Search found 750 matches

by jawaid badauni
Sun Apr 05, 2009 4:34 pm
Forum: Moshaairah
Topic: A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye Tarhi Ghazal
Replies: 6
Views: 850

Re: A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye Tarhi Ghazal

A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye Tarhi Ghazal :Ahmad Ali Barqi Azmi yeh aisa dard hai Barqi jo hum donoN men yaksaaN hai tumhara teer bhee apne nishaney tak nahiN pahuNcha arey kya baat kah dee dil ko mere chhuu gayee SaaHab "abhee khone ki manzil meN hooN pane tak nahiN pahuncha" ...
by jawaid badauni
Sat Apr 04, 2009 7:33 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal guZarish....51
Replies: 11
Views: 1838

Re: Ghazal guZarish....51

moHtaram jawaid Badauni SaaHib aadaab! :-) Aek muddat bad aap ko meHfil meN dekh kar bohot khushee huee. khuda kare ke aap ab baaqaa'dagee se tashreef late raheeN taa yeh meHfil tar-o-taazah rahe. aor ham t^alibaan-e-i'lm aap kee takhleeqee SalaHiyatooN se Hasb-e-taofeeq seekhte raheeN. Aap kee Gha...
by jawaid badauni
Sat Apr 04, 2009 7:26 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal guZarish....51
Replies: 11
Views: 1838

Re: Ghazal guZarish....51

Mohtaram Javed Badauni Saheb :salaam: Kafi arse baad ek achchi ghazal ke saath aapki amad par khushi hui. mira apaiGaam ulfat ka zamaey tak nahiN pahuNcha ----> zamaney ka 'n' typing ke nazr hogaya hai. zubaN se teer tou nikla nishaney tak nahiN pahuNcha Bohat khoob. woh muflis hai magar meyaar-e f...
by jawaid badauni
Sat Apr 04, 2009 4:42 am
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal guZarish....51
Replies: 11
Views: 1838

Re: Ghazal guZarish....51

Qalam Jawaid ka aaloodgi se paak hai BARQI Ta'ajjub hai payam unka zamaney tak nahin pahuncha Numaayaan is ghazal se hai sha'oor e fikr o fan unka Jabhi unka sukhan filmi taraney tak nahin pahuncha Khaksaar Ahmad Ali Barqi Azmi http://aabarqi.webs.com http://draabarqi.tripod.com http://aabarqi.blog...
by jawaid badauni
Fri Apr 03, 2009 5:36 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal guZarish....51
Replies: 11
Views: 1838

Re: Ghazal guZarish....51

assalaamoa'laikum! muHaram Jawaid SaaHib! aap ko a'rSay ba'd yahaaN daiKh kar khushee huwee -ummeed hay keh khairiyat se hoN gay- miraa paiGaam ulfat ka zamaey tak nahiN pahuNcha zubaN se teer tou nikla nishaney tak nahiN pahuNcha bahut khoob ! du'aakhwaah yasir Azeezi Yasir Shah SaaHab, WAAS bahut...
by jawaid badauni
Thu Apr 02, 2009 3:33 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal guZarish....51
Replies: 11
Views: 1838

Ghazal guZarish....51

Dosto! aadaab bahut din ba'ad haZiree laga raha hooN. bahut sada magar Gair riwayatee Ghazal le ker HaZir huuwa hooN. Koii sher achcha lage to bataaiyega zaroor. MuKhliS Jawaid Badauni mira apaiGaam ulfat ka zamaney tak nahiN pahuNcha zubaN se teer tou nikla nishaney tak nahiN pahuNcha bulandee ki ...
by jawaid badauni
Thu Dec 11, 2008 7:15 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "meree dua'a hai keh dunya meN koee jang nah ho" aek tanqeed
Replies: 3
Views: 347

Re: "meree dua'a hai keh dunya meN koee jang nah ho" aek tanqeed

a'zeezi wa moHibbee Muzaffar SaaHab tasleemaat kahaN se alfaaz laaoN kaise shukriya ada karooN aap ka keh mere aise adna.o.nacheez she'r per nah sirf tawajjo farmayee us per is qadar mukammal, jamay aur giraaNqadr tabsarey se bhee nawazah. Allah aap ko shaad.o.aabaad rakhkhe aur jazaa.e Khair se na...
by jawaid badauni
Tue Nov 04, 2008 5:33 am
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal Mushairah 46 (November)
Replies: 7
Views: 797

Re: Ghazal Mushairah 46 (November)

Ghazal likhne main sabqat le gaye is baar bhi sab se kabhi Jawaid ko aaraam farmana naheen aataa Murassa hai ghazal unki bahut rang e taghazzul se Ghazal kahne main mahir hain magar gana nahin aata Iradatmand Ahmad Ali Barqi Azmi moHtarmee Barqi SaaHab, tasleemaat aapki dilchusp manzoom daad baayiS...
by jawaid badauni
Mon Nov 03, 2008 8:01 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal Mushairah 46 (November)
Replies: 7
Views: 797

Re: Ghazal Mushairah 46 (November)

a'zeezaan.e giraamee, tasleemaat akela insaan nah haNsta bhala na rota. guzishta maah mushaireh meN sirf maiN ne hi shirkat ki thee baHeSiyat shayar. is bazm men kayee kohna mashq shoara' maujood haiN. mera unse israar hai keh woh is mahanah TaraHee mushaireh meN kuch dilchaspee leN warnah is TaraH...
by jawaid badauni
Mon Nov 03, 2008 4:58 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal Mushairah 46 (November)
Replies: 7
Views: 797

Ghazal Mushairah 46 (November)

a'zeezaan.e giraamee, tasleemaat akela insaan nah haNsta bhala na rota. guzishta maah mushaireh meN sirf maiN ne hi shirkat ki thee baHeSiyat shayar. is bazm men kayee kohna mashq shoara' maujood haiN. mera unse israar hai keh woh is mahanah TaraHee mushaireh meN kuch dilchaspee leN warnah is TaraH...
by jawaid badauni
Thu Oct 30, 2008 7:04 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik Ghazal
Replies: 7
Views: 628

Re: aik Ghazal

Waah Akhtar Saahab waah! aisee dushwaar radeef aur aise bolte ashaa'r. subH subH aap ki Ghazal nazar nawaz huuwee hai. aaj ka din achcha hi guzrega, Insha Allah. meree daad qubool farmaiiye. Naacheez, Jawaid Badauni Muscat - Oman Jjawaid Badayuni Sahib khuda kare aap ka dinn achcha guzergaya ho! aa...
by jawaid badauni
Thu Oct 30, 2008 4:58 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik Ghazal
Replies: 7
Views: 628

Re: aik Ghazal

Waah Akhtar Saahab waah!

aisee dushwaar radeef aur aise bolte ashaa'r. subH subH aap ki Ghazal nazar nawaz huuwee hai. aaj ka din achcha hi guzrega, Insha Allah.

meree daad qubool farmaiiye.

Naacheez,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman
by jawaid badauni
Sun Oct 26, 2008 5:18 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: meri taza TaraHee Ghazal(Mushairah Urdujahaan)
Replies: 3
Views: 353

Re: meri taza TaraHee Ghazal(Mushairah Urdujahaan)

Mohtermi Javed Badauni aadab! wah janab khoob ghazal likhi aap ne apni ghazal meiN urdu + hindi shabdouN ka est`emaal bhii khoob kiya yeh chand satoor sSirf aap ko khoosh aamded kehney aur bat~our izhar e tashakkur darj kii jarahii heiN tamam ghazlouN kii postings k ba`ad shurka wa araakeen ki mash...
by jawaid badauni
Fri Oct 24, 2008 7:48 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: meri taza TaraHee Ghazal(Mushairah Urdujahaan)
Replies: 3
Views: 353

meri taza TaraHee Ghazal(Mushairah Urdujahaan)

dil nah zaKhmee ho koyee guftaar se jo bhee kahna hai kaho kuch pyaar se yeh Khushee ghar meN chalegee kitne din ? tum jo le kar aayee ho baazaar se humko kaafi hai hamara yeh qalam waar tum karte raho talwaar se haaN, wohee is daur ke haiN raakshas shakl se lagte hain jo avtaar se hai dilaazaaree ...
by jawaid badauni
Wed Oct 22, 2008 4:42 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: PAHLI GHAZAL
Replies: 12
Views: 903

Re: PAHLI GHAZAL

Ahl-e-bazm ko adaab! maiN pahli ghazal kay sath hazir hooN... Masha Allah, "Sahar khud hi bata deti hai runge sham kya hoga..mire aaGaaz se poocho mira anjaam kya hoga." aap ki ghazal bahut achchi lagee. maTley ne KhuSuusan bahut mota'Assir kiya. meri daad aur mubarakbaad qubool farmaaiye...