Search found 1145 matches

by Hashmat Usmani
Thu Dec 07, 2006 3:39 am
Forum: Anjuman
Topic: sabaq_aamoz ash'aar likhiiye
Replies: 243
Views: 33084

is saraab-e-rang_o_buu ko gulsitaaN samjhaa hai tuu
aah ai naadaaN! qafas ko aashiyaaN samjhaa hai tuu


'allaamah Iqbaal [r.a.]
by Hashmat Usmani
Thu Dec 07, 2006 3:34 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ab zindagi mein koi masarrat nahi rahi...Ghazal
Replies: 6
Views: 709

salaam Saara, tumhaarii Ghazal parhii aur bahot pasand aayii...saada alfaaz meN dil ko chhoo lene waale aHsaasaat aur jazbaat kaa bayaan beHad dil ko bhaayaa. aapkaa andaaz bhalaa lagaa. har she'r umda o aalaa haiN. shukria share karne ke liye. yeh ash'aat bahot pasand aaye: 1. itne badal gaye ho, ...
by Hashmat Usmani
Thu Dec 07, 2006 3:24 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Phir bhi ilzaam qismat ko deN ge
Replies: 5
Views: 491

Re: Phir bhi ilzaam qismat ko deN ge

salaam Ayesha, kaisai ho? tumhaarii Ghazal paRhii aur Hasb-e-ma'mool umda Ghazal kahi hai. meri jaanib se DheroN mubaarakbaad qubool karo. chand ek baat jo is naa_ai'hl ko khaTkii: 1. log laGhzish to Khud hi kareN ge phir bhi ilzaam qismat ko deN ge! " laGhzish honaa " maiN ne sunaa thaa ...
by Hashmat Usmani
Thu Dec 07, 2006 3:04 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Maah Dec. ke muntakhab shayar.........Makhdoom Mohiuddin
Replies: 11
Views: 2843

1. aap kii yaad aatii rahii raat bhar chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar 2. raat bhar dard kii shamm'a jaltii rahii Gham kii lau thartharaatii rahii raat bhar 3. baaNsurii kii suriilii, suhaanii sadaa yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar 4. yaad ke chaand dil meN utarte rahe chaandnii jagmag...
by Hashmat Usmani
Thu Dec 07, 2006 2:55 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal:dil lagaate haiN yahaaN dil ko duKhaane ke liye
Replies: 6
Views: 646

aadaab Mayank saaHib,

aapkii Ghazal nazar_nawaaz huii...maiN Zia saaHib kii raaye se muttafiq huN. shukria share karne ke liye.

Hashmat
by Hashmat Usmani
Wed Nov 22, 2006 1:57 pm
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Khush-amadeed Praise saaHiba!
Replies: 12
Views: 1363

ari waah bhaii, waah! tum yahaaN? kia maiN sOpnO dekh rahaa huN bOngOli ishTyle meN? are bhaii...tumhaare aane se is maHfil ke log jaag uTThe...mere samet...ab sabko jagaaye rakhnaa aur is maHfil meN dhamaal machaaye rakhnaa...Theek? to aao bhai bismillah karte haiN...apnii jaadoo kii chhaRii to la...
by Hashmat Usmani
Tue Nov 14, 2006 1:44 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Ye haseen shaam apni abhi jis mein.......
Replies: 2
Views: 493

bahot Khoob akkasii hai aur nazm bhii laa jawaab Saaraa saaHiba. thank u for sharing
by Hashmat Usmani
Mon Nov 13, 2006 10:59 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Maah Nov. ke muntakhab shayar.........Moulana Hasrat Mohani
Replies: 8
Views: 1193

hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii kii mushaqqat bhii 1. hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii kii mushaqqat bhii ek turfaa tamaashaa hai "Hasrat" kii tabii'at bhii 2. jo chaaho sazaa de do, tum aur bhii Khul khelo par ham se qasam le lo kii ho jo shikaayat bhii 3. Khud 'ishq kii gustaaKhii sa...
by Hashmat Usmani
Mon Nov 13, 2006 10:02 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Eitebar Sajid ki Ghazal
Replies: 2
Views: 665

salaam...bahoty Khoob saara saahiba...aapkii pesh kardah Sajid saaHib kii Ghazal bahot umda hai...aapkii pasand kii daad detasa huN. shukria share karne ke liye.
by Hashmat Usmani
Mon Nov 13, 2006 4:42 am
Forum: Anjuman
Topic: **one emoticon..one sher**(naya silsila)
Replies: 18
Views: 3315

sara_j wrote::?
na jaane kiuN hamaare dil ko tum ne dil nahiiN samjhaa
yeh sheesha toR Daalaa, pyaar ke qaabil nahiiN samjhaa


next: [-(
by Hashmat Usmani
Sun Nov 12, 2006 6:19 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Maah Nov. ke muntakhab shayar.........Moulana Hasrat Mohani
Replies: 8
Views: 1193

Bhulaataa laakh huuN lekin baraabar yaad aate haiN 1. Bhulaataa laakh huuN lekin baraabar yaad aate haiN Ilaahii! tark-e-ulfat par vo kiuN kar yaad aate haiN 2. na chheR, ai ham_nashiiN! kaifiiyat-e-sai'hbaa ke afsaane sharaab-e-be_Khudii ke mujh ko saaGhar yaad aate haiN 3. rahaa karte haiN qaid-e...
by Hashmat Usmani
Wed Nov 01, 2006 1:11 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: dil hii kaafir hai jo har baat bhulaa detaa hai...Ghazal
Replies: 1
Views: 265

dil hii kaafir hai jo har baat bhulaa detaa hai...Ghazal

salaam dosto, aaj ek 'arsa_haa-e-daraaz ke ba'd idhar kaa ruKh kiyaa aur aapkii Khidmat meN ek taazah Ghazal pesh karne kii jurrat kartaa huuN gar qubool uftaad. shukria. Hashmat 1. terii galiyoN kaa bhalaa kaun pataa detaa hai jisse poochho vahii kuchh door bataa detaa hai 2. dil ke veeraane meN y...
by Hashmat Usmani
Wed Nov 01, 2006 1:05 am
Forum: Anjuman
Topic: **one emoticon..one sher**(naya silsila)
Replies: 18
Views: 3315

WEBMASTER wrote: :P
unke dekhe se jo aa jaatii hai muNh par raunaq
vo samajhte haiN k beemaar kaa Haal achchhaa hai


:idea:
by Hashmat Usmani
Sun Jul 30, 2006 7:17 pm
Forum: IQBAALIYAAT
Topic: qaid_Khaane meN "Mo'tamid" kii fayraad...'allamah
Replies: 1
Views: 448

qaid_Khaane meN "Mo'tamid" kii fayraad...'allamah

salaam dosto, " Mo'atamid " Ashbeela kaa baadshaah aur 'Arabii shaa'ir thaa. Hispaania ke ek HukmaraaN ne usko shikast de kar qaid meN daal diyaa thaa. "Mo'atamid kii nazmeN angrezii meN tarjumah ho kar " Wisdom if the East " meN shaa'ye ho chukii hai. Hashmat 1. ik foGhaan...
by Hashmat Usmani
Wed Jul 12, 2006 12:54 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek taraHii Ghazal...aap har ek se sunte haiN ta'alluq rakhte
Replies: 2
Views: 296

ek taraHii Ghazal...aap har ek se sunte haiN ta'alluq rakhte

salaam dosto, aapkii Khidmat emN ek taraHii Ghazal pesh kar rahaa huN. mulaahizah farmaaiye. aapkii aaraa kaa muntazir rahuuNgaa. Ghazal 1. aap har ek se sunte haiN ta'alluq rakhte haiN "yeh agar sach hai to, zaalim! ise kia kahte haiN?" 2. tum jise kah do buraa, usko buraa kahte haiN tum...