Iqbaal kaa zaaviyah-e-i'shq

Allamah Iqbaal kii shakhsiyat unki shayeri falsafe aur mazmoon aapke yaa kisi aur ke mazameen se iqtibaas

Iqbaal kaa zaaviyah-e-i'shq

Postby yasir shah » Sat Apr 25, 2009 6:01 am

assalaamoa'laikum!


aik kitaab kaa iqtibaas paish-e-khidmat hay

________________________________________________

aik rauz Hakeem Ahmed Shujaa' Allaamah Iqbaal ke makaan par pahunchay to Allaamah ko bahut ziyaadah fikrmand, maghmoom aur baichain paayaa -Hakeem SaaHib ne ghabraa kar daryaaft kiyaa,"khair to hay ? aap aaj khilaaf-e-ma'mool bahut ziyaadah muZt'arib aur paraishaan naZ'ar aatay haiN" Allaamah ne khaaS andaaz maiN naZ'raiN oopar uThaa.eeN aur Gham.anGaiz lahjay maiN farmaayaa:

"Ahmed shujaa'! yeh sauch kar maiN akcar muZt'arib aur paraishaan ho jaataa hooN keh kaheeN mairee u'mr rasoolulllaah Sallallaahu a'laihi wa aalihee wa sallam ki u'mr se ziyaadah nah ho jaa.ay"
---------------------------------------------------------------------------(rauzgaar-e-faqeer az faqeer Waheeduddin)

i'shq-e-rasool Sallallaahu a'laihi wa aalihee wa sallam ke aaeenah daar Iqbaal ke yeh ash'aar bhee paRhiyay:


ho nah yeh Phool to bulbul kaa tarannum bhee nah ho
chaman-e-dahr maiN kalyoN kaa tabassum bhee nah ho

yeh nah saaqee ho to Phir mai bhee nah ho khum bhee nah ho
bazm-e-tauHeed bhee dunyaa maiN nah ho tum bhee nah ho

kheemah aflaak kaa istaadah isee naam se hay
nabZ-e-hastee tapish aamaadah isee naam se hay


______________________________________________________________
User avatar
yasir shah
sukhanwar
sukhanwar
 
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi

Re: Iqbaal kaa zaaviyah-e-i'shq

Postby munir-armaan-nasimi » Sat Apr 25, 2009 7:05 am

Masha'Allah... Subhan'Allah... Kya Khoob Farmaya Dr.Iqbal ne....

Kaash... Rasool-e-Maqbool (S.A.S) Kii Hayaat-e-Mubareka se, unki SunnatoN ka bhi utna hi khayaal karte.... jitna Huzur ki "Umr" ka to... Iqbal ke DushmanoN ko yeh Jurat na hoti keh wohh unke upar FATWA wagerah lagate.

Hum aapke mamnoon hain Janab Yasir Shah Saaheb keh aapne Dr.Iqbal ke shaksiyat ke ek aur pehloo se aashna karvaya. Shukriya.
User avatar
munir-armaan-nasimi
Global Moderator
Global Moderator
 
Posts: 417
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA

Re: Iqbaal kaa zaaviyah-e-i'shq

Postby yasir shah » Sun Apr 26, 2009 3:46 am

baraadar-e-a'zeez Munir !
assalaamoa'laikum wa raHmatullaahi

idhar iltifaat farmaanay kaa shukriyah -qaa'idah yehee hay keh jinhaiN Husn-e-kaamil raHmatul lil 'aalameen Sallallaahu a'laihi wa aalihee wa sallam ki shakl naheeN bhaatee un kaa da'waa-e-maHabbat bhee khaam hay laiken yeh bhee a'rZ kar dooN ke Iqbaal ki maHZ taSaaveer par hi mat jaaiye -mairaa to Husn-e-Zan hay keh al-aakhir unhoN ne bhee baaGh-e-MuHammadee Sallallaahu a'laihi wa aalihee wa sallam se apnay chahray ko aaraastah kar liyaa ho gaa -
aagay is baaray maiN khaamaushee bahtar hay keh jaanay waalay apnay a'maal tak pahunchaa diyay ga.ay-ab Allaah hamaiN sunnatoN ke baab maiN taufeeq a't'aa farmaa.ay keh apnee zindagee ko aaraastah-o-pairaastah kar chalaiN -

jazaakAllahu khairan

t'aalib-e-du'aa
yasir
User avatar
yasir shah
sukhanwar
sukhanwar
 
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi

Re: Iqbaal kaa zaaviyah-e-i'shq

Postby Nayeem Khan » Wed May 12, 2010 12:52 pm

:subh:

Is inayet ka shukria Yasir Shah sb
User avatar
Nayeem Khan
Global Moderator
Global Moderator
 
Posts: 30
Joined: Sun Jan 13, 2008 2:32 pm

Re: Iqbaal kaa zaaviyah-e-i'shq

Postby sbashwar » Sat May 15, 2010 8:22 am

Mohtaram Yasir Shah Saheb
:salaam2:

Inayet ka shukria. Ye ishq e rasool SAWS ki meraj hai.
Wassalaam
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
sbashwar
Co-ordinator
Co-ordinator
 
Posts: 1021
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Location: Jeddah


Return to IQBAALIYAAT

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 1 guest


URDU SITES: aalmi_akhbar   abdullah nazir   akhbar o afkar   aligarians   bbcurdu   bhatkallys   cnn   dr_ahmad_ali_barqi_azmi   etemaad   inquilab   milli_gazette   muneer_armaan   munsif   sarwar_raz   shaharnama   siasat   sukhanwar   urduanjuman   urduduniya   urdugulban   urduhyd   urduseek   urdustan   urdutimes   voice_of_america
cron