nai asnaaf e sukhan

Shayari se taluq sawalaat aur mashware
Post Reply
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

nai asnaaf e sukhan

Post by Mahtab Qadr »

Adaab o Tasleemat
Tamaam dostoN se darkwast hai jo in mazooaat par nazar rakhte hoN ke
kia nai asnaaf e sukhan maslan azaad nazm ,Azaad ghazal , Ghazalnuma, hyko , waghairah urdu shayeri par bojh haiN ,aaya inki tarweej o isha'at urdu ki tarveej o tash'heer mai ma'vin sabit ho sakti hai ya rukawat ban jati hai. aap se bharpoor andaaz mai hissa lene aur raye ke izhaar ki guzarish hai.
User avatar
Abdul Basit
-
-
Posts: 10
Joined: Wed Jul 20, 2005 9:48 pm
Location: Saraab
Contact:

Post by Abdul Basit »

Asalam o Alaikum Mahtab Qadr sahib,

Baat aap nay kee hai Zubaan ke.. tu sab say pehla sawal tu yeah hai kay zubaan hai kaya ? Uss say bhee pehlay yeah sawal paida hoota hai zubaanain wajood mein kaisay aati hain.. ?

Nazariyaat mein ikhtalaaf hoo sakta hai.. magar agar kaya aisa nahi hai kay sab say pehla lafaz jo iss qurah e arz pay boola gaya hoo ga woh "to communicate" ke zaroorat kay tehat boola gaya hoo ga ?

Koi bhi zubaan lay lijiyeah.. jo sab say pehla masraf hai woh uss "to communicate" baki baatain tu uss kay baad ke hain.. :)

Iss nazariyeah ko maan lijiyeah tu duniya ke baki tamaam zubaanoon ke tarhaan urdu zubaan kay wajood mein aanay kay buniyaadi muharqaat bhi "to communicate" hee tha.. !


Aab sawal aata hai "Communicate with whom" tu iss ka jawab tu sada sa hai among two or more people, aab yeah jo communication hai iss kay liyeah kuch ilfaz takhleeq howay.. kuch musta'ar liyeah gaie.. aur wajood mein aye yeah zubaan.. urdu.. iss ke richness ka mamba.. woh mus'taar liyeah howay ilfaaz hain jo mukhtalif zubanoon say liyeah gaie.. aap yeah mustar liyeah howay ilfaz nikaal dijiyeah shaid kuch baki na bachay.. !

aap no go baat kee hai zubaan urdu ke.. magar dar haqeeqat aap baat urdu zuban kee nahi balkay iss mein kee janay wali shairi ke karna chah rahay hain... kiyon kay urdu zuban sirf shairi nahi hai.. aur na hee urdu zuban ka maksad shairi karna tha.. haan yeah zaroor hai shairi nay urdu zubaan ko bohat moa'tbar kiya hai..!

aab sawal paida hoota hai yeah shairi kaya hai aur phir shairi ke mukhtalif iqsaam... jin ko kuch khair khawah shairi kehnay say inkaari hein... woh kaya hain.. aur un ka asar urdu zubaan pay kaisay para, ya par raha hai ya phir par sakta hai ?

Iss sawal ka jawab dainay say pehlay mairay khayaal mein hum ko ehad e hazir pay aik nazar doorani paray gi.. aaj ka door jis raftar say chal raha hai.. agar aap apnay takhaiyal kay ghooray ko khoontay say bandhay aik hee dairay mein chakar lagatay rahain gai tu yaqeen maniyeah (dil chahay tu na maniyeah) bohat door reh jaana yaqeeni hai.. !!

aaj duniya mein urdu zubaan kay bolnay wallay kitnay hain yeah sawal alag hai aur yeah sawal sara sar juda keh urdu zubaan ko jan'nay wallay kitnay hain.. aur yeah sawal uss say bhi alag keh urdu shairi ke sinf e ghazal ko behar, radeef, qafiyeah ke pabandiyoon ke pasdari rakhtay howay kehnay walay kitnay hain aur phir uss ko samajhnay wallay kitnay hain.. !

guzray waqtoon mein aaur aaj mein bohat baree khaleej hayal hai.. aur har guzartay kal kay sath shaid yeah fasla barhta hee jaa raha hai.. agar hum ik khoontay say hee bandhay chakar lagatay rahain gai tu kaya payain gai ?

ghazal shairi hai.. shairi kaya hai.. kuch harfoon ke ik tarteeb e khaas ? kis liyeah.. izhar e khayaal kay liyeah ? ya mehaz tarteeb e ilfaaz kay wastay ? maksad izhar e khayaal hai.. ( once again "to communicate" ) na kay tarteeb e khaas .. agar aap kahiyeah kay maksad sirf tarteeb e khas hai tu phir shaid yeah behas la'hasil hai.. aap khud sochiyeah.. jab aap safar kartay hain aik mulaq say dosray ka tu aap kay pass kaie zariyeah hein.. pichlay zamanoon mein loug ontoon aur ghooroon pay safar kiya kartay thai.. zamanay nay taraqi ki.. daira ijad howa.. gariyaan wajood mein ayain.. gariyoon pay safar howa.. trains ayain.. jahaaz aye.. paniyoon pay safar howa.. aap safar wohi hai.. manzil bhi wohi hai.. bus rastay juda hain.. aur agar rastay bhi wohi hain tu sawari badal gaie... :) manzil tu wohi rahee.. !!

Aab iss manzil ke taraf hazar loug safar ke thantay hain kuch aik sawari ka intakhaab kartay hain.. kuch dosri ka tu masla kahaan pay hai ? manzil ko tu koi gazand nahi pohanch rahee.. haan yeah zaroor hai ... kuch yeah safar chand ghantoon mein sahoolat kay sath tay kar laytay hain.. magar kuch dinoon mein sa'oobatoon kay sath tay kartay hain.. !

Iss sari kahani mein agar baat mehaz urdu zubaan ya urdu shairi ke hai aur yeah sari sawariyaan shairi ke mukhtalif iqsaam hein tu khud sochiyeah.. maksad ka hasool tu hoo raha hai .. :) kuch ko aik andaz pasand hai kuch ko dosra.. !!

aab jo baat rehti hai woh aksariyaat ke pasand ya na pasand ke hai.. kissi bhi cheez ko dawam aksariyaat ke pasand ya na pasand say hasil hota hai.. yeah aksariyat hai jo qomoon ke taqdeer banati bhi hai sanwarti bhi hai.. magar kabhi kabhi yeah aksariyat jabar wa qabiz hukmarnoon ke hakoomatoon mein paich o tab khati rehtee hai.. aur phir kisi din chupkay say inqalaab barpa hoo jata hai.. aur aisay jabar o qabaz hukmaranoon kay takhtay ulat diyeah jatay hain.. :) mairay khayaal mein iss babat thooray kahay ko aap bohat janain gai. :)

akhri baat.. kissi bhi cheez ke naiee iqsaam tabhi wajood mein aatee hain jab purani iqsaam apnee kasish khoona shuroo kar daitee hain.. ya phir na'qabil e istamal hoo jatee hain.. ya aisee hee kaie aur wajoohaat hoti hain jo nayee iqsaam kay wajood ka bai's bantee hain..!! Urdu shairi, aur khaas toor pay ghazal kay saath bhi yeahee howa hai.. buss faraq itna hai hum iss haqeeqat ko qabool karnay pay tayaar nahi hain.. :)


yeah hai mairee naqis raye, aap sab sathiyoon ke raye ka muntazir rahoon ga.

Khush Rahiyeah
Wa.Salam
Image
Post Reply