Search found 750 matches

by jawaid badauni
Thu Jan 27, 2011 6:37 am
Forum: Moshaairah
Topic: Meri tar o taza ghazal
Replies: 4
Views: 1875

Re: Meri tar o taza ghazal

Dil pe tou jaise laga rakhkha ho tala maiN ne Ek armaan bhi dil se na nikaala maiN ne Mujh se bezaar se lagte haiN wohee bachche aaj Jin kio ik roz baRe laad se pala maiN ne Aaj lagta hai ke maiN ne bhee ibaadat ki hai Ek girte huuwe insaaN ko saNbhala maiN ne Aa gaya dil meN machalte huuwe jazboN ...
by jawaid badauni
Wed Jan 26, 2011 6:43 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Meri tar o taza ghazal
Replies: 4
Views: 1875

Meri tar o taza ghazal

Dil pe tou jaise laga rakhkha ho tala maiN ne Ek armaan bhi dil se na nikaala maiN ne Mujh se bezaar se lagte haiN wohee bachche aaj Jin kio ik roz baRe laad se pala maiN ne Aaj lagta hai ke maiN ne bhee ibaadat ki hai Ek girte huuwe insaaN ko saNbhala maiN ne Aa gaya dil meN machalte huuwe jazboN ...
by jawaid badauni
Sat Jan 22, 2011 6:39 am
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)
Replies: 12
Views: 3234

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Janbb muhtaram Badayuni sb...salam Pehli bar aap ki ghazal daikhne ki saadat hasil huvi.Poori ghazal bata rahi hai k janab iss maidan k shahsawaron main se hain .Matla hi ghazab ki kashish aur tanawo ka hamil hai. Halal rizq bhi ab tow haram hai mujh per mira parosi tarasta hai dane dane ko ......w...
by jawaid badauni
Sat Jan 22, 2011 6:36 am
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)
Replies: 12
Views: 3234

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

sfaseehrabbani wrote:
محترم جاوید بدایونی صاحب!
السلام علیکم!

ایک بہت دلکش اور دلفریب غزل پر میری طرف سے بہت زیادہ داد اور مبارکباد قبول کیجیے۔

مخلص
شاہین فصیح ربانی
[/b]

MoHtarmee Shaheen FaSeeH Rabbani SaaHab
aadaab

Aap ki daad himmat afazaayee ka sabab bani. BeHud mamnoon hooN.

MuKhliS

Jawiad Badauni
by jawaid badauni
Sat Jan 22, 2011 6:34 am
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)
Replies: 12
Views: 3234

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Nayeem Khan wrote:Murassa ghazal hai. Daad qubool kijiye.

Nayeem Khan Saahab

Bohat bohat shukriya

Jawaid
by jawaid badauni
Fri Jan 14, 2011 7:55 am
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)
Replies: 12
Views: 3234

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib :salaam2: :-) Aek muddat ba'ad aap ko meHfil meN dekhaa tabia'at khush ho gaee. maSroofiyat ne aaj kal sabhee ko apne aahanee baazuo'ooN meN jakaR rakhaa hai. khaer kuch bhee ho aap kee tashreef aawaree ke liye aor is khubSurat Ghazal jo bilashubah dilpazeer...
by jawaid badauni
Mon Jan 10, 2011 7:39 pm
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)
Replies: 12
Views: 3234

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Mohtaram Jawaid Badauni Saheb :salaam2: Sab se pehle aapke bete ki shaadi par meri mubarakbaad qubool farmayiye. Mujhe yaqeeN hai jaleNge zaroor uske haath Jo ghar se nikla hai auroN ka ghar jalaane ko :mash: bohat khubsoorat ghazal apne enayat ki hai. Ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai. meri daa...
by jawaid badauni
Sun Jan 09, 2011 4:15 pm
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)
Replies: 12
Views: 3234

TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Dosto! Aadaab Guzishta dou ya teen mahine se maiN ne Ghazal nahiN kahee hai. Aaj Urdu Bandhan waloN ka Khat mauSool huuwa aur unhoN ne miSra bhi tajweez kiya so kuch sher kah liye mashq jaree rakhne ke liye. Main bahut din se Urdu ki anjumanoN se bhi Gair Hazir hooN. Kuch zaatee maSroofiyaat haail ...
by jawaid badauni
Tue Jun 29, 2010 9:08 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Taza Ghazal aap ki nazr...................
Replies: 3
Views: 419

Re: Taza Ghazal aap ki nazr...................

Behud mamnoon hooN Salem Bhaii. Aajkal sabhi Urdu sitesbahut sust chal rahee haiN. Ummid hai aap se rabt rahega.

Khair andesh,
Jawaid
by jawaid badauni
Thu Jun 24, 2010 9:16 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Taza Ghazal aap ki nazr...................
Replies: 3
Views: 419

Taza Ghazal aap ki nazr...................

Yeh jo thoda sa dil meN eemaan bacha ke rakhkha hai Such poocho tou baKhshish ka saamaan bacha ke rakhkha hai Darya meN utra bhi hooN maiN aur mujhe malum bhi hai Mere falak ne mere liye t'oofaan bacha ke rakhkha hai Such poocho tou HaiwaanoN se behter hai is daur meN bhee Jis ne apne dil meN ik in...
by jawaid badauni
Thu May 27, 2010 7:50 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik Ghazal bayaad-e-Abdullah Naz^ir Sb MarHoom
Replies: 6
Views: 636

Re: aik Ghazal bayaad-e-Abdullah Naz^ir Sb MarHoom

Pesh hai MoHtarmee Khurshidul Hasan Naiyer Saahab, aadaab Aapki yeh ghazal aapke jazbaat ki tarjuman hai. NaZir SaHab Allah baKhshey aur unke darjaat bunaNd kare,thay hi aise. Un per jitna kaha jaye kum hai. Woh sub se dili raGhbat rakhte thay unse bhi log usee minasibat se unsiyyat rakhte thay. Mu...
by jawaid badauni
Sat May 22, 2010 9:54 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Qitaa't-e TaareeKh, Abdullah Nazir,marHoom
Replies: 1
Views: 275

Qitaa't-e TaareeKh, Abdullah Nazir,marHoom

Ya Rub tire meHboob ka woh shaKhS moHib tha Dafana ke jise aaye haiN aHbaab zameeN meN Ro ro ke dua maaNgee hai arbaab-e suKhan ne Naazir ka makaaN aaj ho firdaus e bareeN meiN 1151+21+111+4+11+350+262+100= 2010 Us se hi mujhe rahmo.o.karam ki haiN umeedeN Khaliq bhi mira markaz-e eemaan bhi meira ...
by jawaid badauni
Fri May 21, 2010 1:40 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: MarSiya Abdullah Nazir marHoom..............
Replies: 6
Views: 778

Re: MarSiya Abdullah Nazir marHoom..............

رحلتِ ناظر پہ ہے یہ مرثیہ اک دلفگار شدتِ جذبات کا جاوید کے آئینہ دار اُن کے جانے سے اچانک آگئی فصلِ خزاں گلشنِ اردو میں اُن کی ذات تھی مثلِ بہار ہیں سبھی اہلِ نظر یوں تو بظاہر غمزدہ اُن کے غم میں مضمحل ہیں آج سالم باشوار ہیں سبھی ویب سائٹوں کے ناظمِ اعلیٰ ملول اردو بندھن غمزدہ اردو جھاں ہے سوگوار س...
by jawaid badauni
Thu May 20, 2010 3:48 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ustazi mukkaram
Replies: 4
Views: 557

Re: Ustazi mukkaram

:( :( :( http://img691.imageshack.us/img691/4278/marciya.jpg By rehana at 2010-05-20 Azeezah Rehana SaaHibah, aadaab Aap ne nihayat jazbaati andaz meN Abdullah Nazir SaaHab marHoom ko khiraje adeedat pesh kiya hai. Yeh muKhtasar magar KhubSurat Nazm aap ke jazbaat ki akkasi kerti hai. Hum sub is du...
by jawaid badauni
Wed May 19, 2010 9:24 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: MarSiya Abdullah Nazir marHoom..............
Replies: 6
Views: 778

Re: MarSiya Abdullah Nazir marHoom..............

azeezbelgaumi wrote:
محترم جاوید اقبال بدایونی صاحب نے اپنی تعزیتی نظم میں اپنا دل نکال کر رکھ دیا ہے۔ ہمارے جذبات کو بھی زبان عطا کر دی ہے۔جزاک اللہ
عزیز بلگامی

MoHtarmee Azeez Belgaumi Sb,
aadaab

Bahut bahut shukriya.

Khair t'alab,
Jawaid