honge
aap se aik sawal poochna chahti hoN urdu ke kuch ilfaaz haiN jaisey mayyat niyyat wasiiatنیّت میّت وصیّت قیّوم in sab maiN ye per tashdeed hai
sawal yeh hai keh taqtii maiN in maiN se kissi aik yeh ko girana jayyez hai
aur niyyat maiN ye ke neechay zair hai to kyaa ye donon ye per shumaar ho gi ya sirf doosri per

issi tarha Qayyum maiN kyaa ham aik ye ko gira sakte haiN
jawab k liye aap ki mamnoon hongii
regards
zmufti
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

javaab

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramah
Zarqa Mufti Saahibah,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapke sawaal ke javaab meiN sab se pahle yeh Arz karnaa zaroori hei keh kisi miSreA meiN Harf "ye" ko giraanaa usi waqt jaayez houtaa hei jab ke wo kisi lafz ke aakhir meiN waaqiA hou jaise "kabhi" meiN. Micaal ke Taur per Allamah Iqbal ki ghazal kaa miSraA hei:

ke hazarouN sajde taRap rahe heiN miri jabeen-e-niyaaz meiN

Lafz "sajde" ke Harf "ye" ko giraayaa gayaa hei jo bilkul SaHeeH hei.

Aap ne jin alfaaz kaa zikr kiyaa hei jaisey maiyyat, niyyat, wasiiat, aur qayyum waghairah meiN Harf "ye" darmiyaan meiN waaqiA hourahaa hei is liye "ye" ko taqTeeA se giraanaa yaa khaarij samajhne kaa koii javaaz nahiN hei.

Ummeed ke aapke sawaal kaa tashaffi bakhsh javaab de sakaa.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Mohtaram Abdullah Nazir saheb
Tasleemat
aap ka buhat shukria
wasalaam
zmufti
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

Mohtaram Nazir saHib

is zimn mein mera bhi aik savaal hai.

maine dekha hai ke baaz alfaaz per tashdeed hoti hai, magar unheN ash'aar meiN tashdeed ke baghair bhi iste'maal kia jaata hai.

jaise ke ummeed

ghalib ne is lafz ko tashdeed ke saath iste'maal kia hai :

ham ko un se vafaa ki hai ummeed
jo nahiN jaante vafaa kia hai


aur

kehte haiN jeete haiN ummeed pe log
ham ko jeene ki bhi ummeed nahiN


doosri jaanib Iqbal ne is lafz ko baghair tashdeed ke baandha hai:

umeed-e-Hoor ne sab kuch sikhaa rakhaa hai vaa'iz ko
ye Hazrat dekhne mein seedhe saadhe


aur :

nahin hai naa.umeed iqbal apni kisht-e-veeraaN se
zara nam ho to ye miTTi baRee zarkheiz hai saaqi


is baare meiN thoRi vazaaHat darkaar hai. kia is ke peeche koi kuliyaa kaar.farmaa hai? ya phir faarsi ke alfaaz ke liye ijaazat hai?

shukria

Amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

ummeed yaa umeed

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Amjad Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapke sawaal ke liyebeHad shukrguzaar hooN.

Meri maAloomaat ke muTaabiq, aise alfaaz jou Arabi se urdu meiN aaye wo agar tashdeed ke saath heiN tou tashdeed ke saath hi isteAmaal houte heiN.

Ummeed yaa umeed Farsi se urdu meiN aayaa hei aur asl lafz douno TaraH se isteAmaal houtaa hei, tashdeed ke saath yaa baghair tashdeed ke. Ghalib ke paas baghair tashdeed ke bhii maujood hei jaise:

"sanbhalne de mujhe ai naa-umeedi kyaa qiyaamat hei
ke daaman-e-khayaal-e-yaar chooTaa jaaye hei mujh se"

Ummeed hei ke aapke sawaal kaa tashaffi bakhsh javaab desakaa.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Post Reply